Page 1 of 1

aek maAmooli sii taazah ghazal: Abdullah Nazir.

Posted: Sat Sep 03, 2005 7:43 pm
by Abdullah Nazir

MuHtaramaat o MuHtarameen
aHbaab-e-sukhan

Prukhuloos Tasleemaat,

Aek maAmooli sii ghazal hougayi hei jo pesh-e-khidmat hei. Ummeed ke aap apne t'accuraat aur aaraa se navaazenge.

Apni TabeeAat kii naasaazi kii vajah se bahut se doust aHbaab kii shiaayataoN kaa hadaf banaa houaa hooN lekin kehte heiN naa ke apne hii apnaoN se shikwah o shikaayat karte hei. Is liye maiN apni kotaahiyaoN per sharmindah hooN aur muAafi kaa khwaastgaar bhii.

G H A Z A L Roman meiN

HaaSil-e-kashmakash-e-shaam o saHar le aaye
ArZ-e-Haal-e-dil-e-giryaaN ka hunar le aaye

bekaraaN baHr-e-takhayyul kii thi vusAat lekin
ghouTa-zan jab houe ham taih kii khabar le aaye

manzil-e-shauq pah pahonche hei baRi mushkil se
hei yeh chehraoN se AayaaN, gard-e-safar le aaye

burdbaari ne hameN chain se rehne nah diyaa
saari dunyaa kii balaa apne hi ghar le aaye

aayienah dekhne waalaoN ko nah soojhaa kuch bhii
jitne ilzaam thay sab mere hii sar le aayhe

riste zakhmaoN pah acar hei yeh namak paashi kaa
be sabab yooNhii nah ham deeda-e-tar le aaye

manzar-e-Hashr jo dekhaa hei dikhaauN kis ko
koii tou bahr-e-khudaa meri nazar le aaye

be-cabaati hei, taAayyun hii nahiN raste kaa
raahbar ham ko khudaa jaane kidhar le aaye

naakhudaa unko maiN kis-TarH kahuN ai Nazir
jou safeene ko mire, beech bhanvar le aaye.
=======
[color\brown]
Aapka Mukhlis,
Nazir.

[/color]

Posted: Tue Sep 06, 2005 3:55 am
by Star Mind
moHtarami A.Nazir SaaHib , aadaab

kaise haiN aap ?

maashaa Allah aap ki to har Ghazal jaan leva hotee hai SaaHib ! kyaa mazaameen, kyaa andaaz , kyaa Husn-e-tarteeb ! waah waah ! kis kis ki ta'reef kareN ? zameen aap ne bohut KhoobSoorat muntaKhab kee hai ! tamaam asha'aar hi pasand aaye ! daad Haazir hai ! shukriya

moKhliS :

Zia Baloch