Page 1 of 1
Soorat-e-zaKhm-e-dil-o-dard-e-jigar aataa hai!
Posted: Fri Aug 26, 2005 1:23 pm
by Sarwar A. Raz
yaaraan-e-bazm: aadaab!
ek Ghazal HaaZ^ir-e-Khidmat hai. shaayad kisee qaabil ho. yeh bh`ee "Mall-kee-sair" kee marhoon-e-minnat hai lekin wahaaN kee doosree sauGhatoN se raNg-o-aahaNg meN muKhtalif hai. aap kee raaYe kaa intiz^aar rahe gaa. shukriyah!
Sarwar A. Raz "Sarwar"
-----------------------------------------
Ghazal:
Soorat-e-zaKhm-e-dil-o-dard-e-jigar aataa hai
woh mire paas ba-andaaz-e-digar aataa hai!
dil sar-e-bazm-e-Khudee Khaak-ba-sar aataa hai!
SubH kaa bh`oolaa huwaa shaam ko gh`ar aataa hai!
yeh bataa de woh tiree yaad kaa jh`oNkaa to naheeN?
gul-ba-daamaaN jo sar-e-shaam-o-saHar aataa hai
zindagee beet gayee shikwah-e-hijraaN karte
dekh`iYe kab hameN jeenee kaa hunar aataa hai!
SubH se dil ko yeh dhaRkaa saa lagaa rehtaa hai
naamah-bar dekh`iYe kyaa le ke Khabar aataa hai
manzil-e-Gham meN mujh`e itne huwe haiN dh`oke
tujh` se ab aaNkh milaate huwe Dar aataa hai!
be-Khudee ban gayee tamheed Khud-aagaahee kee!
ek muddat meN yeh andaaz-e-naz^ar aataa hai!
"Sarwar" itnaa bh`ee too Haalaat se maayoos nah ho
aate aate hee du,a'aoN meN acar aataa hai!
----------------------------------------------
Sarwar A. Raz "Sarwar"
Posted: Fri Aug 26, 2005 11:17 pm
by Star Mind
moHtaram Sarwar Raz SaaHib, aadaab
subHaana-Allah ! kyaa Khoob Ghazal i'naayat kee hai aap ne ! mazaa aaggayaa ! youN to poori Ghazal hi nehaayat u'mdah hai ! magar mujhe Khaas tor par ye shea'r :
"zindagee beet gaye................"
is qadar pasand aayaa k mat pochheye !
is qadar KhoobSoorat taKhleeq par meeri jaanib se dil khool kar daad qabool kejeye ! nehaayat mamnoon hoN ! shukriya
moKhliS : Zia Baloch
Aapki ghazal bahut pasand aayi
Posted: Sat Aug 27, 2005 6:47 am
by Abdullah Nazir
Sarwar A. Raz "Sarwar"
-----------------------------------------
Ghazal:
Soorat-e-zaKhm-e-dil-o-dard-e-jigar aataa hai
woh mire paas ba-andaaz-e-digar aataa hai!
dil sar-e-bazm-e-Khudee Khaak-ba-sar aataa hai!
SubH kaa bh`oolaa huwaa shaam ko gh`ar aataa hai!
yeh bataa de woh tiree yaad kaa jh`oNkaa to naheeN?
gul-ba-daamaaN jo sar-e-shaam-o-saHar aataa hai
zindagee beet gayee shikwah-e-hijraaN karte
dekh`iYe kab hameN jeenee kaa hunar aataa hai!
SubH se dil ko yeh dhaRkaa saa lagaa rehtaa hai
naamah-bar dekh`iYe kyaa le ke Khabar aataa hai
manzil-e-Gham meN mujh`e itne huwe haiN dh`oke
tujh` se ab aaNkh milaate huwe Dar aataa hai!
be-Khudee ban gayee tamheed Khud-aagaahee kee!
ek muddat meN yeh andaaz-e-naz^ar aataa hai!
"Sarwar" itnaa bh`ee too Haalaat se maayoos nah ho
aate aate hee du,a'aoN meN acar aataa hai!
MuHtarami
Sarwar A. Raz Sarwar Saahib,
Aapki ghazal paRhkar bahut lutF aayaa. Iski saadagi kii vajah se bahut se doust aHbaab ko ziyaadah pasand aayegi.
Saare ke saare ashAaar bahut hii dilkash heiN. Ghazal kii zameen bhi bahut khoobsoorat hei. Pahle khayaal aayaa ke agar radeef "lagtaa hei" houti to ziyaadah luTf aataa lekin jab ghazal dil lagaakar paRhchukaa tou yaqeen aagayaa ke aap ne jou radeef ikhtiyaar kii wo laajavaab hei.
Meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
Posted: Mon Aug 29, 2005 4:26 am
by Sarwar A. Raz
mukarramee Nazir SaaHeb:aadaab!
Ghazal kee pazeeraayee aur daad ke liYe mamnoon hooN. aaj kal Urdu kee sabh`ee meHfileN kuch` sust chal rahee haiN. aap jaise aSHaab-e-i'lm aate-jaate raheN to naH Sirf raunaq barqaraar rehtee hai bal.k doosroN ko bh`ee aane kee tarGheeb hotee hai.
Ghazal meN aap ne radeef :lagtaa hai: kaa Zikr kiyaa hai. ma'loom naheeN yeh Khayaal aap ko kyoN aayaa. ba-har-kaif aap kaa yeh faiSilah keh :aataa hai: hee munaasib hai meree taqwiyyat kaa baa,ic huwaa. shukriyah!
Sarwar A. Raz "Sarwar"
Posted: Mon Aug 29, 2005 11:44 am
by Shummu
yeh bataa de woh tiree yaad kaa jh`oNkaa to naheeN?
gul-ba-daamaaN jo sar-e-shaam-o-saHar aataa hai
zindagee beet gayee shikwah-e-hijraaN karte
dekh`iYe kab hameN jeenee kaa hunar aataa hai!
SubH se dil ko yeh dhaRkaa saa lagaa rehtaa hai
naamah-bar dekh`iYe kyaa le ke Khabar aataa hai
manzil-e-Gham meN mujh`e itne huwe haiN dh`oke
tujh` se ab aaNkh milaate huwe Dar aataa hai!
be-Khudee ban gayee tamheed Khud-aagaahee kee!
ek muddat meN yeh andaaz-e-naz^ar aataa hai!
"Sarwar" itnaa bh`ee too Haalaat se maayoos nah ho
aate aate hee du,a'aoN meN acar aataa hai!
wah bahut khoob...balki bahut hi khoob....maqta pe to khusoosi daad haazir hai Sarwar sahab.... bahut umda ghazal kahi hai aapne hamesha hi ki tarah :)
Shumaila
Posted: Wed Aug 31, 2005 4:25 am
by Sarwar A. Raz
muHibbee Zia SaaHeb:aadaab!
aap kee muHabbat hai keh is qadar i'zzat aur qadr karte haiN! warnah :man aanam keh man daanam: waalaa mu,a'amilah jaaniYe! nawaazish ke liYe mutashakkir hooN.
Sarwar A. Raz :Sarwar:
Posted: Wed Aug 31, 2005 4:27 am
by Sarwar A. Raz
a'zeezah Shumaila: Khush raheN!
Ghazal aap ko pasand aayee to chaliYe yeh aap ke hee naam hai! daad ke liYe mamnoon hooN aur du,a'a-go bh`ee!
Sarwar A. Raz "Sarwar"