Page 1 of 2

Meri Tarahee Ghazal (Guzarish # 9)

Posted: Thu Sep 01, 2005 10:00 pm
by jawaid badauni

Azeezaan-e giraamee, Aadaab

Rasme qadeem ko qayam rakhte hoe sub se pahle
Mushaaireh meN haazri laga raha hooN. Baani-e Mushaa-
rah ne iss baat ki ijazat dedi hai keh "Kya" lafz ko qafiya
aur "Karte" lafz ko radeef banaya ja sakta hai. Main ne
apni ghazal meN iss riaayat se fayida uThaya hai.

Ummid hai apni aara se nawazeNge aur meri himmat
afzaaii farmayeNge.

Nacheez,

Jawaid badauni




Ghazal


Woh mire haq meN bud-doa karte
Kaash itna mira bhalaa karte


Hum ne kashtee bachaa to lee lekin
Kaash yeh kaam naKhooda karte


Ishq hota jo ik rahe aasaaN
Log kyooN ishq se bachaa karte


Laakh sajdoN se kum nah tha ai Sheikh
Ek majboor ka bhalaa karte


Hum samajhte thay apne gham ka viqaar
“Hum bhalaa arz-e haal kya karte”


Dard hi aasra tha jeene ka
Kiss liye dard ki dawa karte


Aaj hota jo har bashar sairab
Log kyooN yaad "Karabala" karte


Umrbhar justjoo rahee :Jawaid:
Dost kuch pyaar se mila karte


Posted: Fri Sep 02, 2005 3:41 am
by Star Mind
waah SaaHib ! maan gaye aap ko !

janaab Jawaid Badauni SaaHib, aadaab

aap ki Ghazal naz^ar nawaaz hoi aur Hasb--e-saabiq bohut pasand bhi aayee !

maashaa Allah aap ne to beThe beThe hi likh Daali ghazal ! bohut Khoob !
sabhi ash'aar Khoob haiN ! daad qabool kejeye !

wese SaaHib , pehle ham bhi yehi kiyaa karte the , udhar miSra' dekhaa idhar Ghazal likh Daali , laken ab zaraa sust paR gaye haiN , waqt k jhameloN maiN phaNsne ki wajh se !

shukriya

daad qabool kejeye aek baar phir ! aap ka munfarif andaaz hamesha se pasand hai mujhe ! shukriya

moKhliS :

Zia Baloch

Posted: Fri Sep 02, 2005 4:26 am
by Star Mind
sara_j wrote:
Star Mind wrote:
wese SaaHib , pehle ham bhi yehi kiyaa karte the , udhar miSra' dekhaa idhar Ghazal likh Daali , laken ab zaraa sust paR gaye haiN , waqt k jhameloN maiN phaNsne ki wajh se !

moKhliS :

Zia Baloch
mujhe tou umr ka taqaaza lagta hai :-)
Khoob kahaa Sara jee ! :lol: :lol: :lol: :lol:

Posted: Fri Sep 02, 2005 6:54 am
by jawaid badauni
Star Mind wrote:waah SaaHib ! maan gaye aap ko !

janaab Jawaid Badauni SaaHib, aadaab

aap ki Ghazal naz^ar nawaaz hoi aur Hasb--e-saabiq bohut pasand bhi aayee !

maashaa Allah aap ne to beThe beThe hi likh Daali ghazal ! bohut Khoob !
sabhi ash'aar Khoob haiN ! daad qabool kejeye !

wese SaaHib , pehle ham bhi yehi kiyaa karte the , udhar miSra' dekhaa idhar Ghazal likh Daali , laken ab zaraa sust paR gaye haiN , waqt k jhameloN maiN phaNsne ki wajh se !

shukriya

daad qabool kejeye aek baar phir ! aap ka munfarif andaaz hamesha se pasand hai mujhe ! shukriya

moKhliS :

Zia Baloch

Bahut bahut shukriya Zia Sahab. Aaap ki daad meN Khuloos-e dil shamil ho gaya hai. Behud mamnoon hooN.

MaiN agar jald nah kahoN to Ghazal hamesha ke liye rah jayegi aur Bani-e Mushaairah ki barhamee ka samna karna paR sakta hai. Aap aaraam se kah leN jaldi kya hai.

HameN aapki Ghazal ka intezar rehega.

Apka Bhai
Jawaid

Re: Meri Tarahee Ghazal (Guzarish # 9)

Posted: Fri Sep 02, 2005 6:59 am
by jawaid badauni
sara_j wrote:
jawaid badauni wrote:
Azeezaan-e giraamee, Aadaab

Rasme qadeem ko qayam rakhte hoe sub se pahle Mushaaireh meN haazri laga raha hooN. Baani-e Mushaarah ne iss baat ki ijazat dedi hai keh "Kya" lafz ko qafiya aur "Karte" lafz ko radeef banaya ja sakta hai. Main ne apni ghazal meN iss riaayat se faida uThaya hai.

Ummid hai apni aara se nawazeNge aur meri himmat afzaaii farmayeNge.

Nacheez,

Jawaid badauni



Ghazal


Woh mire haq meN bud-doa karte
Kaash itna mira bhalaa karte

Hum ne kashtee bachaa to lee lekin
Kaash yeh kaam naKhooda karte

Ishq hota jo ik rahe aasaaN
Log kyooN ishq se bachaa karte

Laakh sajdoN se kum na tha ai Sheikh
Ek majboor ka bhalaa karte

Hum samajhte thay apne gham ka viqaar
“Hum bhalaa arz-e haal kya karte”

Dard hi aasra tha jeene ka
Kiss liye dard ki dawa karte

Aaj hota jo har bashar sairab
Log kyooN yaad Karabala karte

Umrbhar justjoo rahee :Jawaid:
Dost kuch pyaar se mila karte
jawaid bhai,

salaam.

"bunyaad tum ne Daali hei rasm-e-qadeem kii
is iltifaat-e-sheAr o sukhan kaa nahiN javaab"


aapki ghazal jo apne on the spot likhdi
bohat pasand aayi sabhi ashaar bohat ache hain .
daad qubool keejiye.

sara
Azeezah Sara Sahibah, Doa


Binaye aashyan to Daal dee hai
Ab aage jo reza burq-e tapaan ki

Aap ki daad ka bhi jawab nahiN bahin. MaiN agar jald nah kahooN to sher kah hi nahin pata. Kuch aisa hi hai shuroo se.

Guzishta Mushaairah zara sust chala tha magar bAAd meN itni GhazaleN aayeeN aur itni achchee achchee ghazaleN aaiiN keh jiski had nah thee. Ummid hai iss baaar bhi hamara Mushaairah bahut kaamyab rahega.

Nazir Sahab ke karam se hamare nacheez deevan meN har maah ek nacheez ghazal ka izafa ho jata hai.

Faqat,

Jawaid

Bahut khoob waah waah

Posted: Fri Sep 02, 2005 4:33 pm
by Abdullah Nazir

MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badayuni Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat,

Hasb-e-rasm-e-dereenah, sab se pahle aap kii hii TaraHi ghazal paRhne ko mili jou yooN hei:


Woh mire haq meN bud-doa karte
Kaash itna mira bhalaa karte

Hum ne kashtee bachaa to lee lekin
Kaash yeh kaam naKhooda karte

Ishq hota jo ik rahe aasaaN
Log kyooN ishq se bachaa karte

Laakh sajdoN se kum na tha ai Sheikh
Ek majboor ka bhalaa karte

Hum samajhte thay apne gham ka viqaar
“Hum bhalaa arz-e haal kya karte”

Dard hi aasra tha jeene ka
Kiss liye dard ki dawa karte

Aaj hota jo har bashar sairab
Log kyooN yaad Karabala karte

Umrbhar justjoo rahee :Jawaid:
Dost kuch pyaar se mila karte


Saare ke saare ashAaar bahut khoob heiN aur aapki kuhnah mashqi aur mahaarat ki daleel bhi.

Is dilkash aur kaamyaab kaavish per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka Mukhlis,
Nazir.[/i]

Posted: Fri Sep 02, 2005 6:58 pm
by zmufti
Javaid sahib
aap ki ghazal buhat pasand aayii
sarey ashaar achey haiN
khas ker yeh
Dard hi aasra tha jeene ka
Kiss liye dard ki dawa karte
regards
zmufti

Re: Bahut khoob waah waah

Posted: Sat Sep 03, 2005 7:11 am
by jawaid badauni
WEBMASTER wrote:
MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badayuni Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat,

Hasb-e-rasm-e-dereenah, sab se pahle aap kii hii TaraHi ghazal paRhne ko mili jou yooN hei:


Woh mire haq meN bud-doa karte
Kaash itna mira bhalaa karte

Hum ne kashtee bachaa to lee lekin
Kaash yeh kaam naKhooda karte

Ishq hota jo ik rahe aasaaN
Log kyooN ishq se bachaa karte

Laakh sajdoN se kum na tha ai Sheikh
Ek majboor ka bhalaa karte

Hum samajhte thay apne gham ka viqaar
“Hum bhalaa arz-e haal kya karte”

Dard hi aasra tha jeene ka
Kiss liye dard ki dawa karte

Aaj hota jo har bashar sairab
Log kyooN yaad Karabala karte

Umrbhar justjoo rahee :Jawaid:
Dost kuch pyaar se mila karte


Saare ke saare ashAaar bahut khoob heiN aur aapki kuhnah mashqi aur mahaarat ki daleel bhi.

Is dilkash aur kaamyaab kaavish per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka Mukhlis,
Nazir.[/i]

Mohtaram Abdullah Nazir Sahab,

Aapki daad.o.tahseen hamare liye sanad ka darjah rakhtee hai isee liye aapke graNqadr tabsaaroN ka intezaar rahta hai.

Insha Allah, Mushaairah iss baar aur bhi bahut ziyadah kaamyaab rahega kyooNkeh iss baar misraH bahut aasaan hai aur iss meN bahut gunjaa,ish hai. Waise hamara guzishta Mushaairah bhi bahut kaamyaab tha. Log aaraam se kalam bhejeNge, sub meri tarah "jaldbaaz to hote nahiN haiN."


Nacheez,
Jawaid

Posted: Sat Sep 03, 2005 7:16 am
by jawaid badauni
zmufti wrote:Javaid sahib
aap ki ghazal buhat pasand aayii
sarey ashaar achey haiN
khas ker yeh
Dard hi aasra tha jeene ka
Kiss liye dard ki dawa karte
regards
zmufti
Mohtarma Z. Mufti Sahibah

Aapki purkhuloos daad.o.tahseen ke liye aap ka mamnoon hooN. Ummid hai aaindah bhi apne tabsaroN se nawazti raheNgee.

Khoosh raheN!
Jawaid

Re: Meri Tarahee Ghazal (Guzarish # 9)

Posted: Mon Sep 05, 2005 12:00 pm
by Shummu
Woh mire haq meN bud-doa karte
Kaash itna mira bhalaa karte


Hum ne kashtee bachaa to lee lekin
Kaash yeh kaam naKhooda karte


Laakh sajdoN se kum nah tha ai Sheikh
Ek majboor ka bhalaa karte


Hum samajhte thay apne gham ka viqaar
“Hum bhalaa arz-e haal kya karte”


Dard hi aasra tha jeene ka
Kiss liye dard ki dawa karte


Umrbhar justjoo rahee :Jawaid:
Dost kuch pyaar se mila karte


bahut hi khoob!!!!!!!!!!!!aap ki ye ghazal bhi hasb-e-ma'aamol behad pasand aayi.....dheron daad haazir hai :-)


Shumaila

Re: Meri Tarahee Ghazal (Guzarish # 9)

Posted: Mon Sep 05, 2005 4:47 pm
by jawaid badauni
Shummu wrote:
Woh mire haq meN bud-doa karte
Kaash itna mira bhalaa karte


Hum ne kashtee bachaa to lee lekin
Kaash yeh kaam naKhooda karte


Laakh sajdoN se kum nah tha ai Sheikh
Ek majboor ka bhalaa karte


Hum samajhte thay apne gham ka viqaar
“Hum bhalaa arz-e haal kya karte”


Dard hi aasra tha jeene ka
Kiss liye dard ki dawa karte


Umrbhar justjoo rahee :Jawaid:
Dost kuch pyaar se mila karte


bahut hi khoob!!!!!!!!!!!!aap ki ye ghazal bhi hasb-e-ma'aamol behad pasand aayi.....dheron daad haazir hai :-)


Shumaila

Shumaila Sahibah,,bahut bahut shukriya.

Khoosh Rahen!

Jawaid

Posted: Sat Sep 10, 2005 5:27 pm
by gazal_uzma
jawaid sahib
bohot umda ghazal likhi aap nay misrah e tarah pay
thanks 4 sharing with us
regards
uzma khan

Posted: Sat Sep 10, 2005 8:24 pm
by jawaid badauni
gazal_uzma wrote:jawaid sahib
bohot umda ghazal likhi aap nay misrah e tarah pay
thanks 4 sharing with us
regards
uzma khan
Aap ki purKhuloos daad ke liey behud mamnoon hooN. Bahut bahut shukriya.

Jawaid

Posted: Mon Sep 12, 2005 12:04 pm
by Raji
moHtaram janab-e- Jawaid Badauni SaaHeb:
Aadaab-o-tasleemat,

aap kee ghazal daikhee aur achii lagee so daad qubool keejiye. khaS taur par yeh ashaar pasand aaye jin meN saadgi aur manviyat donooN yakjah heN.
Jawaid Badauni wrote:

Hum ne kashtee bachaa to lee lekin
Kaash yeh kaam naKhooda karte

Dard hi aasra tha jeene ka
kes liye dard ki dawa karte


wassalam

Zahida Raees :Raji:

Posted: Mon Sep 12, 2005 2:10 pm
by jawaid badauni
Raji wrote:moHtaram janab-e- Jawaid Badauni SaaHeb:
Aadaab-o-tasleemat,

aap kee ghazal daikhee aur achii lagee so daad qubool keejiye. khaS taur par yeh ashaar pasand aaye jin meN saadgi aur manviyat donooN yakjah heN.
Jawaid Badauni wrote:

Hum ne kashtee bachaa to lee lekin
Kaash yeh kaam naKhooda karte

Dard hi aasra tha jeene ka
kes liye dard ki dawa karte


wassalam

Zahida Raees :Raji:
Mohtarma Zahida Raees Sahibah

Bahut din bAAd aapka tabsara dekh kar khooshi hoii. Himmat afzaaii ke liye bahut bahut shukriya.

Khulooskaar,

Jawaid Badauni