Aek taazah Ghazal: Irfan Barabankwi, Jeddah.
Posted: Tue Aug 30, 2005 9:31 am
MuHtarameen Ahbaab-e-sukhan,
Tasleemaat,
Taif, Saudi Arab, ke aek adabi idaare kii jaanib se diye houe TaraHi misrea per apni ghazal mukammal karke use yahaN pesh karne kii saAadat Haasil karrahaa hooN.
Ummeed ke aap apne giranqadr tabsiraoN se navaazkar mujhe shukriyah adaa karne kaa mauqa denge.
GHAZAL
jo khud gharaz haiN uske samar dekh rahey haiN
be laus magar hal - e - shajar dekh rayey haiN
mehfil meiN sabhi unki nazar dekh rahey haiN
wo husn ke jadoo ka asar dekh rahey haiN
ik bar meiN hoti nahi is dil ko tasal l i
so unki taraf bar -e - digar dekh rahey haiN
jo teergi - e- shub se pareshan bahut they
"kis shauq se aghaz-e-sahar dekh rahey haiN"
darbar meiN jakar jo kabhi jhukte nahi thay
nezoN pa sajay aaj wo sar dekh rahey haiN
sajday kiye jatay nahi her aik ke dar per
jis se hameiN nisbat hai wo dar dekh rahey haiN
inAam-e-safar wo hai nigahoN meiN hamari
chehray pa jo ye gard-e-safar dekh rahye hain
darkar hai dastar ki izzat ko bahchana
nadan haiN wo log jo sar dekh rahey hain
wo dekh raha hai ke kahaN ja ke wo barsay
yaN hum kabhi badal, kabhi ghar dekh rahey haiN
jo su - e- waTan jaye hai Irfan yahaN say
us rah ko ba deeda - e- tar dekh rahey haiN
=====
Khair Andesh,
Irfan Barabankwi, Jeddah.