Page 1 of 2

Guz#8--'khataa hoti hai Saahib aadmii se'

Posted: Sat Aug 20, 2005 12:57 pm
by Shummu
Salaam ahl-e-bazm...guz#8 ke tarahi misre pe ghazal haazir hai...ummeed hai aap ko pasand aayegi.. :-)


1. qazaa aatee hai behad khaam'shii se
churaa le jaati hai woh zindagii se

2. koii hota nahiN mujrim khushii se
'khataa hoti hai Saahib aadmii se'

3. chaleiN jaayeiN na hum naaraazgii se
ab aise bhi na bolo berukhii se

4. achaanak ho chali raGhbat usii se
mujhe dekhaa tha jis ne saadgii se

5. kabhi jo guzre hain wo is galii se
chehek uTThe hain rasteiN bhi khushii se

6. zaraa tum jaa ke keh do raushnii se
mujhe to hai muhabbat teergii se

7. kabhii hoti hai aankhein nam khushii se
kabhii ro uThti hoon afsurdagii se

8. yahii seekhaa hai maine zindagii se
raqaabat tum nahi rakhnaa kisii se

9. milo sab se milo tum khushdilii se
magar tum door rehnaa dostii se

10. chupe rehte hain laakhoN Gham isii meiN
kabhi dhoka na khaana tum HaNsii se

11. abhi to ishq ka aaGhaaz hai jee!
abhi se Dar gaye tum aashiqii se?!

12. jakaR letaa hai hum ko ik fusooN meiN
woh ho ker lab.kushaa jaadoogarii se

13. hue hain aap jab se door humse
lagaa baiThe hain dil hum shaayrii se

14. laraz uThti hoon har aahaT pe maiN to
milaa hai Dar ye mujh ko aaghii se

15. ye kaisa shehr hai? yaaro!yahaan par
humeiN hotii hai wehshat aadmii se

16. saNbhal jaoo abhi se tum,Khudaara!
milegaa kuch nahii aawaargii se

-------------------------------------------


Aap ki aara ki muntazir,
Shumaila

Posted: Mon Aug 22, 2005 10:42 am
by gazal_uzma
shummo ji
bayhad taweel magar bayintiha umda likha hay aap nay
regards
uzma khan

Posted: Tue Aug 23, 2005 3:54 am
by jawaid badauni
Azeezah Shumaailah, Salam aur Doa

Khuda jane maiN aap ka naam saheeh likhta bhi hooN keh nahiN.

TaKheer se ghazal bhejne ka haseen izalah kiya hai aap ne, solah ashAAr aur woh bhi itne khubsoorat. Zindabad bahin.

Meri daad qubool kijiye.

Apka Mukhlis,
Jawaid Badauni

Posted: Tue Aug 23, 2005 1:33 pm
by Shummu
gazal_uzma wrote:shummo ji
bayhad taweel magar bayintiha umda likha hay aap nay
regards
uzma khan

Bahut shukriya uzma jee :grin:

Shumaila

Posted: Tue Aug 23, 2005 1:36 pm
by Shummu
sara_j wrote:Wah shummu kya baat hai! aapne khoob ashaar nikaale hain aur bohat hi lajawaab.........sabhi ashaar bohat pasand aaye.

daad qubool keejiye :rose

sara

Shukriya Sara jee..arey aap ki baat bhala kaise Taal sakte the..aap ne kaha to hum lag gaye kaam pe..aur ye result nikla :lol: aap ko sabhi ashaar pasand aaye jaan kar khushi hui.....daad se nawaazne ka shukriyaa!! :-)

Shumaila

Bahut khoob waah waah

Posted: Tue Aug 23, 2005 1:58 pm
by Abdullah Nazir

Azeezah
S H U M M U

Purkhuloos Tasleemaat,

Aapki ghazal paRhkar bahut luTf aayaa. Is meiN koii shak nahiN ke aap ke kalaam meiN musalsal dilkashi aur paayedaari paidaa hourahii hei.

Meri jaanib se dili daad aur mubaarkabaad Haazir hei.

SheAr No.12 ke pahle miSreA meiN, aap ne seHr ko seHar likhdiyaa hei jis ki vajah se miSraA vazn se khaarij hourahaa hei lekin agar usko yooN kardeejiye to Teu durust houjaayega:

jakaR letaa hei apne seHr meiN wo

Note:
seHar yaa saHar = SubH
seHr = jaadoo


Aapka Mukhlis,

Nazir.


Posted: Tue Aug 23, 2005 9:44 pm
by Shummu
jawaid badauni wrote:Azeezah Shumaailah, Salam aur Doa

Khuda jane maiN aap ka naam saheeh likhta bhi hooN keh nahiN.

TaKheer se ghazal bhejne ka haseen izalah kiya hai aap ne, solah ashAAr aur woh bhi itne khubsoorat. Zindabad bahin.

Meri daad qubool kijiye.

Apka Mukhlis,
Jawaid Badauni

W'salaam Jawaid sahab!!!

jee jee bilkul sahi likhte hain..sahi talaffuz yahi hai naam ka yaani "shumaa'ilah" :grin:

bahut shukriya meri hausla afzaayi farmaane ka..bas jee koshish kar lete hain kuch likhne ki warna kahan mujhe itni shayri aati hai ..aap logon ke kalaam paRhne ke baad zara himmat aa jaati hai to likh lete hain TooTa phooTa :-)

Talib-e-dua,
Shumaila

Re: Bahut khoob waah waah

Posted: Tue Aug 23, 2005 9:50 pm
by Shummu
WEBMASTER wrote:
Azeezah
S H U M M U

Purkhuloos Tasleemaat,

Aapki ghazal paRhkar bahut luTf aayaa. Is meiN koii shak nahiN ke aap ke kalaam meiN musalsal dilkashi aur paayedaari paidaa hourahii hei.

Meri jaanib se dili daad aur mubaarkabaad Haazir hei.

SheAr No.12 ke pahle miSreA meiN, aap ne seHr ko seHar likhdiyaa hei jis ki vajah se miSraA vazn se khaarij hourahaa hei lekin agar usko yooN kardeejiye to Teu durust houjaayega:

jakaR letaa hei apne seHr meiN wo

Note:
seHar yaa saHar = SubH
seHr = jaadoo


Aapka Mukhlis,

Nazir.

Adaab Mohtaram Nazir sahab!

WaAllah aap ko apni thread mein dekh kar jhoom uThti hoon.... aap jaise kohna mashq shayar jab meir koshish ko saraahte hain to khushi se main phool jaati hoon :grin: aap ki daad paa ke dil baaGh baaGh ho gaya...shukriya dil ki gehraaiyoN se.....maine ab sher #12 ko badal diya hai aur kuch yuN kar diya hai..

12. jakaR letaa hai hum ko ik fusooN meiN
woh ho ker lab.kushaa jaadoogarii se


kaisa hai :?:


Talib-e-duaa,
Shumaila

Posted: Thu Aug 25, 2005 10:35 am
by nigaah
Shumaila Saahiba

bohut arsay baad muKhatib honay ka mouqa mila...:)...umeed hai Kheiryat say hoNgi aap.....

aur janaaaaab!... aap ke matlay tou bas....hum paRhtay haiN aur Parhtay hi chalay jaatay haiN kaiee baar....kahaN say lay aati haiN ye matloN ki bahaar aap ? :)....aaj raaz bata hi dijye ....:)...

koii hota nahiN mujrim khushii se
'khataa hoti hai Saahib aadmii se'

girah bhi Khoob lagaai aap nay....aur baaqi Ghazal bhi bay hud umdah rahi...daad qubool kijye...

Nigaah

Posted: Thu Aug 25, 2005 2:12 pm
by zmufti
Shummo jee
aap ki ghazal buhat achi lagi
khas tor per yeh sher
ye kaisa shehr hai? yaaro!yahaan par
humeiN hotii hai wehshat aadmii se
take care
zarqa

Posted: Thu Aug 25, 2005 11:33 pm
by Star Mind
Shumaaila SaaHiba, ham aagaye :)

janaab matla'aat ki bhar maar se pareeshaan ho kar ham mufaSSal comments dene se a'aajiz haiN ! kuchh to Khudaa ka Khauf kejeye! aaKhir ungliyaaN haiN thak jaatee haiN likhte likhte ! is leye maiN ne is baar 3 mat'aoN aur 2 shea'roN par iktefaa kiyaa hai !

aap ki Ghazal ka har shea;r apnee daad wusool karchukaa hai , to ab maiN Ghareeb kis shumaar maiN ?

jitnee aap chaaheN daad qabool kejeye ! is KhoobSoorat taKhleeq par !

moKhliS :

Zia Baloch

Bahut achci ghazal kahi hei aap ne

Posted: Fri Aug 26, 2005 3:56 pm
by irfan barabankwi
shumailah saahibah

wah wah bahut khoob. aapto mujhko bhool gayi haiN lekin meri janib se dili daad aur mubarakbaad haizir hai

khair andaish

irfan barabankwi

Bahut khoob

Posted: Sat Aug 27, 2005 5:18 am
by Abdullah Nazir

Azeezah
S H U M M U,

Aap ne apne sheAr No.12 ko badal kar is qadar khoobsoorat banaadiya hei ke dil se daad nikal rahi hei. Bahut khoob.

Mubaarakbaad.


Aapka Mukhlis,
Nazir.


Posted: Sun Aug 28, 2005 1:23 pm
by Shummu
nigaah wrote:Shumaila Saahiba

bohut arsay baad muKhatib honay ka mouqa mila...:)...umeed hai Kheiryat say hoNgi aap.....

aur janaaaaab!... aap ke matlay tou bas....hum paRhtay haiN aur Parhtay hi chalay jaatay haiN kaiee baar....kahaN say lay aati haiN ye matloN ki bahaar aap ? :)....aaj raaz bata hi dijye ....:)...

koii hota nahiN mujrim khushii se
'khataa hoti hai Saahib aadmii se'

girah bhi Khoob lagaai aap nay....aur baaqi Ghazal bhi bay hud umdah rahi...daad qubool kijye...

Nigaah

jee nigaah sis kaisi hain aap? waqaii bahut arse baad aap ka deedaar naseeb hua...aap ko ghazal pasand aayi jaankar khushi hui...bahut bahut shukriya daad-o-tehseen se nawazne ka.... matle pata nahi kyon apne aap se hote chale jaate hain....na rokuN to saare matle ki hi ghazal tayyar ho jaaye lolz waise zia sahab bhi kam nahi matlon ki bauchaar karne mein :wink:

aati rahiyega ko bazm ko raunaq bakhsti rahiyega :grin:

Shumaila

Posted: Sun Aug 28, 2005 1:26 pm
by Shummu
zmufti wrote:Shummo jee
aap ki ghazal buhat achi lagi
khas tor per yeh sher
ye kaisa shehr hai? yaaro!yahaan par
humeiN hotii hai wehshat aadmii se
take care
zarqa
Zarqaa jee ghazal ki pazeraayi farmaane ka aur khaas taur pe us ek sher ko pasand farmaane ka dili shukriya :grin:

SHumaila