Page 1 of 1

TARAHI MiSraA - -- - (GUZ.9): by ABDULLAH NAZIR.

Posted: Thu Sep 01, 2005 10:17 am
by Abdullah Nazir

Muhtarameen o MuHtaramaat
Arbaab-e-MeHfil aur Ahbaab-e-Sukhan,


Purkhuloos Tasleemaat, :rose


GUZARISH NO.9 taareekh Sept., 1, 2005


Mera apna TaraHi miSraA hei:
ham bhalaa Arz-e-Haal kyaa karte


Radeef= kyaa krte
Qaafiye= (viSaal, maah o saal, dekh bhaal, sawaal, jaal, qeel o qaal, jamaal, kamaal, Haal, infiAaal, jalaal, iHtimaal, iAtizaal, ) waghairah.

Iska vazn hei (faa'ilaa'tun...mufaa'ilun...fe'lun.
= /0//0/0.....//0//0...../0/0
= 2122.......1212.....22
yeh BeHr-e-khafeef musaddas makhboon meHzoof kehlati hei.
Ijaazut: ghair qaafiyah-band misreA meiN "fe'lun" kii bajaaye "fa'ilun" ba-taHreek-e-Ain isteAmaal karsakte heiN.

Ummeed ke aap Tab'A aazmayi farmaakar meri Hauslah afzyii farmaayenge. Shukriyah.

Note: Agar koi isi misreA kii radeef "karte" kikhtiyaar karnaa chaaheN aur qaafiye macalan (wafa, sunaa, milaa, judaa, rihaa, kahaa, diyaa, duAaa, dawaa, ) waghairah, tou bhii Theek hei.


Aapka Mukhlis,
Nazir.