naz^m: Behlaawe!
Posted: Sat Aug 20, 2005 4:38 am
yaaraan-e-bazm: aadaab!
kal hee a'zeezee Najm Hashmee ne pooch`aa keh kyaa maiN idh`ar Mall naheeN gayaa? aur agar gayaa to kyaa koyee naz^m yaa Ghazal naheeN huyee?
Mall to maiN yaqeena" jaataa rahaa hooN aur zabaan-e-Haal se yeh bh`ee kehtaa huwaa waapas aayaa hooN keh:
:Khoob-rooyoN se yaariyaaN nah gayeeN!: (Hasrat Mohani)
lekin whaaN kee she'ree sauGhaat pesh-e-Khidmat karte huwe Zaraa jh`ijh`ak rahaa th`aa keh shaayad aap ab tak :bore: ho gaYe hoN ge. lekin Najm ne ba-Z^id kahaa keh maiN woh taazah naz^m Z^aroor sunaa,ooN jo do din qabl hee huyee hai. woh naz^m likh` rahaa hooN. agar aap ko pasand nah aaYe to apnee tanqeed kaa ruKh Najm kee jaanib rakh`iYe gaa kyoN.k unhoN ne hee mujh` ko aap par yeh aazmaa,ish musallat^karne kee tarGheeb dee hai!
ab naz^m suniYe aur apnee raaYe likh` kar shukriyah kaa mauqa' i'naayat keejiYe!
Sarwar A. Raz "Sarwar"
===============================
Behlaawe!
SubH-e-Gham ne oRhee hai ph`ir se shaam-e-tanhaayee
meree be-kasee yaa Rab! mujh` ko yeh kahaaN laayee?
yaad meN kisee kee maiN ho gayaa hooN saudaayee
dard hai keh seeneh meN SubH-o-shaam paltaa hai!
sehmee sehmee woh naz^reN, sarsaraatee woh chilman!
kaaNpte huwe woh lab, do diloN kee woh dh`aRkan!
rezah-rezah woh chehre, taar-taar woh daaman!
koyee Khwaab meN aa kar dil miraa masaltaa hai!
woh hawaa-e-kaif-o-kam, lehlehaataa woh aaNchal!
muskuraate woh lamHe, gungunaatee woh paayal!
aag woh tamannaa kee, HasratoN kee woh halchal!
raNg roo-e-hastee kaa dam-ba-dam badaltaa hai!
ab kahaaN rahe woh din, ab kahaaN woh raateN haiN!
us ko yaad kar lenaa Khwaab kee see baateN haiN!
a'ashiqee kee baazee meN roz-o-shab kee maateN haiN!
HasratoN kaa ik t^oofaaN rooH meN ubaltaa hai!
shaam-e-aarzoo hai aur aaftaab Dhaltaa hai!

HasratoN kaa ik t^oofaaN rooH meN ubaltaa hai hai!
ik chiraaGh bujh`taa hai, ik chiraaGh jaltaa hai
lekin aisee yaadoN se dil kahaaN behaltaa hai!
=============================