Page 1 of 1

ghazal banti nahin hai bigRi hui baat kiya kareN

Posted: Mon Aug 15, 2005 3:55 pm
by khozema husaini
assalam o alaikum
KHair talab ba KHair ba Hamd e Allah
arsa e draaz ke baad mehfil men Haazri de raha hoon aur apne saath aik taza GHazal ke ashaar bhi laya hoon is ummeed ka saath keh qaraeen ise paRh kar apni garaaNqadr aara se zaroor nawazeNge
talib e dua
Husaini
GHAZAL
banti nahiN hai bigRi hui baat kiya kareN
hum behr e saazgari e haalaat kiya kareN

dekha hai jab se aap ka barish meN bheegna
tan man jala rahi hai yeh barsaat kiya kareN

sharm o Haya ki aap jo toReN nah beRiyaaN
phir hum bhi justuju e mulaaqaat kiya kareN

aaNkhoN meN ashk qalb se uThhta hua dhuwaaN
yeh sab heN tere ishq ki souGHaat kiya kareN

phaila ke haath hum ne hi maangi nahi bahisht
hum Haami e ana heN sawaalaat kiya kareN

madhosh kar gaya woh tira irtAash e lab
tasweer ban gaye heN to ab baat kiya kareN

aaye heN kiya woh karne HaseeN saAtoN ka KHoon
le baiThhe heN hazaaroN shikaayaat kiya kareN

taskeen e dil ka kuchh to bata ja hameN ilaaj
taRpayeN jab bhi tere khayaalaat kiya kareN

pathra gayeeN jo aaNkheN to pochho ho Haal e dil
bAd e qaza tumhari inaayaat kiya kareN

kab tak rakhegi qaid hai deewaar e dil KHafeef
toofaaN uThhaye rehte heN jazbaat kiya kareN

shams o qamar kahan hameN jugnu nahiN naseeb
aur rehguzar pe taari heN zulumaat kiya kareN

ae kaash yaad rakhte Husaini Hisaab e gor
ab soojhte nahiN heN jawaabaat kiya kareN

Husaini Khandwi

Posted: Tue Aug 16, 2005 7:11 am
by Ibn-e-siddique
Husseini saHib

salaam arz hai

aik arse baa'd aap ki jaanib se ghazal sun'ne ka mauaq milaa. mashallah bahot umda ghazal hai, aur mazaameen bhi pasand aaye.

daad qubool keejiye

amjad

Posted: Tue Aug 16, 2005 6:10 pm
by khozema husaini
janab amjad saheb
asslam alaikum
2 maah se Hindutan vacation ke liye gaya hua tha chand roz qabl hi laoTa hooN mehfil men Adam moujoodgi ki yahi wajah thi KHair aap ne kalam ko pasand farmaya yeh mere liya baIc e masarat hai men aap ka dil se shukriyah ada karta hoon qubool farmayen.
Husaini

Posted: Tue Aug 16, 2005 6:12 pm
by khozema husaini
janab amjad saheb
asslam alaikum
2 maah se Hindutan vacation ke liye gaya hua tha chand roz qabl hi lauTa hooN mehfil men Adam moujoodgi ki yahi wajah thi KHair aap ne kalam ko pasand farmaya yeh mere liya baIc e masarat hai men aap ka dil se shukriyah ada karta hoon qubool farmayen.
Husaini

Re: ghazal banti nahin hai bigRi hui baat kiya kareN

Posted: Wed Aug 17, 2005 12:26 pm
by Shummu
khozema husaini wrote: banti nahiN hai bigRi hui baat kiya kareN
hum behr e saazgari e haalaat kiya kareN

dekha hai jab se aap ka barish meN bheegna
tan man jala rahi hai yeh barsaat kiya kareN

sharm o Haya ki aap jo toReN nah beRiyaaN
phir hum bhi justuju e mulaaqaat kiya kareN

aaNkhoN meN ashk qalb se uThhta hua dhuwaaN
yeh sab heN tere ishq ki souGHaat kiya kareN

madhosh kar gaya woh tira irtAash e lab
tasweer ban gaye heN to ab baat kiya kareN

taskeen e dil ka kuchh to bata ja hameN ilaaj
taRpayeN jab bhi tere khayaalaat kiya kareN

pathra gayeeN jo aaNkheN to pochho ho Haal e dil
bAd e qaza tumhari inaayaat kiya kareN

shams o qamar kahan hameN jugnu nahiN naseeb
aur rehguzar pe taari heN zulumaat kiya kareN

Husaini Khandwi
wah bahut khoob Khozema sahab!! Daad haazir hai in khoobsurat ashaar pe! :-)

Shumaila

Posted: Wed Aug 17, 2005 5:40 pm
by khozema husaini
mohtarma shumaila sahiba
aadaab
dad ke liye dili shukriyah qubool farmayen
Husaini

Posted: Sat Aug 20, 2005 5:49 pm
by khozema husaini
mohtarma dunya ji
aadaab
aap ko ghazal pasand aai is ka bohat bohat shukriyah
aap ki tajveez bhi munasib hai magra yahan baat mehboob ki hazri ki hai abhi to woh moujood hai isliye taskeen e dil bhi hai jab woh nahi hoga to taskeen e dil kaise hasil karenge phir bhi men baat ko wazeh karne ki koshish karoonga men aap ka is nishaandahi ke liye batour e Khaas mamnoon hoon
Husaini