Page 1 of 1

TaraHi Ghazal - -- - (Guz.8). Abdullah Nazir.

Posted: Mon Aug 22, 2005 12:43 pm
by Abdullah Nazir

MuHtaramaat o MuHtarameen
Arbaab-e-MeHfil aur aHbaab-e-sukhan,

Purkhuloos Tasleemaat, :rose


Guz.8 ke TaraHi miSreA per apni ghazal pesh karne kii saAaadat Haasil karrahaa hooN. Ummeed ke aap apne giraaNqadr tabSiraoN se navaazak mujhe shukriyah adaa karne kaa mauqaA denge.

G H A Z A L

are tak aagaye tum kiuN ajee se
khaTaa houti hei Saahib aadami se

nah pesh aate agar begaanagi se
hamaari aankh bhar aati khushi se

nahiN raghbat mujhe be-rehravi se
bahak jaataa hooN aashuftah sari se

nah baaz aaye abhi tak be-rukhi se
milaa karte hou jaise ajnabi se

yaheeN maljaa bhii hei marqad bhi mera
kahaaN jaa'uN bhalaa teri gali se

chale jaate heiN sab hii muNh chiRaakar
kisi ko kyaa milaa hei zindagi se

dikhaata hooN maiN tujh ko shakl teri
tujhe kyaa dushmani hei aarsii se

miraa dil le ke bhii detaa nahiN kuch
paRaa hei waasTah kis maTlabi se

banaadeN dasht o seHraa ko bhii jannat
agar fursat mile darmaandagi se

yeh ashk-e-chashm-e-nam heiN yaa sitaare
chamakte heiN jo heere kii kani se

idhar bhii aiy khumaar-e-chashm-e-jaanaaN
hameN bhii hei taAlluq maikashi se

jaras per kaan dharnaa hei zaroori
Sadaa aayi qiyaamat kii ghaRi se

Bahut piyaasaa hooN maiN ilm o hunar kaa
Samundar kam hei :Nazir: tishnagi se
=======

Aapka Mukhlis,
Nazir.


Posted: Mon Aug 22, 2005 5:37 pm
by jawaid badauni


Mohtarmee Abdullah Nazir Sahab,
Aadaab

"Der aayad durust aayad" shayad isee ko kahte haiN.
Nihayat haseen Ghazal se nawaza hai aap ne. Jab se
yeh ghazal paRhee hai, apki tazmeen jo ek matAlay
ki shakl meN hai mere laboN per hai. "Ajee" se "Arey"
tak ka facilah mujhe bahut pasaNd aaya. Ek munfarid
see kafiyyat ki nishandihi karta hai yeh sher. Zubaan
ke misAray ne qayamat ki sheriyyat paida kar dee hai
is matAlay meN.

Tamam ashAAr hi lajawaab haiN kis kis ka zikr karooN.
Such poochiye to matLay ke baad jo sher sub se ziyada
pasaNd aaya hai woh hai apka maqta'. Kya kahna Nazir
Sahab ilm.o.fun ki oos pyas ka jo samandar se nah bujh
sake. Aise haseen ashAAr kahna aap ka hi kaam hai
janaab.

Meri janaib se daad.o.tahseen aur dili mubarakbad
qubool farmaiyega.

Naacheez,

Jawaid Badauni

Re: TaraHi Ghazal - -- - (Guz.8). Abdullah Nazir.

Posted: Mon Aug 22, 2005 10:55 pm
by Shummu
WEBMASTER wrote:
MuHtaramaat o MuHtarameen
Arbaab-e-MeHfil aur aHbaab-e-sukhan,

Purkhuloos Tasleemaat, :rose


Guz.8 ke TaraHi miSreA per apni ghazal pesh karne kii saAaadat Haasil karrahaa hooN. Ummeed ke aap apne giraaNqadr tabSiraoN se navaazak mujhe shukriyah adaa karne kaa mauqaA denge.

G H A Z A L

are tak aagaye tum kiuN ajee se
khaTaa houti hei Saahib aadami se

nah pesh aate agar begaanagi se
hamaari aankh bhar aati khushi se

nahiN raghbat mujhe be-rehravi se
bahak jaataa hooN aashuftah sari se

nah baaz aaye abhi tak be-rukhi se
milaa karte hou jaise ajnabi se

yaheeN maljaa bhii hei marqad bhi mera
kahaaN jaa'uN bhalaa teri gali se

chale jaate heiN sab hii muNh chiRaakar
kisi ko kyaa milaa hei zindagi se

dikhaata hooN maiN tujh ko shakl teri
tujhe kyaa dushmani hei aarsii se

miraa dil le ke bhii detaa nahiN kuch
paRaa hei waasTah kis maTlabi se

banaadeN dasht o seHraa ko bhii jannat
agar fursat mile darmaandagi se

yeh ashk-e-chashm-e-nam heiN yaa sitaare
chamakte heiN jo heere kii kani se

idhar bhii aiy khumaar-e-chashm-e-jaanaaN
hameN bhii hei taAlluq maikashi se

jaras per kaan dharnaa hei zaroori
Sadaa aayi qiyaamat kii ghaRi se

Bahut piyaasaa hooN maiN ilm o hunar kaa
Samundar kam hei :Nazir: tishnagi se
=======

Aapka Mukhlis,
Nazir.


WAH WAH WAHHHHHHH bahut bahut umda ghazal kahi hai aapne NAZIR SAHAB...kya kehne...ek ek sher naGeena hai...kis sher ki taareef karooon kis ki nahi...bahut munfarid likha hai aapne....dheron daad haazir hai is khoobsurat kalaam pe.... :grin:


Shumaila

Posted: Tue Aug 23, 2005 6:23 pm
by gazal_uzma
abdullah sahib
bohot umda ghazal hay aap ki
regards
uzma khan

Posted: Thu Aug 25, 2005 9:45 am
by nigaah
Janab Abdullah Nazir Sahab

bay hud Khubsoorat kalaam ....aur andaaz-e-bayaaN bohut bay saaKhta hai.....

ajee say are tak ....ka andaaz bohut bhala hai......ashufta ravi say behak jaanay ki misaal bhi bohut munfarid hai...... munh chiRa kar chalay jaanay wali tarkeeb nay bhi baRa lutf diya.....aur is sahir ke tou kai hi kehnay ......mazay lay lay kar paRha hum nay is teekhay shair ko.....

miraa dil le ke bhii detaa nahiN kuch
paRaa hei waasTah kis maTlabi se

aur ye maKhmoor shair bhi bay Khaas tor say pasand aaya ......

idhar bhii aiy khumaar-e-chashm-e-jaanaaN
hameN bhii hei taAlluq maikashi se


aap ki Ghazal ka har shair apni misaal aap hai ......hum to bas paRh kar sar dhunnay waloN main say haiN ....tabsaray ki hamaari haisiyat nahiN.....:)....dhairoN daad qubool kijye...

Nigaah

Posted: Fri Aug 26, 2005 11:06 pm
by Star Mind
moHtaram A.Nazir SaaHib, aadaab !

janaab aap ki kisee bhi Ghazal par kuchh kehne se pehle maiN 100 baar sochhtaa hoN k likkhoN to kyaa likkhoN , magar waay-e-kam i'lmee k kuchh nahiN soojhtaa ! kaash maiN is qaabil hotaa k aap ki is KhoobSoorat Ghazal par aek bharpoor tabSira kartaa magar
"aye basaa aarzooi k khaak shudah"

maiN daad nahiN de saktaa ! albatta apnee tinshagee ko bayaan karne aayaa hoN ! aur chaahtaa hoN k aap youNhi is tishnagee ko mazeed tishna kardeN ! taak zauq ka chaman seraab hojaaye !

poori Ghazal laa-jawaab hai !

shukriya

moKhliS :

Zia Baloch

Bahut shukriyah

Posted: Sat Aug 27, 2005 4:58 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami o Azeezi
Zia Baloch Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat,

Aapka tabSirah is qadar dilkash hei ke javaab dene meiN mujhe taraddud hourahaa hei:

"khshk taar o khushk paud o khushk post
az kujaa me aayad heeN aavaaz-e-doust"

Yeh aapki zarrah navaazi hei ke aapko meri ghazal pasand aayi aur aap ne pazeerayi karke mujhe mamnoon farmaayaa.

Aapkki site per aanaa hii mere liye baaAice masarrat hei. Shukriya.


Aapka Mukhlis,
Nazir.


Shukriyah

Posted: Wed Aug 31, 2005 12:45 pm
by Abdullah Nazir

MuHtarami o Azeezi
Zia Baloch Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat,

Aapki zarrah navaazi hei ke aap ne meri TaraHi ghazal kii pazeerayi kii aur hameshah kii taraH daad o teHseen ke khoobsoorat alfaaz se navaaza. Yehi tou aapke ikhlaas o muhabbat kii daleel hei ke jab bhii mauqaA moyassar aataa hei, aap meri Hausla afzaayi farmaate heiN. MaiN aapkaa behad shukrguzaar hooN.


Aapka Mukhlis,

Nazir.


Re: TaraHi Ghazal - -- - (Guz.8). Abdullah Nazir.

Posted: Mon Sep 05, 2005 1:43 am
by Anmol
Mohtaram Nazir Sahib, adaab!

:-) Waah bohot Khoob ghazal hay, sabhi ashaar acche lage, lekin quoted sher paRh kar to bohot zyada lutf aaya. Waah kesi khinchayi ki hay meHboob ki. :grin: :wink:
WEBMASTER wrote:
miraa dil le ke bhii detaa nahiN kuch
paRaa hei waasTah kis maTlabi se

shukriya

Posted: Fri Sep 09, 2005 1:03 pm
by Abdullah Nazir

A N M O L

Purkhuloos Tasleemaat,

MaiN apne aakhiri javaab ke b'ad apni ghazal kii Taraf palaT kar nahiN dekhaa.

Aap peeche se aagayieN aur maiN Hairan rehgayaa. lGhazal kii pazeerayi ke liye beHad shukrguzaar hooN. Mandarja-e-zeil sheAr ko ziyaadah pasand karne ke liye bhi bahut bahut shukriyah:

miraa dil le ke bhii detaa nahiN kuch
paRaa hei waasTah kis maTlabi se


Aap ne apne tabsireh meiN meHboob kii khinchaayi kaa zikr karte houe mere dil kii qeemat baRhaadi hei.


Aapka Mukhlis,
Nazir.


shukriyah

Posted: Sun Sep 11, 2005 2:27 pm
by Abdullah Nazir

MuHtaramah
Saara Saahibah,

- -- -
Purkhuloos Tasleemaat,


Apni ghazal per aapka giraNqadr tabSirah paRhke behad khushi houi. MaiN javaab dene meiN ta'kheer ke liye muAafi kaa khwaastgar hooN.
Yaqeenan aapki Hauslah afzaayi mere liye aayind bhii bahut mufeed caabit hougi.

Aapka Mukhlis,
Nazir.