Page 1 of 1

Ek halki phulki si ghazal.

Posted: Sun Aug 14, 2005 12:06 pm
by Shummu
Salaam Ahl-e-bazm!

urdustan ke hack hone se just pehle wahan mushaire meiN ek misra diya gaya tha "Hue masjid se gum joote hamaare' ..usi pe ek halki phulki si tukbandi ki thi...urdustan to ab tak bahaal na ho saka... socha kyon na aap sab ke saath apni ye tukbandi share ki jaaye...ummeed hai thori bahut muskurahat to aa hi jaayegi ;)

:grin:

Arz hai...

phire haiN nange paaoN maare maare
'Hue masjid se gum joote hamaare' :roll:

sadaa qismat ke aaGe hum hain haare..
rahe gardish meiN har dam kyoN sitaare?! :cry:

kaho usse lage mat muuNh hamaare!
dikhaa denge use hum din meiN taare! hammer

kahaaN jaake bhalaa hum muuNh chupaayeiN?!
paRe rehte hain peeche sab kuNwaare! :oops:

koii aisi jagah hum ko bataaoo
jahaaN ho khoobsurat sab nazaare! 8)

bhari mehfil meiN aise woh ghire haiN
ki jaise chaand ko ghaere sitaare! :grin:

ajab woh shaks hai,hum kyaa bataayeiN
hai meeThee boli ,aNkhyoN meiN sharaare! :?

kisee soorat nahii sudhrenge woh to
koii kitnaa bhi unko ab sudhaare! :evil:

=======================================

Adaab,

Shumaila :mrgreen:


Posted: Tue Aug 16, 2005 7:15 am
by Ibn-e-siddique
shummu saHiba !!

aap ki ye halkee phulkee ghazal hameN bahot pasand aayee :grin: :grin:

tamaam ash'aar pasand aaye, aik kaamiyaab zareefaana kaawish per hamaari jaanib se daad qubool farmaaiN ;) :grin:

she'r no.. 4 vaali baat qaabil-e-ghaur hai :lol: :lol: :lol:

Posted: Tue Aug 16, 2005 11:10 am
by Mahtab Qadr
shummu ji waah waah aapne to record torh dia is misre par kahi gai hazloN ka , bahut khoob maza aagaya aapki shayeri ka naya rang dekh kar. albatta agar bura na lagay to aap ki ye hazal mai muazirat ke sath mazahiya shayeri forum mai shift kar raha hoN.
khair andaish
mahtab qadr

Re: Ek halki phulki si ghazal.

Posted: Wed Aug 17, 2005 12:30 pm
by Shummu
sara_j wrote:
Shumaila :grin:

thori bohat nahi hum tou har shair per muskuraate rahe

zaahir hai jab 'nange paaun phirenge aur din mein taare dikhayenge to phir muskurahat kaisi mian to khoob :lol: .

bohat acha likhi ho parh ker bohat lutfandoz hui.

aek kamyaab koshish ker daad qubool keejiye

mukhlis

sara

hehe sara jee bahut bahut shukriya is inaayat ka...pehli dafa kuch is rang mein likhne ki koshish ki thi..aap ko pasand aayi jaankar khushi hui....thanx for the encouragement :grin:

Shumaila

Posted: Thu Aug 18, 2005 2:45 pm
by khozema husaini
shumaila sahiba

aap ki is hazal ke ashaar pasand aaye daad qubool farmayen

Husaini

Posted: Sat Aug 20, 2005 9:30 am
by Shummu
Ibn-e-siddique wrote:shummu saHiba !!

aap ki ye halkee phulkee ghazal hameN bahot pasand aayee :grin: :grin:

tamaam ash'aar pasand aaye, aik kaamiyaab zareefaana kaawish per hamaari jaanib se daad qubool farmaaiN ;) :grin:

she'r no.. 4 vaali baat qaabil-e-ghaur hai :lol: :lol: :lol:
arey wah aaj to baDe baDe log aaye hain hamari thread pe..WaAllah qismat chamak gayi is thread ki ;) Amjad jee...aap ko meri ye koshish pasand aayi ye jaankar tasalli hui warna to hum Dare hue the ke pata nahi kisi ko achchi lagegi ke nahi..baDe darte darte post ki thi sachchi :-) han han aap sher#4 pe ghaur karte rahein ..main chali he he :lol:


Shukriya bahut dher saara !
Shumaila

Posted: Sat Aug 20, 2005 7:21 pm
by Shummu
Mahtab Qadr wrote:shummu ji waah waah aapne to record torh dia is misre par kahi gai hazloN ka , bahut khoob maza aagaya aapki shayeri ka naya rang dekh kar. albatta agar bura na lagay to aap ki ye hazal mai muazirat ke sath mazahiya shayeri forum mai shift kar raha hoN.
khair andaish
mahtab qadr
aap jaise sukhanwar ki jaanib se daad paake dil baaGh baaGh ho gaya..aap to khud hazal likhne mein maahir hain...meri to ye pehli koshish thi...aap ko pasand aayi goya meri mehnat wusool hui :grin: aur mera PM mila tha? maine us mein likha tha ke zaroor aap move kar dein agar ye us forum ko suit karti hai :-)

shukriya ek baar phir!

shumaila

Posted: Sat Aug 20, 2005 7:23 pm
by Shummu
khozema husaini wrote:shumaila sahiba

aap ki is hazal ke ashaar pasand aaye daad qubool farmayen

Husaini

Mohtaram Khozema sahab....aap khud mashaAllah bahut zabardast likhte hain aur bahut hazal bhi likh chuke hain ab tak..meri pehli koshish thi ye is rang ki..aap ne pasand farmaayi..bahut khushi hui jaankar..bahut shukriya :grin:


Shumaila

Re: bahut khoob

Posted: Sat Aug 20, 2005 7:27 pm
by Shummu
dunya wrote:

Shummu Saahibah,


Tasleemaat,

Aapki halki phulki ghazal yaa yooN kahiye Hazal bahut pasand aayi. Kyaa kahne, saare ashaar bahut hii achche heiN.

meri dili daad qubool farmaayiye.

khair andesh,

dunya


bahut nawaazish DUNYA jee....ghazal i mean hazal ki pazeraayi farmaane ka behad dili shukriya qubool farmaayein :grin:

Shumaila