Page 1 of 4
Lafz par ashar#18--NAAM
Posted: Tue Aug 30, 2005 8:57 am
by syed bilal armaan
salam walekum
Dostoun app ney unwan"DAREECHA" par bahut acche ashar likhe.lekin ab is unwan ka bhi waqt katam ho gaya hai. Ab pesh hai ek nay unwan "NAAM" app is unwan par bhi apne pasandida ashar likhiye.lijye main agaz kaiye deta hoon.
jab bhi aata hai miraa naam tire naam ke saath
jaane kyuN log mire naam se jal jaate haiN
Posted: Tue Aug 30, 2005 9:00 am
by syed bilal armaan
kaun kehta hai k voh bhuul gaya hai mujh ko?
saamne us ke, mera naam to le kar dekho!!!!
Posted: Tue Aug 30, 2005 11:27 am
by Shummu
koii naam-o-nishaaN puuChhe, to ai qaasid bata dena,
taKhallus Daagh hai, aur aashiqoN ke dil meiN rehte haiN!!!
Daagh Dehlvi
----------------------------
Posted: Tue Aug 30, 2005 2:23 pm
by hassan_bashir
tuu kahiN bhee rahe sar par tere ilzaam to hai
tere haathoN ki laqeeroN maiN mere Naam to hai
Posted: Tue Aug 30, 2005 6:51 pm
by Shummu
Urdu hai jis ka naam hum hi jaantay hain daag
Saaray jahan may dhoom hamaree zabaN ki hai
"naam"
Posted: Wed Aug 31, 2005 3:18 am
by Abdullah Nazir
naam uska naqsh hei dil per, wo samjhaa hii nahiN
kyaa yeh mumkin hei, kisi din bhool jaaungaa use.
Nazir.
Posted: Wed Aug 31, 2005 5:42 pm
by hassan_bashir
jab Naam tera pyaar se likhatee haiN uNgaliyaaN
Meri taraf zamaane kee uthatee hiaN uNgaliyaaN
"naam"
Posted: Thu Sep 01, 2005 4:34 am
by Abdullah Nazir
Kuch itni muHabbat hei tire naam se mujhko
maiN dil meiN basaaletaa hooN aata hei jo lab per.
Nazir.
Posted: Thu Sep 01, 2005 3:01 pm
by syed bilal armaan
dil ke lutne ka sabab pooch rahi hai dunya
yaad aajaye na aise maiN tera NAAM mujhe....
Posted: Thu Sep 01, 2005 3:03 pm
by syed bilal armaan
kab tak har aik cheez pe likh likh k tera NAAM
ruswaaioN k dar se mitaya kare koi
Posted: Thu Sep 01, 2005 8:12 pm
by Shummu
main na juganuu huuN diyaa huuN na ko_ii taaraa huuN
raushanii vaale mere naam se jalate kyuuN hain
Rahat indori
"naam"
Posted: Fri Sep 02, 2005 2:53 am
by Abdullah Nazir
Dil meiN jo naam hei wo lab pah agar aataa hei
ik diyaa gham ke andheraoN meiN jalaa jaataa hei.
Nazir.
[/b][/size][/color]
"naam"
Posted: Fri Sep 02, 2005 4:20 am
by Abdullah Nazir
zindagi bhar mire hounTaoN pah tiraa naam rahaa
is pah bhii kiyN tuu giraftaar-e-sad-auhaam rahaa.
Nazir.
[/b][/size][/color]
Posted: Sat Sep 03, 2005 1:42 pm
by syed bilal armaan
berson ba`ad dekhaa ik shaks dilruba saa
ab zehan main nahin hey per naam tha bhalaa saa
Posted: Sat Sep 03, 2005 2:08 pm
by syed bilal armaan
ek naam kia likha ------teray sahil ki rait per
phir umar bhar hawa sey meri dushmani rahi