Page 1 of 2

Lafz par ashar#17--DAREECHA

Posted: Sun Aug 21, 2005 3:13 pm
by syed bilal armaan
Dostoun app ney "ZINDGI" unwan par bahut acche ashar likhe.lekin ab is unwan ka bhi waqt katam ho gaya hai. Ab pesh hai ek nay unwan "DAREECHA" app is unwan par bhi apne pasandida ashar likhiye.lijye main agaz kaiye deta hoon.

Khule Dareecho.N Ko Band Karna Sehel Nahi.n Hai
K Us Ki Khushboo Yahan Hai Lekin Woh Kahi.n Hai.

Posted: Sun Aug 21, 2005 3:54 pm
by syed bilal armaan
Lijye ek aur sher mulaheza kijye...

Ankhoon se teri chan ke baraste hain ujale
jaise ke dreeche se saher jhnk rahi hi.

Posted: Sun Aug 21, 2005 7:43 pm
by Shummu
dareecha baaz hai yaadoN ka aur maiN
hawa sunta hooN peRoN ki zabaaN se

Posted: Wed Aug 24, 2005 8:22 am
by syed bilal armaan
Wisal-e-yaar ke muqye pey ek ajab khawish
mere zahen ke dareech'oun se phoot utti hai.

Posted: Wed Aug 24, 2005 8:35 am
by syed bilal armaan
Akeli shaam se kahdo purane dar dareecheye hain
batakti raat se kahdo hamara ghar nahi badla.

Posted: Wed Aug 24, 2005 8:51 am
by syed bilal armaan
Dareechye may charag-e-anjuman roshan hua us ka
dil'oun may jal utti'en shamein, sukan roshan hua us ka

"dareechah" (yaadaoN ke dareeche se_

Posted: Wed Aug 24, 2005 11:01 am
by Abdullah Nazir



..............(yaadaoN ke dareeche se)......................

yaadaoN ke dareeche se jab dil meiN wo aataa hei
houtaa hei mukhaaTib aur yooN poochtaa jaataa hei

kyaa tum vohi shayer hou kyaa tum vohi Nazir hou
jou dasht o bayhaabaaN ke mazloom musaafir hou

jou route rulaate thay aur ashk bahaate thayh
jou hanste hansaate thay aur shour machaate thay

kyaa Haal tumhaaraa hei aayienah zaraa dekho
jou bujh gaiee rou roukar wo shamA jalaa dekho

maiN souchtaa rehtaa hooN kis TarH se lab khoulooN
roodaad-e-gham-e-hasti boulooN keh nahiN boulooN

Soorat nahiN koiee bhii uljhan se rihaayi kii
SeHraa meiN sazaa kam hei kyaa aabilah paayhi kii


Nazir.


Posted: Wed Aug 24, 2005 12:34 pm
by Shummu
tasleem kia dil nai ais showk ka yeh fun bhi
palkon kai dareechon se dharkan mai utar jana

Posted: Fri Aug 26, 2005 8:50 am
by syed bilal armaan
Tum dareechey se ruq apna dikha jana
hum ko ghazl'oun jab zaroorat ho


S.M.BILAL ARMAAN ]

Posted: Fri Aug 26, 2005 9:08 am
by syed bilal armaan
Is ghar ke in dareech'oun ke sheesh'oun ko na badlo
is par abhi kissi pathar mara bhi nahi hai.

dareecha"

Posted: Fri Aug 26, 2005 10:38 pm
by Abdullah Nazir



dareechah khul gayaa hei zehn kaa uski sharaarat se

use maiN band kardoongaa, ghazal houne tou do poori.



Nazir.


Posted: Sat Aug 27, 2005 7:33 am
by syed bilal armaan
ye meri pasandida ghazal hai...is liye yahan par post kar raha hoon..

Posted: Sun Aug 28, 2005 7:53 am
by hassan_bashir
Dard ke phul bhee khilate haiN bikhar jaate hiaN
Zakhm kaise bhi hoN kuch roz maiN bhar jaate hiaN

Us Dareeche maiN bhi ab koi nahiN aur hum bhee
Sar jhukaaYe hue chup-chaap guzar jaate haiN

dareecha

Posted: Mon Aug 29, 2005 4:40 am
by Abdullah Nazir



dareeche se wo aankhaoN ke jo aayaa

tou dil meiN raushni sii hougaii hei

takalluf hei zaraa baaqi abhi tak

abhi jur'at kii us meiN kuch kami hei.



Nazir.


Posted: Tue Aug 30, 2005 8:38 am
by syed bilal armaan
salam walekum
Dostoun app ney unwan"DAREECHA" par bahut acche ashar likhe.lekin ab is unwan ka bhi waqt katam ho gaya hai. Ab pesh hai ek nay unwan "NAAM" app is unwan par bhi apne pasandida ashar likhiye.naya unwan naye fourm may mulaheza kijye.