Page 1 of 1

abhi kuch log haiN uspaar meray

Posted: Fri Jan 07, 2005 12:50 pm
by Mahtab Qadr
Jeddah mai di gai aik tarah,:abhi kuch log haiN uspaar meray" par kahi gai aik ghazal..

unhaiN katwa rahay the yaar meray
shhajar the jitnay sayadaar meray

kahaN gum ho gaye haiN naqsh e pa sab
huve kioN raastay dushwaar meray

badaltay maosamoN ke saath badlay
vo jo ahbaab thay dochaar meray

koi to lay sabaq in zalzaloN say
bharay haiN shahr ke akhbar meray

banaya hai makaN donoN ne milkar
zameeN unki dar o deewar meray

bhikari ki tarah na daad mangoN
koi kaasa nahi ashaar meray

Posted: Fri Jan 07, 2005 1:44 pm
by waqar_masood
kahaN gum ho gaye haiN naqsh e pa sab
huve kioN raastay dushwaar meray

badaltay maosamoN ke saath badlay
vo jo ahbaab thay dochaar meray

mahtab qadr sahib . umda, bay had umdaa ghazal tarteeb de hay .. buhut hi khubsoorat ashaar hain sab kay sab aur takhayyal bhi khoob hay ..umda aslob e beyaan hay ..share kernay ka bay had shukria

waqar masood

Re: abhi kuch log haiN uspaar meray

Posted: Sat Jan 08, 2005 5:04 am
by Hashmat Usmani
salaam Sarfaraz saaHib,

aapkii taraHii Ghazal paRh kar bahot lutf aayaa. subHaan Allah, waah waah, kia kahne. Allah kare zor-e-qalam aur ziyaadah. pahle she'r ko to aap ENVIRONMENTALISTS ke nazar kar deN. vo bahot Khush hoNge:


unheN kaTvaa rahe the yaar mere
shajar the jitne saaya_daar mere


urdustan mushaai're meN ek daf'a ek tasveer dii gaii thii jis par Ghazal kahnii thii. vo tasveer ek saaHil kii thii jis meN chand naqsh-e-paa nazar aa rahe the. us tasveer par yeh she'r zabardast fiT baiThta hai:

kahaaN gum ho gaye haiN naqsh-e-paa sab
huve kiuN raaste dushwaar mere


aapkaa yeh she'r paRh kar ek gaane ke chand ek bol yaad aa gaye:

achchhe ki bure! ham jais the
ham jaise the, ham vaise haiN
insaan nahiiN vo mausam hai
jo waqt ke saath badalte haiN


badalte mausamoN ke saath badle
vo jo ai'Hbaab the do_chaar mere


Tsunaamii kii tabaah_kun asaaraat aur halakat-e-insaanii paRh kar aaNsoo nikal aate haiN. kaash hamaare a'maal behtar hoN taa_ki aise qai'hr-e-Ilaahii se bach sakeN. aameen.

koii to le sabaq in zalzaloN se
bhare haiN shai'hr ke aKhbaar mere


bhai waah! kia saajhe_daarii hai...subHaanAllah!

banaayaa hai makaaN donoN ne mil kar
zameeN unkii, dar_o_deewar mere


bahot KhooB janaab!ek kaamiyaab Ghazal share karne par meri taraf se DheroN daad_o_taHseen aur mubaarak_baad, gar qubool uftaad.

faqat Khaak_saar,

Hashmat

Re: abhi kuch log haiN uspaar meray

Posted: Sat Jan 08, 2005 10:55 am
by Shummu
Mahtab Qadr wrote:
badaltay maosamoN ke saath badlay
vo jo ahbaab thay dochaar meray

koi to lay sabaq in zalzaloN say
bharay haiN shahr ke akhbar meray

banaya hai makaN donoN ne milkar
zameeN unki dar o deewar meray

Wah!!! Bahut khoob Sarfaraz sahab....ye ash'aar bahut umda hain..daad haazir hai :)

Shumaila

Re: abhi kuch log haiN uspaar meray

Posted: Sat Jan 08, 2005 1:00 pm
by tahira Masood
Mahtab Qadr wrote:Jeddah mai di gai aik tarah,:abhi kuch log haiN uspaar meray" par kahi gai aik ghazal..

unhaiN katwa rahay the yaar meray
shhajar the jitnay sayadaar meray


wah bohat a'Alaa bohat khoob!!!! zabardast!!!!!


kahaN gum ho gaye haiN naqsh e pa sab
huve kioN raastay dushwaar meray


mukarrer zabardast!!!!insaan ki zindagi maiN aise muqaam bhi aa jate haiN keh yeh sochnaa hi peRtaa hai


badaltay maosamoN ke saath badlay
vo jo ahbaab thay dochaar meray


oh mere khudaa kayaa hqeeqat bayaan ki haiaa pne bhaa saheb.


koi to lay sabaq in zalzaloN say
bharay haiN shahr ke akhbar meray


aaj tau aap kaa shaiiree ka shaheen bohat bulaand parwaaz ker rehaa hai. wah bohat a'Alaa janaab! kayaa hqeeqat nigaari ki hai Wallah


banaya hai makaN donoN ne milkar
zameeN unki dar o deewar meray



:) encrochment? hahaha mazaaq ber teraf bohat achaa shaer hai.

bhikari ki tarah na daad mangoN
koi kaasa nahi ashaar meray


"koi kaasa nhahiN ash'Aar mere "
khoob ast!!! dilee daad qbul fermaaeiN moHteram

Posted: Sat Jan 08, 2005 2:53 pm
by Star Mind
Assalam-o-a'laikum,

moHtarami M.Q SaaHib,

subHana Allah janaab !! kyaa khene aapne tu meHfil hi looT lee :shock:
bahut hi u'mdah ghazal !! :D . masha Allah aap ne bahut u'mdah asha'aar nikaale aaye haiN . mujhe tu poori ghazal hi pasand aayee, daad qabool kejeye :D . shukriya

mokhliS: Zia Baloch

wah wah

Posted: Thu Jan 20, 2005 12:03 pm
by irfan barabankwi
mohtaram

MEHTAB QADR SSAHIB

apni is khoobsurat ghazal per meri dili daad qubool kareiN. is tarah meiN
maine bhi kuchh koshish ki hai agar waqt mila to kabhi pesh karooNga.
kiya karooN meri masrrofiat meri raah meiN hayel hai.

khair andaish

irfan barabankwi

Posted: Thu Jan 20, 2005 6:43 pm
by Mahtab Qadr
waqar_masood wrote:kahaN gum ho gaye haiN naqsh e pa sab
huve kioN raastay dushwaar meray

badaltay maosamoN ke saath badlay
vo jo ahbaab thay dochaar meray

mahtab qadr sahib . umda, bay had umdaa ghazal tarteeb de hay .. buhut hi khubsoorat ashaar hain sab kay sab aur takhayyal bhi khoob hay ..umda aslob e beyaan hay ..share kernay ka bay had shukria

waqar masood
Mohatram waqar masood sahib , izzatafzai ke lye mashkoor hoN warna banda e nacheez is layeq kahaN.
shukria
mahtab qadr

Re: abhi kuch log haiN uspaar meray

Posted: Thu Jan 20, 2005 6:46 pm
by Mahtab Qadr
Hashmat Usmani wrote:salaam Sarfaraz saaHib,

aapkii taraHii Ghazal paRh kar bahot lutf aayaa. subHaan Allah, waah waah, kia kahne. Allah kare zor-e-qalam aur ziyaadah. pahle she'r ko to aap ENVIRONMENTALISTS ke nazar kar deN. vo bahot Khush hoNge:


unheN kaTvaa rahe the yaar mere
shajar the jitne saaya_daar mere


urdustan mushaai're meN ek daf'a ek tasveer dii gaii thii jis par Ghazal kahnii thii. vo tasveer ek saaHil kii thii jis meN chand naqsh-e-paa nazar aa rahe the. us tasveer par yeh she'r zabardast fiT baiThta hai:

kahaaN gum ho gaye haiN naqsh-e-paa sab
huve kiuN raaste dushwaar mere


aapkaa yeh she'r paRh kar ek gaane ke chand ek bol yaad aa gaye:

achchhe ki bure! ham jais the
ham jaise the, ham vaise haiN
insaan nahiiN vo mausam hai
jo waqt ke saath badalte haiN


badalte mausamoN ke saath badle
vo jo ai'Hbaab the do_chaar mere


Tsunaamii kii tabaah_kun asaaraat aur halakat-e-insaanii paRh kar aaNsoo nikal aate haiN. kaash hamaare a'maal behtar hoN taa_ki aise qai'hr-e-Ilaahii se bach sakeN. aameen.

koii to le sabaq in zalzaloN se
bhare haiN shai'hr ke aKhbaar mere


bhai waah! kia saajhe_daarii hai...subHaanAllah!

banaayaa hai makaaN donoN ne mil kar
zameeN unkii, dar_o_deewar mere


bahot KhooB janaab!ek kaamiyaab Ghazal share karne par meri taraf se DheroN daad_o_taHseen aur mubaarak_baad, gar qubool uftaad.

faqat Khaak_saar,

Hashmat
mohatram Hashmat sahib isqadar bharpoor khoobsurat tabsire aur daad kelye mamnoon hoN
shukria

Re: abhi kuch log haiN uspaar meray

Posted: Thu Jan 20, 2005 6:51 pm
by Mahtab Qadr
Shummu wrote:
Mahtab Qadr wrote:
badaltay maosamoN ke saath badlay
vo jo ahbaab thay dochaar meray

koi to lay sabaq in zalzaloN say
bharay haiN shahr ke akhbar meray

banaya hai makaN donoN ne milkar
zameeN unki dar o deewar meray

Wah!!! Bahut khoob Sarfaraz sahab....ye ash'aar bahut umda hain..daad haazir hai :)

Shumaila
shummu ji aapka isqadar masroofiat ke bawajood hameiN daad dena yaqeenan aik qeemti amar mai jiskelye mai aapka mashkoor hoN.
shukria
Mahtab Qadr

Re: abhi kuch log haiN uspaar meray

Posted: Thu Jan 20, 2005 6:55 pm
by Mahtab Qadr
tahira Masood wrote:
Mahtab Qadr wrote:Jeddah mai di gai aik tarah,:abhi kuch log haiN uspaar meray" par kahi gai aik ghazal..

unhaiN katwa rahay the yaar meray
shhajar the jitnay sayadaar meray


wah bohat a'Alaa bohat khoob!!!! zabardast!!!!!


kahaN gum ho gaye haiN naqsh e pa sab
huve kioN raastay dushwaar meray


mukarrer zabardast!!!!insaan ki zindagi maiN aise muqaam bhi aa jate haiN keh yeh sochnaa hi peRtaa hai

badaltay maosamoN ke saath badlay
vo jo ahbaab thay dochaar meray


oh mere khudaa kayaa hqeeqat bayaan ki haiaa pne bhaa saheb.


koi to lay sabaq in zalzaloN say
bharay haiN shahr ke akhbar meray


aaj tau aap kaa shaiiree ka shaheen bohat bulaand parwaaz ker rehaa hai. wah bohat a'Alaa janaab! kayaa hqeeqat nigaari ki hai Wallah


banaya hai makaN donoN ne milkar
zameeN unki dar o deewar meray



:) encrochment? hahaha mazaaq ber teraf bohat achaa shaer hai.

bhikari ki tarah na daad mangoN
koi kaasa nahi ashaar meray


"koi kaasa nhahiN ash'Aar mere "
khoob ast!!! dilee daad qbul fermaaeiN moHteram
Tahira Masood sahiba
ye to aapki zarraaaanawaazi hai, ke aapne itni bharpoor daad se nawaza mai is hausla afzai ke lye mashkoor hoN.


Mahtab Qadr

Posted: Thu Jan 20, 2005 7:00 pm
by Mahtab Qadr
Star Mind wrote:Assalam-o-a'laikum,

moHtarami M.Q SaaHib,

subHana Allah janaab !! kyaa khene aapne tu meHfil hi looT lee :shock:
bahut hi u'mdah ghazal !! :D . masha Allah aap ne bahut u'mdah asha'aar nikaale aaye haiN . mujhe tu poori ghazal hi pasand aayee, daad qabool kejeye :D . shukriya

mokhliS: Zia Baloch

bradar e azeez Zia sahib , JazakAllah khair, mahfileiN lootna to aap jaise ghazal ke shahzadoN ka kaam hai ham to apne afkaar e paraganda se jo kuch ban parhe pesh kardete haiN, kuch na samjhe khuda kare koi
shukria pasandeedgi ke izhaar ka
Mahtab Qadr

Re: abhi kuch log haiN uspaar meray

Posted: Thu Jan 20, 2005 7:04 pm
by Mahtab Qadr
najm wrote:
Mahtab Qadr wrote:Jeddah mai di gai aik tarah,:abhi kuch log haiN uspaar meray" par kahi gai aik ghazal..

unhaiN katwa rahay the yaar meray
shhajar the jitnay sayadaar meray

kahaN gum ho gaye haiN naqsh e pa sab
huve kioN raastay dushwaar meray

badaltay maosamoN ke saath badlay
vo jo ahbaab thay dochaar meray

koi to lay sabaq in zalzaloN say
bharay haiN shahr ke akhbar meray

banaya hai makaN donoN ne milkar
zameeN unki dar o deewar meray

bhikari ki tarah na daad mangoN
koi kaasa nahi ashaar meray
dearest mahtab jee, aadaab-o-tasleemat.
aap ki Ghazal paRhi. bohat achchii lagii. har she'r dosre se baRh kar hai.
aap ki meHfil nau-waarad hooN. leHaaza logoN ko bilkul naheeN jaantaa aur aap se bhi pehli dafa'a ham-kalam hooN. hukm-e-izan mile to aik baat arz karna chahtaa thaa.
kahaN gum ho gaye haiN naqsh e pa sab
huve kioN raastay dushwaar meray
aap ka ye she'r bohat achaa hai. agar pehle misra'e ko yooN badal diyaa jaaye to is ka lutf aur dobaalaa ho jaataa hai.

kahaN gum naqsh e pa sab ho gaye haiN
huve kioN raastay dushwaar meray


ummeed karta hooN merii ye jisaarat giraaN na guzrae gii.

taalib-e-du'aa
Najm
Najm sahib khushaamdeeed , aapki shirkat yaqeenan hamare lye aik sarmaya hogi. daad o tahseen kelye mashkoor o mamnoon hoN. aapki tajveez ki qadar karta hoN misre ki tabdeeeli ke baare mai inshallah ghaur karoNga
shukria
Mahtab Qadr