Bradar e Azeez Zia Baloch ki Aik Nazm Azaadi ke hawaale se sukhanwar mai post ki gai , jisay mai qand e mukarrar ke taur par Qaumi Taqreebat forum mai pesh karne ki jasarat kar raha hoN.
shukria
Mahtab Qadr
Yaaran-e-meHfil , aadaab !
aaj 14 August ki taareeKh hai aur wat^an-e-a'zeez ki aazaadi ka din hai !
is Hawaale se chaNd lamHoN pehle aek moKhtaSar si nazm hogayee ! aap k saath share kar rahaa hoN ! :D HaalaaNke abhi tak meeri aek Ghazal aur aek nazm abhi tak aap k tabSoroN k t^alab gaar haiN
to lejeye Nazm Haazir hai !
aye wat^an jashn manaaoNga na aazaadii kaa !
k tu aazaad nahiN meri naz^ar maiN ab tak !
youN to qurbaan dil-o-jaan mire tujh pe magar
maiN hoN ma'zoor koii geet sunaane se tujhe !
zaKhm haiN taaza tire chaahne waaloN k abhi
phool murjhaaye howe haiN tire gulzaaroN key
teri galyoN maiN ajal naach rahaa hai aise
jaise sooraj ki kiran uThti hoii lehroN par
Khoon se laal tiree paak zameeN hai aise
jaise gulshan maiN gulaaboN k damakte ruKhsaar !
chaahne waale tire kab k gaye dunyaa se
ab tiraa koi nahiN , koi nahiN , koi nahiN !
ab to tere hi nigahbaan tire dushman haiN !
saath laate haiN luTeroN ko kabhii baahar se
kabhi Khud hi tujhe neelaam keye dete haiN !
maiN tujhe kaise bataaoN k mire paak wat^an
ab tiraa koi nahiN , koi nahiN , koi nahiN !
haaN mire paak wat^an geet maiN gaaoN kaise
k tu aazaad nahiN meri naz^ar maiN abtak !
...........................................................................
shukriya
moKhliS : Zia Baloch
_________________
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne Zia Baloch
Zia Baloch ki aik Nazm
- Mahtab Qadr
- -
- Posts: 559
- Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
- Location: Jeddah Saudi Arabia
- Contact:
moHtaram Sarfaraaz SaaHib, aadaab
aap ka nehaayat mamnoon hoN k aap ne meeri ye adnaa kaavish yahaaN chaspaaN kardee ! maiN bas iraada hi kar rahaa thaa k yahaaN bhi apni ye nazm chaspaaN kardo k aap ka KhlooS Ghaalib aagayaa ! nehaayat mamnoon hoN aap ka !
moKhliS : Zia Baloch
aap ka nehaayat mamnoon hoN k aap ne meeri ye adnaa kaavish yahaaN chaspaaN kardee ! maiN bas iraada hi kar rahaa thaa k yahaaN bhi apni ye nazm chaspaaN kardo k aap ka KhlooS Ghaalib aagayaa ! nehaayat mamnoon hoN aap ka !
moKhliS : Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch