Page 1 of 1

TaraHi Ghazal / Guz.8 ke miSreA per: Irfan Barabankwi

Posted: Mon Aug 22, 2005 10:08 am
by irfan barabankwi

MuHtaramaat o MuHtarameen
Ahbaab-e-sukhan,

Tasleemaat,

Guzaris 8 ke miSreA per maiN apni TaraHi ghazal pesh karrahaa hooN. Ummeed ke aap apni giraNqadr aaraa se mustafeed houne kaa mauqaA denge.

Khair Andesh,
Irfan Barabankwi.

GHAZAL roman meiN

wahi zinda rahega sar-khushi se
jo samjhauta karega zindagi se

miri ghairat Talab karti nahiN kuchh
nibahey ja rahi hai tishnagi se

ameeri dushman-e-iemaN rahi hai
magar yeh Dar nahi hai muflisi se

bura hota hai yeh shauq-e-tajassus
chhuRai isne jannat aadmi se

safar meiN istiqamat hai zaroori
nahiN milti hai manzil gumrahi se

kahiN behtar thi laa-ilmi hamari
sukuN khuya hai apni aagahi se

yaqeeN uski zubaN per kar liya tha
" khaTa hoti hai saheb aadmi se "

bahut muhtaT kar deti hai humko
yahi ek fayedah hai dushmani se


yaqeenan aik din Dasta hai sabko
raho hushyar maar-e-dosti se

dagha ik roz de j ati hai humko
muhabbat aur aisi zindagi se ?

salasat hai bahut Irfan is meiN
ghazal kahte ho kitni saadgi se

Irfan Barabankwi

Posted: Mon Aug 22, 2005 10:49 am
by gazal_uzma
irfan sahib
1st time main nay aap ki koie takhleeq parrhi hay and i must say its really wonderful
maidan mar lia aap nay tu
bohot khobsorat or jama likha hay aap nay iss nacheez ki raye main
regards
uzma khan

Posted: Tue Aug 23, 2005 3:50 am
by jawaid badauni
Azeezi Irfan Sahab,
Salam qubool kijiye

Bahut din bAAd aap se mulaqat ka sharaf hacil kar raha hooN.

Bahut haseen Ghazal se nawaza hai aap ne, Zindabad.

Meri daad qubool farmaaiyega.

Mukhlis
Jawaid

Posted: Thu Aug 25, 2005 9:17 am
by nigaah
Janab Irfan Sahab

aap ki Ghazal say ashaar muntaKhab karnay maiN hum naakaam rahay ....kiuNke koi shair bhi aisa nahiN tha jisay choR kar aagay baRh jaya jaata.....

wahi zinda rahega sar-khushi se
jo samjhauta karega zindagi se

miri ghairat Talab karti nahiN kuchh
nibahey ja rahi hai tishnagi se

ye shair tou Khaas taur say daad ka mustahiq hai........

ameeri dushman-e-iemaN rahi hai
magar yeh Dar nahi hai muflisi se

dushman-e-iemaN tou baaz auqaat muflisi bhi ho jati hai..... bhook to aadam ko aadam Khor bana deti hai...:)...nafs ka shikanja tou her do sooratoN, yani muflisi-o-amaarat, maiN insan ko kass hi leta hai.....kia kehtay haiN aap?:)

bura hota hai yeh shauq-e-tajassus
chhuRai isne jannat aadmi se

bohut Khoob...ek aur umda shair...

safar meiN istiqamat hai zaroori
nahiN milti hai manzil gumrahi se

kahiN behtar thi laa-ilmi hamari
sukuN khuya hai apni aagahi se

kia kehnay...daad qubool kijye...

yaqeeN uski zubaN per kar liya tha
" khaTa hoti hai saheb aadmi se "

janaab girah tou bohut hi teekhi hai....lutf aagaya...

bahut muhtaT kar deti hai humko
yahi ek fayedah hai dushmani se

bay shak....Hazrat Ali Hajveri farmaatay haiN "taaqatwar dushman insan ko chust aur hoshyaar rakhta hai"....

yaqeenan aik din Dasta hai sabko
raho hushyar maar-e-dosti se

dagha ik roz de j ati hai humko
muhabbat aur aisi zindagi se ?

ye shair bhi bay hud bhala laga....

salasat hai bahut Irfan is meiN
ghazal kahte ho kitni saadgi se

wah....maqta kehnay ke andaaz maiN bhi baRi saadgi hai......

dhairoN daad qubpol kijye..

Nigaah

Bahut bahut shukriya

Posted: Fri Aug 26, 2005 3:24 pm
by irfan barabankwi
mohtaramah

UZMA KHAN SAAHIBAH

purkhuloos tasleemat

mujh nacheez ki mAmooli ghazal per dher si daad dekar aapney meri jo hauslah afayi farmayi hai uske liye maiN aapka behud mamnoon hooN.
is tarah ki satayesh hi aik fankar ko mazeed behtar fun ki takhleeq per uksati hai. i shall try my best to keep it up . insha allah . aapki daad-o-tahseen ka aik bar phir shukriyah.

khair andaish

irfan barabankwi

Bahut bahut shukriyah

Posted: Fri Aug 26, 2005 3:26 pm
by irfan barabankwi
mohtaramah

SARA SAAHIBAH

purkhuloos tasleemat

ghazal ki pzirai ka bahut bahut shukriyah. ummeed hai ke ayenda bhi
aap hauslah deti raheiNgi.

khair andaish

irfan barabankwi

Bahut bahut shukriyah

Posted: Fri Aug 26, 2005 3:31 pm
by irfan barabankwi
mohtaram

JAWID SAHEB

salam-e-masnoon

bahut dino ke baad aapka maktoob nazar nawaz hua. maiN aap jaisay
sahib-e-ilm ki satayesh ka hamesha muntazir rahta hooN kiyoNke yah
mujhey mazeed bahtar kalam pesh karney ki tahreedk deti hai. jawab ki takheer ke liye mAzarat chahta hooN. shukriyah

khair andaish

irfan barabankwi

Bahut bahut shukriya

Posted: Fri Aug 26, 2005 3:37 pm
by irfan barabankwi
mohtaramah

NIGAH SAAHIBAH

purkhuloos tasleemat

aapka tafseeli aur khoobsurat tabsirah aaj nazar se guzrah. bahut bahut shukriyah ke aapney is nacheez ki ghazal per itna bhar poor tabsirah
karney ki zahmat gawarah farmayi. ummeed hai ke ayndah bhi aap apni mohabbatoN se nawazti raheiNgi. shukriyah

khair andaish

irfan barabankwi

Posted: Fri Aug 26, 2005 10:49 pm
by Star Mind
moHtaram Irfan Abid SaaHib , aadaab

janaab aap se baRe a'rSe baa'd mulaaqaat hoi hai , jee bohut Khush howaa ! aap to jaante haiN aap ki Ghazal ne hamesha hamaare zauq-e-tishna ki tishnagee aur baRhaayee hai ! aur janaab ye KhaaSiyyat har kalaam maiN nahiN hoti ! aap k is kalaam maiN pora saamaaN hai hamaare zauq keleye ! is keleye aap ka mamnoon haiN !
pori Ghazal u'mdah hai ! daad qabool kejeye ! shukriya

moKhliS : Zia Baloch

Bahut achchi ghazal hei aapki

Posted: Sat Aug 27, 2005 5:12 am
by Abdullah Nazir

Janabab
Irfan Barabankwi Saahib

Purkhuloos Tasleemaat,

Aapki ghazal bahut hi dilkash hei. Saare ke saare ashAaar bahut hii achche heiN.

Is kaamyaab koushish per meri daad aur mubaarakbaad qubool farmaayhiye.



Aapka Mukhlis,
Nazir.


Re: TaraHi Ghazal / Guz.8 ke miSreA per: Irfan Barabankwi

Posted: Sat Aug 27, 2005 9:42 am
by Shummu
wahi zinda rahega sar-khushi se
jo samjhauta karega zindagi se
wah!umda matla!!!

ameeri dushman-e-iemaN rahi hai
magar yeh Dar nahi hai muflisi se

hmm badi gehri baat kahi hai aapne is sher mein..wah!
bura hota hai yeh shauq-e-tajassus
chhuRai isne jannat aadmi se
wowwwwwwwww beautiful..bahut hi khoob aur sach kaha.....

kahiN behtar thi laa-ilmi hamari
sukuN khuya hai apni aagahi se
zabardast....aur maine likha tha keh..

"laraz uThti hoon har aahaT pe maiN to
milaa hai Dar ye mujh ko aaghii se"

bahut muhtaT kar deti hai humko
yahi ek fayedah hai dushmani se
ye bhi khoob kaha!

dagha ik roz de j ati hai humko
muhabbat aur aisi zindagi se ?
jee han kitna bhi insaan mohabbat kar le zindagi se..ek na ek zindagi bhi chorh jaati hai..

salasat hai bahut Irfan is meiN
ghazal kahte ho kitni saadgi se
bahut umda maqta!!!waqaii aap ke kalaam mein saadgii hoti hai magar gehraayi aur baDa besaakhta andaaz hota hai aap ka....dheron daad haazir hai..aur satah muazarrat ke itni khoobsurat ghazal abhi tak paRh nahi paayi thi..main is gumaan mein thi ke paRh chuki hoon...sorry ..aayenda time pe aaongi :grin:

Shumaila

Re: TaraHi Ghazal / Guz.8 ke miSreA per: Irfan Barabankwi

Posted: Mon Sep 05, 2005 1:53 am
by Anmol
irfan barabankwi wrote:

wahi zinda rahega sar-khushi se
jo samjhauta karega zindagi se

miri ghairat Talab karti nahiN kuchh
nibahey ja rahi hai tishnagi se

bura hota hai yeh shauq-e-tajassus
chhuRai isne jannat aadmi se

kahiN behtar thi laa-ilmi hamari
sukuN khuya hai apni aagahi se
Mohtaram Irfan Sahib, adaab!

Hamesha ki tarah is baar bhi aap ki ghazal bohot shauq se open ki aur paRh kar hargiz mayoosi nahiN hui!! KyuNke,

Hamesha ki tarah is baar bhi aap ne bohot Khoob ghazal irshaad farmayi hay. :-)

(dekha, maiN nasr meiN takraar-e-lafzi karti huN :wink: )

Mujhe quoted ashaar bohot zyada pasand aaye, itni acchi ghazal ki tareef k liye aise alfaaz kahaN se laooN jo is ka haq ada kar sakeN, chaliye aap hi ke maqte ka sahaara leti huN, :wink:

salasat hai bahut Irfan is meiN
ghazal kahte ho kitni saadgi se


:grin: