Page 1 of 1

ghazal: shaam khiRkiyoN se

Posted: Fri Sep 02, 2005 5:33 pm
by naheedv
Image

Posted: Fri Sep 02, 2005 7:27 pm
by poet
muhtarma naheed sahiba adab
aap ki taza ghazal paRhi
hasb a mamool kiyalat taqatwar hain. taqreebaan tamam ashar hi achay lagay.
lakin naheed sahiba is ghazal main aik technical khami hay ka is nazm main qafiya nahi hay.
ham jantay hain ka aap kia jawab dain gi. lakin woo beharhal ghalt hooga
"ti" is main qafiya nahi radeef hay.
agar hootai koo lain too is ka qafiya booti hoo sakta hay.
bharti koo lain too is ka qafiya karti hoo gay
and so on
han hamian maloom hay ka kuch shuara is main khata kha jatay hian
aur aap bhi unheen ki misal dain gi
beherhal content acha hay
hamara mashwara hay ka kuch tachnic par bhi tawajoo dain
faqat
poet

Posted: Sat Sep 03, 2005 2:17 am
by Sarwar A. Raz
Naheed SaaHebah: aadaab!

Ghazal dekh`ee. agar aap munaasib samjh`eN to wazn aur beHr dobaarah dekh` leN. is meN ba'Z^ baateN maHall-e-naz^ar haiN. taqt^ee' kar leN to baat Saaf ho jaaYe gee.

Sarwar A. Raz "Sarwar"

Posted: Sat Sep 03, 2005 3:33 am
by Star Mind
Naheed jee, aadaab

kaise haiN aap ?

baRe dinoN k baa'd nazar aayee haiN ?

maashaa Allah ! aap jab bhi aatee haiN , aek u'mdah Ghazal k saath aatee haiN ! Ghazal , Hasb-e-saabiq bohut pasand aayee ! aap ka munfarid lihja hameN kaafee marGhoob hai ! Ghazal keleye DheroN daad qabool kejeye ! aap ka naam Urdu Point par dekh kar bohut Khushee hoi ! mubaarak ho !

aek baar phir DheroN daad !

moKhliS :

Zia Baloch

Posted: Sat Sep 03, 2005 8:05 am
by fatimah
aslaam_u_alikam

her taraf saji hey terii yaad lekin
khali pan yeh gher ka bherti hi nahin

terey saath apnii kis terha nibhey gii
terey saath pani bantii hi nahin

bohat khub. MASHALLAH bohat payaarii gazal kahi hey naheed ji aap ney yeh do ashaar to behad pasand aaye.
daad qubool kijiye.
shukriya