Page 1 of 1

Posted: Tue Aug 16, 2005 7:03 am
by Ibn-e-siddique
duniya saHiba

salaam arz hai

islaaH dena to asaatiza ka kaam hai, maiN to yahaaN sirf daad dene ke liye Haazir hua hooN. aap ne mashallah bahot umda ghazal sunaaii hai. tamaam ash'aar bahot khoobsurat haiN aur vazn meiN bhi haiN.

matla bahot umda hai, subHaanAllah.

she'r no. 4 bhi pasand aaya.

she'r 7 bhi acha lagaa, aur maqta to bahot pasand aayaa, vaah vaah, maqte per khaas taur per daad qubool farmaaiN.

is umda aur kaamiyaab ghazal per mubarak.baad bhi qubool kareN

shukria

amjad

Posted: Wed Aug 17, 2005 10:10 am
by Ibn-e-siddique
duniya saHiba

salaam arz hai :)

sab se pehle to ye bataa dooN ke maiN na koi ustaad hooN, aur na hi is qaabil hooN ke ustaad kehelvaa sakooN :P .

doosri baat jo aap ne intizaar ke baare meiN farmaaii, us se mere ilm meiN izaafa hua.

aap ne durust kahaa, ye muhaavara bhi saheeh hai, aur hindi ke saath saath urdu mein bhi musta'mal hai. aap ki badolat mere ilm mein bhi izaafa hua.

maiN maa'zirat chaahata hooN jo aap ki saHeeH baat ko ghalat keh gayaa :grin: :P

khair, isi taraH insaan seekhta hai

umeed hai aap ka kalaam mustaqbil meiN bhi paRhne ka mauqa milta rahe ga

sadaa khush raheN

amjad

Re: aek taazah ghazal baraye islaaH.............dunya dehlaw

Posted: Sat Aug 20, 2005 5:23 pm
by Shummu
dunya wrote:
1-Jal gayaa apnaa ghar dekhte reh gaye
Raqs-e-barq o sharar dekhte reh gaye

2- chhup gayaa jalvah afrouz houkar koiee
ham idhar aur udhar dekhte reh gaye

4- naashanaasay-e-manzil rahe umr bhar
jou ghubaar-e-safar dekhte reh gaye

9- chashm-e-Dunya se aansoo ravaaN thay magar
aap l'al o guhar dekhte reh gaye

wah wah wah bahut hi khoob.......kya sher kahe hain..mashaAllah...quoted ashaar behad pasand aaye..dheron daad haazir hai dunyaa sahab :-)


Shumaila