Page 1 of 2

Guz: 8 meri kawish

Posted: Sun Aug 21, 2005 6:06 pm
by gazal_uzma
azeezan-e-bazam
aadab
pehli dafa iss tarah k mushairay main hissa lay rahi hon pehli dafa kisi misray pay girhain lagaie hain
aap logo ki honest raye ka intizar rahay ga pls kahin bhi koie kami ya khami pain tu mujhay zaror batain
all types of suggestions r warm welcomed
regards
uzma khan

Rothtay hoin kia kabhi aisay zindagi say
“Khata hoti hay sahib aadmi say”

Bay dharrak hi dil main utar gaye thay tum
Couch milay thay hamain aisi sadgi say

Nah phariye nazrain hamaray haqooq say
Nahin milay gi jannat srif bandagi say

Kehkashain si bikhar hoien thin her tarf
Utray thay aisay saf rastay, roshni say

Badal tu ghir ghir aatay hain roz roz
Per sawan guzra jata hay bay rukhi say

Hamaray darmiyan tu yaranay thay barso k
Per aaj kiyon tum lagtay ho ajnabi say

Aao k ahead-e-wafa phir say kartay hain Ghazal
Pinap hi jain gain rishtay, chandni say


Image

Posted: Mon Aug 22, 2005 10:59 pm
by Shummu
Bay dharrak hi dil main utar gaye thay tum
Couch milay thay hamain aisi sadgi say

Nah phariye nazrain hamaray haqooq say
Nahin milay gi jannat srif bandagi say

Hamaray darmiyan tu yaranay thay barso k
Per aaj kiyon tum lagtay ho ajnabi say

Aao k ahead-e-wafa phir say kartay hain Ghazal
Pinap hi jain gain rishtay, chandni say

wah..bahut khoob.....uzma jee bahut achche khayalaat ko qalam band kiya hai aapne magar bas ghazal behr mein nahi hai...agar behr mein hoti to mazaa dobaala ho jaata.... mashq-e-sukhan jaari rakhein...! :)

Shumaila

Posted: Tue Aug 23, 2005 3:57 am
by jawaid badauni
Mohtarmah Uzma Sahibah,

Bahut achchee Ghazal se nawaza hai aap ne, ummid hai aaindah bhi apna kalam bhejtee raheNgee.

Apka Mukhlis,

Naacheez,
Jawaid

Posted: Tue Aug 23, 2005 10:25 am
by rahmed25682
Salam Uzma ...

Kaafi din baad aap kee ghazal nazar se guzry ... khayalaat achhay hain .. bus wohi SHUMMU ka kahna theek hay k ghazal kharij-az-behr hay ..

aap koshish jaary rakhain aur muta'la per zor dain. Islaah k liye ustaad sho'ra se rujoo farmayen.

ALLAH KARAY ZOR-e-QALAM AUR ZIADA

Khush rahain

Khair Andesh

Raheel Ahmed

Posted: Thu Aug 25, 2005 9:58 am
by nigaah
Uzma Sahiba...

bohut acha laga aap ko yahaN bhi jalwa afroz dekh kar...:)..... Ghazal bohut achi lagi.... behr ki jaanib tawajju tou dila hi chukay haiN ehbaab..... ye kami tou mashq say az Khud behter hoti chali jaye gi....albatta Khayaalat ki zameen zarKhaiz hai.... is ki aabyaari karti rahiye ......tou hamaiN bohut achi kaawishaat paRhnay ko milti rahaiNgi aap say ......Ghazal per bohut si daad qubool kijye....:)

Nigaah

Posted: Thu Aug 25, 2005 6:27 pm
by gazal_uzma
Shummu wrote:Bay dharrak hi dil main utar gaye thay tum
Couch milay thay hamain aisi sadgi say

Nah phariye nazrain hamaray haqooq say
Nahin milay gi jannat srif bandagi say

Hamaray darmiyan tu yaranay thay barso k
Per aaj kiyon tum lagtay ho ajnabi say

Aao k ahead-e-wafa phir say kartay hain Ghazal
Pinap hi jain gain rishtay, chandni say

wah..bahut khoob.....uzma jee bahut achche khayalaat ko qalam band kiya hai aapne magar bas ghazal behr mein nahi hai...agar behr mein hoti to mazaa dobaala ho jaata.... mashq-e-sukhan jaari rakhein...! :)

Shumaila
dear shumaila ji
ghazal pasand karnay ka shukriya
seekhnay k marahil main hon... radif or qafiyaye ka couch samjh aaya hay per abhi behar ko wazan main kehnay say dur hon but hope 4 the best i have always insha Allah woh din bhi zaror aaye ga jub meri ghazlain bhi behar main hongi :)
thanks 4 reading and appriciation
regards
uzma khan

Posted: Thu Aug 25, 2005 6:58 pm
by gazal_uzma
sara_j wrote:bohat khoob uzma..........aapne koshish ki aur
humari baat ka maan rakhliye, main tehdil se
aapki mamnoon hoon.

khayalaat bohat ache hain .

sara

sara ji
yeh tu aap ki hi zarah nawazi hay jo main idhar hon other wise mujhay tu pata bhi nahi tha :)
thanks sara ji
regards
uzma khan

Posted: Thu Aug 25, 2005 7:09 pm
by gazal_uzma
jawaid badauni wrote:Mohtarmah Uzma Sahibah,

Bahut achchee Ghazal se nawaza hai aap ne, ummid hai aaindah bhi apna kalam bhejtee raheNgee.

Apka Mukhlis,

Naacheez,
Jawaid
jawaid sahib
ghazal parrhnay, sarhnay or comments karnay pay main aap ki bayhad mamnoon hon
insha Allah zaror ainda bhi yeh koshish jari rahay gi
thanks & regards
uzma khan

Posted: Thu Aug 25, 2005 7:33 pm
by gazal_uzma
rahmed25682 wrote:Salam Uzma ...

Kaafi din baad aap kee ghazal nazar se guzry ... khayalaat achhay hain .. bus wohi SHUMMU ka kahna theek hay k ghazal kharij-az-behr hay ..

aap koshish jaary rakhain aur muta'la per zor dain. Islaah k liye ustaad sho'ra se rujoo farmayen.

ALLAH KARAY ZOR-e-QALAM AUR ZIADA

Khush rahain

Khair Andesh

Raheel Ahmed
raheel sahib
thanks 4 reading and appriciation
ji haan aap ka kehna bilkul drust hay or main in simton main koshish kar rahi hon
waisay aap ka birthday note meray forum pay wait kar raha hay arsa daraz say aap us tarf nahi aaye hain :roll:
thanks & regards
uzma khan

Posted: Thu Aug 25, 2005 7:45 pm
by gazal_uzma
nigaah wrote:Uzma Sahiba...

bohut acha laga aap ko yahaN bhi jalwa afroz dekh kar...:)..... Ghazal bohut achi lagi.... behr ki jaanib tawajju tou dila hi chukay haiN ehbaab..... ye kami tou mashq say az Khud behter hoti chali jaye gi....albatta Khayaalat ki zameen zarKhaiz hai.... is ki aabyaari karti rahiye ......tou hamaiN bohut achi kaawishaat paRhnay ko milti rahaiNgi aap say ......Ghazal per bohut si daad qubool kijye....:)

Nigaah
nigha ji
thanks alot 4 ur appriciation and reading of my ghazal
aap ki nasihatain pallo say bandh li hain :)
thanks & regards
uzma khan

Posted: Thu Aug 25, 2005 11:22 pm
by Star Mind
Uzma SaaHiba, aap ki Ghazal naz^ar-nawaaz hoi , bohut pasand aayee ! Khyaalaat bohut u'mdah haiN , albatta aap ko waz ko qaaboo maiN laane keleye shaai'ree kaa chilla kaaTnaa paReyga :-)

shukriya

moKhliS : Zia Baloch

Bahut khoob waah waah

Posted: Fri Aug 26, 2005 3:54 pm
by irfan barabankwi
mohtaramah

UZMAH KHAN SAAHIBAH

tasleemat

wah wah. subhan allah. bahut hi khoosurat kalam hai. meri ghair maujoodgi maiN urdu bandahn ne bahut taraqqi ki hai. ab to bahut hi umdah kalam aap log pesh kar rahay haiN. bahut khoob . keep it up.

khair andaish

irfan barabankwi

Posted: Mon Aug 29, 2005 7:39 pm
by gazal_uzma
Star Mind wrote:Uzma SaaHiba, aap ki Ghazal naz^ar-nawaaz hoi , bohut pasand aayee ! Khyaalaat bohut u'mdah haiN , albatta aap ko waz ko qaaboo maiN laane keleye shaai'ree kaa chilla kaaTnaa paReyga :-)

shukriya

moKhliS : Zia Baloch
zia ji
yeh chilla kaisay kata jaye ga agar couch nishandahi kar dain tu barri nawazish hogi peer ji :D
thanks 4 reading and appriciation
regards
uzma khan

Re: Bahut khoob waah waah

Posted: Mon Aug 29, 2005 7:51 pm
by gazal_uzma
irfan barabankwi wrote:mohtaramah

UZMAH KHAN SAAHIBAH

tasleemat

wah wah. subhan allah. bahut hi khoosurat kalam hai. meri ghair maujoodgi maiN urdu bandahn ne bahut taraqqi ki hai. ab to bahut hi umdah kalam aap log pesh kar rahay haiN. bahut khoob . keep it up.

khair andaish

irfan barabankwi
aadab irfan sahib

itni khobsorat dad k liay main aap ki teh-e-dil say mamnoon hon

thanks & regards
uzma khan

Posted: Tue Aug 30, 2005 6:21 am
by Star Mind
gazal_uzma wrote:
Star Mind wrote:Uzma SaaHiba, aap ki Ghazal naz^ar-nawaaz hoi , bohut pasand aayee ! Khyaalaat bohut u'mdah haiN , albatta aap ko waz ko qaaboo maiN laane keleye shaai'ree kaa chilla kaaTnaa paReyga :-)

shukriya

moKhliS : Zia Baloch
zia ji
yeh chilla kaisay kata jaye ga agar couch nishandahi kar dain tu barri nawazish hogi peer ji :D
thanks 4 reading and appriciation
regards
uzma khan

uzmaa jee , aadaab

Huzoor chilla kaaTne ka aek aasaan a'mal aap ko darj-zel mazmoon maiN melega ! ise Ghor se paRheye aur is par a'mal kejeye , phir dekheye k shaai'ree ki deevee aap par kaise mehrabaan hoti hai ! :wink:

lejeye link ye hai:

http://www.urdustan.com/mazameen/nikaat/nikaat7.html