Page 1 of 1
taza ghazal guzarish no 8
Posted: Mon Aug 29, 2005 6:47 pm
by khozema husaini
hazreen e mehfil
assalam o alaikum
3 maah ki taweel gairhazri ke baad ghazal ke saath hazir hua hoon shayad kisi qabil ho aur hamesha ki tarah aap ki aara ka intezaar rahega
talib e duAa
husaini
ghazal
mili souGHaat yeh deevaangi se
rihaii mil gai qaid e KHudii se
nazar hum per hi itni barhami se?
milo ho jabkeh sab se KHushdili se
mila tohfa hameN yeh zindagi se
raha Khali nah daman bekasi se
hue manos hum yuoN teeragi se
keh bujh jata hai ab dil roshni se
saKHi se aur nah ibn e saKHi se
miri Aadat nahiN maagooN kisi se
ba faiz e ishq chashm e tar se gohar
luTae hum ne bhi daryah dili se
ajab hai kaif e qaid e zulf e dilbar
aseeri chahta hai dil KHushi se
zehr kaise adawat men ugalna
yeh fun ab saaNp seekheN aadmi se
azal hi se yeh baani e KHataa hai
KHataa hoti hai saheb aadmi se
tabiyat per girani hai husaini
chalo behlayen ab dil shaeri se
Posted: Tue Aug 30, 2005 6:04 am
by Star Mind
subHaana-Allah !
Hussaini SaaHib, aap ne to Ghazab Dhaadiyaa ! maashaa Allah kyaa kamaal ki Ghazal kahee hai aap ne ! G Khush hogayaa !
aek aek shea'r dil maiN utar jaane waalaa !
kis kis ko daad deN ! poori Ghazal hi daad k qaabil hai !
meeri jaanib se itnee KhoobSoorat Ghazal par DheroN daad qabool ho ! shukriya
moKhliS :
Zia Baloch
Aapki ghazal bahut achchi hei
Posted: Tue Aug 30, 2005 10:02 am
by abdulqayyum sahil
MuHtarami
Khozema Husaini Saahib,
Aapki ghazal bahut pasand aay jo yooN hei:
ghazal
hua yeh faidah deevaangi se
rihaii mil gai qaid e KHudii se
nazar hum per hi itni barhami se?
milo ho jabkeh sab se KHushdili se
mile hen yeh tahaaef zindagi se
raha labrez daman bekasi se
hue manos hum yuoN teeragi se
keh dil ghabra raha hai roshni se
saKHi se aur nah ibn e saKHi se
miri Aadat nahiN maagooN kisi se
ba faiz e ishq chashm e tar se gohar
luTae hum ne bhi daryah dili se
ajab hai kaif e qaid e zulf e dilbar
aseeri chahta hai dil KHushi se
adawat men zahar kaise ugalna
yeh fun ab saaNp seekheN aadmi se
azal hi se sazawaar e KHataa hai
KHataa hoti hai saheb aadmi se
tabiyat per garani hai husaini
chalo behlayenge dil shaeri se
Aapke teesre shear ke doosre misre meiN "labrez" kaa lafz munaasib nahiN maloom houaa.
sheAr No.5 ke pahle miSreA meiN "nah" ko bar-vazn "naa" isteAmaal karnaa bhii bahut hii shaaz hei jisko ghalaT samjhaa jaasaktaa hei.
SheAr No.8 ke pahle miSreA meiN "zehar" kaa lafz "zahr" barvazn fikr, kufr, hounaa chaahiye. Isko agar miSreA meiN ham saHeeH talaffuz se paRheN tou miSraA bevazn houjaayegaa.
Waise manavi liHaaz se aapki ghazal beHad pasand aayi jiske liye meri daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Khair Andesh,
Sahil,
Re: taza ghazal guzarish no 8
Posted: Tue Aug 30, 2005 11:04 am
by Shummu
nazar hum per hi itni barhami se?
milo ho jabkeh sab se KHushdili se
mile hen yeh tahaaef zindagi se
raha labrez daman bekasi se
hue manos hum yuoN teeragi se
keh dil ghabra raha hai roshni se
ba faiz e ishq chashm e tar se gohar
luTae hum ne bhi daryah dili se
ajab hai kaif e qaid e zulf e dilbar
aseeri chahta hai dil KHushi se
adawat men zahar kaise ugalna
yeh fun ab saaNp seekheN aadmi se
tabiyat per garani hai husaini
chalo behlayenge dil shaeri se
wah bahut khoob! Daad haazir hai....is umda kaavish pe Khozema sahab
Shumaila
Posted: Tue Aug 30, 2005 6:19 pm
by khozema husaini
janab zia saheb
mohtaram sahil saheb
mohtarma shumaila sahibah
aadaab
ghazal ki pazeeraii ka shukriya men sahil saheb ka batour e KHaas mamnoon hoon ke unhon ne ghazal ki ghalatiyon ki nishandahi farmaii
bohat bohat shukriyah
husaini
Posted: Fri Sep 02, 2005 2:09 pm
by khozema husaini
shukriyah sara sahebah
Husaini