Page 1 of 1

Nazm SAAQI NAAMAH : AIK REVIEW

Posted: Sat Aug 27, 2005 12:15 pm
by Ibn-e-siddique
Assalam-o-alaikum

maiN Allama Iqbal ki nazm saaqi naama ka aik mukhtasar sa review pesh karne ki jasaarat kar rahaa hooN. nazm ke is khulaase ko main do (2) qistoN mein pesh karooN ga, taa'ke qaari tavaalat ke khauf se ise nazar andaaz na kareN :)



saaqi naamah


Iqbal ki ye nazm unki kitaab baal-e-jibreel meiN maujood hai. baal-e-jibreel 1935 meiN manzar-e-aam per aaii. aur ye nazm taqreeban 1934 se 35 ke darmiyaani arse meiN likhi gayee.

yooN to Iqbal ka taqreeban saara kalaam hi ishq-e-Haqeeqi per mabnee hai, magar is kitaab "baal-e-jibreel" ka saara kalaam soofiyaana raNg ka hai. jaa.ba.jaa aisi nazmeN aur ghazleN haiN jin meiN Iqbal ne Allah se khitaab kia hai. aur bahot se maqaamaat per musalmaanoN ko be.daar karne ke liye banda-e-momin ko mukhaatib kia hai.

isi taraH iqbal ki is nazm "saaqi naamah" meiN bhi tamaam tar khitaab Allah ta'aala se hai. lafz "saaqi" ko bahot vasee' maanoN meiN iste'maal kia gayaa hai, aur is khitaab ke zariye Musalmaanaan-e-barr-e-sagheer ko khwaab-e-ghaflat se bay.daar karne ki koshish ki gayee hai.

Professor Muhammad Zakariya is nazm ki haiyyat bayaan karte hue likhte haiN :

"asnaaf-e-shaairee meiN saaqi naamah aik nazm hai jo macnavee ki haiyyat meiN likhi jaati hai, umooman is ke liye beHr-e-mutaqaarib mucamman meHzoof (faoolun, faoolun, faoolun , faool ya faa'l) ikhtiyaar ki jaati hai. is nazm meiN jaa.bajaa saqi se khitaab kia jaata hai, maut ki Haqeeqat aur baycabaati-e-dunya ka bayaan kar ke un dukhoN ko bhulaane ke liye sharaab ki talab ki jaati hai, kabhi alaamati andaaz meiN peer-e-kaamil ki vasaatat se vaardaat-e-tasavvuf bayaan ki jaati haiN aur kabhi khudaa ko mukhatib kar ke kaainaat aur insaan ke pur.asraar rishte ko vaazeH karne ki koshish ki jaati hai.

Iqbal ki is nazm meiN khuda se takhaatub hai, aur asr-e-Haazir ke Haalaat-o-masaail bayaan kar ke Khudaa se rehnumaai talab ki gayee hai aur madad maangi gayee hai" (taf'heem-e-baal-e-jibreel).


is nazm ke saat (7) band haiN. Iqbal ne her band ke aakhri she'r ko aamne saamne likhne ki bajaaye, dono misroN ko ooper neeche likha hai, taa'ke qaari ye samajh jaaye ke khayalaat ki aik kaRee mukammal ho chuki hai, aur ab nayee kaRee ka aaghaaz naye band se ho rahaa hai.

maiN nazm ke her band se muntakhib ash'aar likh ker poore band ka khulaasa apne alfaaz meiN likh rahaa hooN.


Band No. 1 (kul ash'aar : 12)


hua khaima zan kaarvaan-e-bahaar
iram ban gayaa daaman-e-kohsaar

fazaa neeli neeli havaa meiN suroor
Theherte nahiN aashiyaaN meiN tuyoor

vo joo-e-kohistaaN uchakti hui
aTakti, lachakti , sarakti hui

uchalti , phisalti , sambhalti hui
baRe pech khaa ker nikalti hui

zara dekh ae saaqi-e-laala faam
sunaati hai ye zindagi ka payaam

pilaa de mujhe voh ma-e-parda soz
ke aati nahiN fasl-e-gul roz roz

voh mae jis se roshan zameer-e-Hayaat
voh mae jis se hai masti-e-kaainaat

uThaa saaqia parda is raaz se
laRaa de mamoole ko shahbaaz se



khulaasa :

Iqbal nazm ka aaghaaz karte hue kehte haiN ke ae Khudaa her taraf bahaar ke qaafile ne apne kheime gaaR diye haiN. pahaaroN mein jaga jaga ranga raNg phool khil chuke haiN, jo kisi jannat ka manzar pesh kar rahe haiN. nadioN meiN paani tezi se beh rahaa hai, her rukaavaT ko haTaata hua ravaaN davaaN hai. intehaai khoobsurat manzar hai. ye fasl-e-gul, ye bahaar ka mausam roz roz nahin aata. bahaaroN ki ye khoobsurati, apne andar bahot se raaz chupaaye baiThi hai. is kaifiyat ko samajhne ke liye mujhe maa'rifat ki voh sharaab pilaa jis se mujhe noor-e-baseerat mil jaaye aur ilm ataa kar jis se meri aankhoN ke aage se parda haTT jaaye aur maiN in asraar-o-ramooz ko samajh sakooN.


***************************************

Band No. 2 (kul ash'aar : 14)

zamaane ke andaaz badle gaye
nayaa raag hai saaz badle gaye

puraani seyaasat garee khwaar hai
zameeN meer-o-sultaaN se bay.zaar hai

musalmaaN hai tauHeed meiN garm.josh
magar dil abhi tak hai zunnaar posh

tamaddun, tasavvuf, sharee'at kalaam
butaan-e-ajam ke pujaari tamaam

Haqeeqat khuraafaat meiN kho gayee
ye ummat rivaayaat meiN kho gayee

voh soofi ke tha khidmat-e-Haq meiN mard
mohabbat meiN yaktaa, Hamiyyat meiN fard

bujhi ishq ki aag, andheir hai
musalmaaN nahin, raakh ka Dheir hai


khulaasa:

yahaaN se Iqbal ne musalmaanoN ko jhinjhoRna shuru kia hai. kehte haiN ke is naye zamaane ke andaaz bilkul badal chuke haiN. bay.shumaar tabdeeliaaN ru.numaa ho rahi haiN. farangioN ki saazisheN aur ayyaariaaN ab logoN per zaahir ho rahi haiN. dunyaa ke mukhtalif mumaalik ab bay.daar ho rahe haiN. magar majmui taur per musalmaanoN ki Haalat bahot khasta hai. ummat-e-muslima intishaar ka shikaar hai. musalmaan saamne se to tauheed parast hai, magar us ke andar ab bhi ghair islami aqaaid maujood haiN. tamaddun, tasavvuf, aur sharee'at ka naa'ara lagaane vaale meHz ghair islaami aqaaid ka parchaar kar rahe haiN.khateeb-e-masjid ka khutba sun'ne meiN to bahot acha hai, magar us meiN acar bilkul nahin rahaa. us ka bayaan mantaq , falsafay aur pecheeda taraakeeb meiN ulajh ker reh gayaa hai.

soofiya-e-karaam aise bhi the jinhoN ne saHeeH maa'noN mein insaaniyat ki khidmat ki thi, mohabbat aur hamiyyat mein apna maqaam rakhte the, magar aaj ka soofi sirf dikhaave ka soofi hai, aur raah-e-sulook ki bhool bhulaiyyoN mein khoya hua hai.

goya aaj ke musalmaan mein ishq ki garmi baaqi nahin rahee, us ki Haalat aisi hi hai jaise kisi raakh ke Dheir ki hoti hai.
zaahir hai, Iqbal ne doosre band meiN jo musalmaanoN per kaRee tanqeed ki hai, us ka maqsad yehi tha ke unheN hosh aaye, aur voh apni asli Islami rivaayaat ki paervi karte hue mutahhid ho jaaiN.


******************************************

Band No. 3 ( kul ash'aar :17)

sharaab-e-kuhan phir pilaa saaqia
vohi jaam gardish meiN laa saaqia

khirad ko ghulaami se aazaad kar
javaanoN ko peeroN ka ustaad kar

taRapne phaRakne ki taufeeq de
dil-e-Murtazaa , soz-e-Siddeeq de

jigar se vohi teer phir paar kar
tamanna ko seenoN mein bay.daar kar

javaanoN ko soz-e-jigar bakhsh de
mira ishq, meri nazar baksh de

bataa mujh ko asraar-e-marg-o-Hayaat
ke teri nigaahoN mein hai kaainaat

mire deeda-e-tar ki bay.khwaabiaaN
mire dil ki posheeda bay.taabiaaN

yehi kuch hai saaqi mataa-e-faqeer
isi se faqeeri meiN hooN main ameer


khulaasa :

pichle band meiN musalmaanoN ki zubooN haali ko bayaan karne ke baa'd ab Allah ta'aala se madad maangi jaa rahi hai. kehte hain ke hameN vohi sharaab-e-kohan (puraani sharaab) pilaa, yaa'ni voh ilm-o-maa'rifat ataa kar, jo hamaare aslaaf ke paas thi, jis ki badolat tamaam musalmaanon mein phir se ishq ki vohi garmi paida ho jaaye jo ke quroon-e-oola ke musalmaanon mein thi. is daur ke nau.javaan musalmaanoN ko hidaayat de, aur unheN gumraahi se bachaa, taake ye naujavaan dunya ko nayee soch aur nayaa valvala de sakeN, aur unheN voh sha'oor ataa kar jis ki madad se voh apne daur ke un buzurgoN ki rehnumaai kar sakeN jin ke zehnoN ne ghulaami ko qubool kar liya hai. ae Khudaa !! aaj ke musalmaanoN mein eemaan ki voh Haraarat paida kar jo Hazrat Ali (karamallahu vajhu) aur Hazrat Abu Bakr Siddiq (RA) jaise jaleel.ul.qadr asHaab meiN maujood thi.

is band meiN iqbal ne ye bhi kahaa hai ke maiN her vaqt millat-e-islaamiya ke baare mein sochta rehta hooN, raatoN ko jaagta hooN, girya karta rehta hooN, jo dard maiN meHsoos karta hooN, meri khwaahish hai ke ye dard, yehi jazba, yehi fikr meri millat ke doosre afraad khaas taur per nau.javaan meHsoos kareN.


******************

aglee qist meiN baaqi chaar (4) bandoN ka khulaasa pesh kia jaaye ga inshallah

Posted: Sat Aug 27, 2005 3:25 pm
by Star Mind
moHtarami Amjad SaaHib, aadaab

janaab A'allama k is shohra-aafaaq nazm par itne KhoobSoorat andaaz maiN raushnee Daalne par maiN aap ka tah-e-dil se mamnoon hoN !

bilaashuba Iqbal k dil is t^araH k dard se labrez thaa !

i'shq-e-Haqeeqi k woh mazaamen unhoN ne qalam-band keye haiN k un par kayee kutub likhee jaasaktee haiN !

aap ne nehaayat munazzam andaaz maiN apna bharproor tabSira paish kiyaa hai ! jis keleye maiN aap ka aek baar phir tah-e-dil se mamnoon hoN ! aglee qist ka shiddat se intezaar hai ! shukriya

moKhliS :
Zia Baloch

Posted: Sun Aug 28, 2005 11:34 pm
by Anmol
Adaab, Amjad Sahib!

Saaqi nama aur us per aap ka review paRha. Bohot acha tajzia pesh kia hay aap ne. Iqbal k kalaam ki yeh baat mujhe bohot acchi lagti hay k unhoN ne apne kalaam k zarye ghaflat meiN paRe musalmanoN ko bedaar karne ki koshisheN keeN. Barre-saGheer pak-o-hind pe musalmaan hi to hukoomat karte they lekin phir apni aish-e-ishrat aur ghaflat meiN paR kar woh apni eemaan aur Khudi kho beThe, unhoN ne deen ko hath se jaane dia, woh aqdaar jo unheN aslaaf ki janib se wirasat me mile they, unheN kho dia. Is nazm ko paRh k Iqbal ki aik aur nazm yaad aayi,

YaaRab, dil-e-muslim ko woh zinda tamanna de
Jo qalb ko garma de, jo rooH ko taRpa de

Is daur ki zulmat meiN har qalb-e-pareshaN ko
Woh daaGh-e-mohabbat day jo chaand ko sharma day


:-) Aap ka ye tabsara pasand aaya, agli qist ka intizaar hay. Btw ye aik Allama Iqbal ki site ka link hay, umeed hay pasand aayega.

http://www.iqbal.com.pk/

Posted: Thu Sep 08, 2005 7:36 am
by Ibn-e-siddique
Assalam-o-alaikum

aap sab ka bahot bahot shukria ke aap ne mere pesh.karda "review" ko pasand farmaaya.

bay.shak Iqbal ki afkaar-o-takhayyulaat duar-e-haazir ke musalmaanoN , khaas taur per nau.javaan nasl meiN aik inqilaabi soch paida kar sakte haiN, is liye in ka mutaalea aur in per baat cheet hoti rehni chaahiye.

maiN jald hi inshallah aglee qist pesh kar dooN ga

aap sab ka bahot bahot shukria

amjad

Posted: Mon Nov 28, 2005 3:51 am
by Hashmat Usmani
salaam Amjad saaHib,

bahot Khoob janaab, bahot hii Khoob. baRaa lutf aayaa paRh kar. aise hii likhte rahiiye...hamaarii du'aayeN aapke saath haiN :wink:

Hashmat

Posted: Wed Nov 30, 2005 11:13 am
by Ibn-e-siddique
Hashmat saHib

salaam arz hai

nazm-e-Iqbal per mere adnaa se review ko aap ne pasand farmaaya, maiN aap ka mamnoon hooN

umeed hai Hazrat-e-Iqbal per aainda bhi baat hoti rahe gi

shukria

amjad

Posted: Wed Nov 30, 2005 3:41 pm
by rahmed25682
Salam Amjad sahab ...

IQBAL jesay azeem shayer ki aik shahkaar takhleeq ka jis khoobsurat andaaz main KHULAASA pesh kia hay wo bila-shuba laaiq-e-daad-o-tehseen hay.

Agly qist ka intazaar hay.

ALLAH aap ko JAZA-e-KHAIR day.


Khush rahain

Khair Andesh

Raheel Ahmed

saaqi naamah

Posted: Wed Nov 30, 2005 3:59 pm
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Amjad SaaHib,

Purkhuloos Tasleemaat,

Saaqi naame per aapki tashreeH paRhkar bahut khushi houi. Aap ne mukhtaSar Taur per hii sahi, bahut hii mufeed pahloo'aoN ko ujaagar kiyaa hei. Is meiN koiee shak nahiN ke Allamah Iqbal ke kalaam per aur khaaskar unki falsafiyaanah jisqadar ziyaadah likhkha gayaa hei wo bhii kam hei.

Khud mere baAZ doustaoN ne apne aap ko sharH-e-kalaam-e-Iqbal ke liye waqf kardiyaa, unke naam se adabi markaz khoule aur musalsal maqaale likhkar bhi yeh souchte rahe:

"Haq tou yeh hei ke Haq adaa nah houaa"

Mujhe "masjid-e-qurTubah" per unki nazm bahut pasand aayi thii jo Had se ziyaadah pur acar maAloom houii. BaAZ sheaAr abhi tak yaad heiN:

"HuZoor dehr meiN aasoodagi nahiN milti
talaash jiski hei wo zindagi nahiN milti
magar maiN nazr ko ik aabgeenah laayaa hooN
jo cheez is meiN hei jannut meiN bhi nahiN milti

jhalakti hei tiri ummat kii aabroo is meiN
Taraabulas ke shaheedaoN ka hei lahoo is meiN"

jee tou chaahtaa hei ke unkaa kalaam ghaur se paRhaa jaaye lekin meri kotaah nazari kahaaN aur unki fikr kaa muqaam kahaaN!

Baharhaal, meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka Mukhlis,
Nazir.


Posted: Sun Dec 04, 2005 10:44 am
by Ibn-e-siddique
rahmed25682 wrote:Salam Amjad sahab ...

IQBAL jesay azeem shayer ki aik shahkaar takhleeq ka jis khoobsurat andaaz main KHULAASA pesh kia hay wo bila-shuba laaiq-e-daad-o-tehseen hay.

Agly qist ka intazaar hay.

ALLAH aap ko JAZA-e-KHAIR day.


Khush rahain

Khair Andesh

Raheel Ahmed
Raheel saHib

salaam arz hai

aap ne Iqbal ki is nazm per mere pesh.karda review ko pasand farmaaya, is ke liye maiN dil se aap ka mamnoon hooN .

in dinoN kuch masroofiyat haiN, magar inshallah taakheer se hi sahee magar agli qist zaroor pesh karoon ga

shukria

Amjad

iqbaaliyaat per aapki nazar

Posted: Wed Apr 26, 2006 1:45 pm
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Amjad Nabeel SaaHib

PurkhulooS tasleemaat,

Iqbaaliyaat per aapke mazeed mazaameen kaa intizaar hei kiyunkeh yeh mauZooA bahut hi mufeed aur dilchasp hei.


Aapka MukhliS,
Nazir.