Page 1 of 1

radeef "SaaHeb" par Ghazal...iSlaaH ki muntazir

Posted: Fri Sep 02, 2005 8:25 am
by Raji

Azeezan-e-bazm

Aadaab-o-tasleemat,

Kuch roz qabl Sarwar SaaHeb ke ‘saamne kee zameen’ thread par nazar paRee aur filbadeeh chand ashaar hoove jinheN bilaatarmeem post kar diyaa gaya.

Aaj aap kee bazm meN usee koshish kee iSlaaH ke liye Hazir hoovee hooN. Umeed hai keh mayoos naheiN kareNge.

Mamnoon

Zahida Raees :Raji:


***************

1. Jaan peh apnii hai banii SaaHeb
Faisleh ki hai kyaa ghaRee SaaHeb

2. hamko to mukhliSii ne maara hai
* aap ko apnii hee khushii SaaHeb: *

3. ham to aaye the gham ghalat^ karne
unn ko apnii hee raagnii SaaHeb

4. jaane kis pal buKhaar chaRh jaaye
hai mizaaj unka mausamii SaaHeb

5. keejiye kyaa gilah parayooN se
apne kyaa kam heN ajnabii SaaHeb?

6. pehl kar ke :anaa: ko d'haahe kaun?
jo hai deevaar aahinii Saaheb

7. apna dastoor hai taa'luq meN
ho moHabbat kee chaashnii SaaHeb

8. ik diya pyaar kaa jalaao to
ho amaavas bhi chaandnii SaaHeb

9. aaj bhi heN muHabbateN har soo
haaN bharose kee hai kamii SaaHeb

10 mehr-o-umeed kee Haqeeqat hai
deeda-o-dil kee roushnii SaaHeb


11. d'hooNd'h laita hai dil bahaane se
teergi meN bhi roushnii SaaHeb

12. uske sho'lay kabhi tu uTheNge
aarzoo hai agar dabii SaaHeb

13. muskuraana bhula diya kiyoN Ji
rog aisee bhi kyaa lagii SaaHeb

14. kar gayii ham se chugliyaaN dil kee
aaNkh ki unke pur-namii SaaHeb

15. shairee kis t^araH se mumkin hai
fikr peh barf ho jamii SaaHeb

16. zeest ka aakhrii safar :Raji:
aadmii ki hai be-basii SaaHeb

(Zahida Raees :Raji:)