Page 1 of 2

shab-e-hijr merii azaaboN meiN guzrii(taaza ghazal)

Posted: Sat Sep 03, 2005 11:11 pm
by Shummu
Assalam-o-alaikum ahl-e-bazm!

Is baar ek munfarid zameen meiN kuch likhne ki koshish ki hai...zameen khaasi mushkil lagi ab aap paRhiye aur bataaiye ke main kis hadh tak kaamyaab ho saki hoon ise nibhaane mein..shukriya :-)

aur han is baar sirf ek MATLA rakha hai kyonki kuch log aib smajhte the mere zyaada matle likhne ko..... :oops:

shab-e-hijr merii azaaboN meiN guzrii
kisii ke khayaaloN meiN,khwaaboN meiN guzrii

kabhii manzil-e-ishq paanaa thaa aasaaN
magar justujuu tab saraaboN meiN guzrii

baDii be mazaa vasl kii raat thi jo
musalsal sawaaloN jawaaboN meiN guzrii

kahin ho na jaaye miraa ghar bhi raushan
isi khauf se zau hijaaboN meiN guzrii

kabhii sher ban ke ,kabhii ban ke naGhmaa
miree khasta haalii naqaaboN meiN guzrii

shikast-e-muhabbat ki itnii kahaanii.....
gul-e-khushk ban ke kitaaboN meiN guzrii

miree aah-o-zaarii nashaa ban ke aksar
sar-e-bazm-e-rindaaN sharaaboN meiN guzrii

woh kya jaane pur khaar rastoN ki shiddat
guzar gaah jiskii GhulaaboN meiN guzrii

naseehat hameiN kar rahaa hai woh naaSeH
sadaa umr jiskii KharaaboN meiN guzrii

agar hauslaa hai to ban ke dikhaa de
Woh LAILAA kabhi jo nisaaboN meiN guzrii!!!



Aapki aara ki muntazir,
Shumaila

aapki ghazal khoobsoorat hei

Posted: Sun Sep 04, 2005 8:36 am
by Abdullah Nazir

Azeezah
Shummu

Purkhuloos Tasleemaat,

Aapki ghazal khoobsoorat hei aur is kaavish per maiN aapko daad aur mubaarakbaad pesh kartaa hooN.

Mandarja-e-zeil sheAr kaa pahlaa misrA be-beHr hougayaa hei. Isko Theek karleejiye.

naseehat kya degaa woh naaseH ke jiskii
(lafz kyaa ke 2 Harf "ye" aur "alif" girrahe heiN jou ghalaT hei)
hai shaam-o-sehar bas kharaaboN meiN guzrii


Aapka Mukhlis,
Nazir.


Re: aapki ghazal khoobsoorat hei

Posted: Sun Sep 04, 2005 9:01 am
by Shummu
WEBMASTER wrote:
Azeezah
Shummu

Purkhuloos Tasleemaat,

Aapki ghazal khoobsoorat hei aur is kaavish per maiN aapko daad aur mubaarakbaad pesh kartaa hooN.

Mandarja-e-zeil sheAr kaa pahlaa misrA be-beHr hougayaa hei. Isko Theek karleejiye.

naseehat kya degaa woh naaseH ke jiskii
(lafz kyaa ke 2 Harf "ye" aur "alif" girrahe heiN jou ghalaT hei)
hai shaam-o-sehar bas kharaaboN meiN guzrii


Aapka Mukhlis,
Nazir.


Salaam Nazir sahab...baDe daRte daRte ghazal pesh ki thi kyonki mujhe lag raha tha is mein bahut khaami hogi....magar main hairaan hoon ki bas ek ghalti nikli? baaqi sab shere theek hain kya?

maine bahut koshish ki us sher ko durust karne ki pehle hi..magar kar na saki isliye aap sab ke supurd kar diya ke koi hal nikal sake....ab aap ki madad kijiye ke ise kaise dursut kiya jaaye ...koi soorat zehn mein ho to plz bataayein.... :-)


SHUKRIYA tah-e-dil se daad se nawaazne ka saath saath rehnumaayi farmaane ka bhi :grin:

Shumaila

yeh miSraA dekhiye

Posted: Sun Sep 04, 2005 7:53 pm
by Abdullah Nazir

Azeezah
Shummu

Purkhuloos Tasleemaat

aapko agar yeh miSraA pasand aaye tou is se badal leejiye:

(wo naaSeH naseehat kise degaa jiskii"


Aapka Mukhlis,
Nazir.


Posted: Mon Sep 05, 2005 7:44 pm
by Shummu
jawaid badayuni jee ne ek site pe tajveez di hai...


Naseehat hameN kar raha hai woh naaseH
Sadaa umr jiskee KharaboN men guzrii


mujhe ye tajveez behad pasand aayi..aap ko kaisi lagi nazir jee? :-)

Shumaila

Posted: Tue Sep 06, 2005 12:08 pm
by Anmol
shummu wrote:Assalam-o-alaikum ahl-e-bazm!

Walekum salaam, Khush raho dost! :)

Is baar ek munfarid zameen meiN kuch likhne ki koshish ki hai...zameen khaasi mushkil lagi ab aap paRhiye aur bataaiye ke main kis hadh tak kaamyaab ho saki hoon ise nibhaane mein..shukriya :)

aur han is baar sirf ek MATLA rakha hai kyonki kuch log aib smajhte the mere zyaada matle likhne ko..... :D

Waqai zyada matle paRh k boriyat hone lagti hay, ab maiN bhi kum likhne ki koshish kar rahi huN. :)

shab-e-hijr merii azaaboN meiN guzrii
kisii ke khayaaloN meiN,khwaaboN meiN guzrii

Nice.

kabhii manzil-e-ishq paanaa thaa aasaaN
magar justujuu tab saraaboN meiN guzrii

Khoob.

kahin ho na jaaye mera ghar bhi raushan
isi khauf se zau hijaaboN meiN guzrii

Mera>>>>Miraa

shikast-e-muhabbat ki itnii kahaanii.....
gul-e-khushk ban ke kitaaboN meiN guzrii

Nice.

woh kya jaane pur khaar rastoN ki shiddat
guzar gaah jiskii GhulaaboN meiN guzrii

Nice.

naseehat kya degaa woh naaseH ke jiskii
hai shaam-o-sehar bas kharaaboN meiN guzrii

"Kya" is always a long sound. I don't think k tum isey 1 k maqaam per baandh sakti ho.

agar hauslaa hai to ban ke dikhaa de
wohi Laila jo keh nisaaboN meiN guzrii!!!

Laila to noun hay aur mera khayal hay k isey dabaane ki shayad ijaazat na ho. Wese bhi laila ki Ye buri taraH dab rahi hay.

Aapki aara ki muntazir,
Shumaila

Shu, bohot Khoob ghazal kahi hay tum ne, beshtar ashaar mujhe bohot pasand aaye. JahaN jahaN mujhe kuch Ghalati ka shaaiba hua, maiNe tumheN bata dena munasib samjha. :) Tum ne bohot acchi zameen muntaKhib ki hay aur ashaar bhi acche nikaale heN, bayaan bhi dilkash hay, meri jaanib se dili qubool karo. :)

regards,

Anmol

Posted: Wed Sep 07, 2005 5:30 am
by Sarwar A. Raz
mukarramah Shumaila SaaHebah: aadaab!

is Ghazal par kaheeN aur bohat kuch` likh` chukaa hooN. duhraane se koyee faa,idah naheeN hai. Ghazal achh`ee hai. daad qubool keejiYe.

jaisaa keh Anmol SaaHebah ne likh`aa hai :Lailaa: bohat dab kar adaa ho rahaa hai. a'am alfaaz^ meN yeh chal jaataa hai lekin ism-e-KhaaS (proper nouns) ziyaadah iHtiyaat^ chaahte haiN. ek baar aur dekh` leN to harj naheeN hai.

Sarwar A. Raz "Sarwar"

Posted: Wed Sep 07, 2005 7:47 pm
by Shummu
Anmol wrote:
shummu wrote:Assalam-o-alaikum ahl-e-bazm!

Walekum salaam, Khush raho dost! :)

Is baar ek munfarid zameen meiN kuch likhne ki koshish ki hai...zameen khaasi mushkil lagi ab aap paRhiye aur bataaiye ke main kis hadh tak kaamyaab ho saki hoon ise nibhaane mein..shukriya :)

Ye zameen mujhe to bohot pasand hay, maiNe is per shayad 2-3 ghazleN to likkhi hi heN. Tum ne woh ghazal paRhi hogi,

Muhabbat meiN waade nibhaane ki baateN

http://urdustan.invisionzone.com/index. ... topic=9873


is ka jawaab to alags e de chuki hoon isliye duhraaingi nahi :D


aur han is baar sirf ek MATLA rakha hai kyonki kuch log aib smajhte the mere zyaada matle likhne ko..... :D

Waqai zyada matle paRh k boriyat hone lagti hay, ab maiN bhi kum likhne ki koshish kar rahi huN. :)

ALL THE BEST :-)

shab-e-hijr merii azaaboN meiN guzrii
kisii ke khayaaloN meiN,khwaaboN meiN guzrii

Nice.

thanx.

kabhii manzil-e-ishq paanaa thaa aasaaN
magar justujuu tab saraaboN meiN guzrii

Khoob.

shukriya

kahin ho na jaaye mera ghar bhi raushan
isi khauf se zau hijaaboN meiN guzrii

Mera>>>>Miraa

ok theek kar dungi magar sher kaisa laga?

shikast-e-muhabbat ki itnii kahaanii.....
gul-e-khushk ban ke kitaaboN meiN guzrii

Nice.

thanx

woh kya jaane pur khaar rastoN ki shiddat
guzar gaah jiskii GhulaaboN meiN guzrii

Nice.

thanx again

naseehat kya degaa woh naaseH ke jiskii
hai shaam-o-sehar bas kharaaboN meiN guzrii

"Kya" is always a long sound. I don't think k tum isey 1 k maqaam per baandh sakti ho.

han u r right...main is sher ko jawaid sahab ki bataayi tajveez se badal dungi. ..

Naseehat hameN kar raha hai woh naaseH
Sadaa umr jiskee KharaboN men guzrii

hows it?


agar hauslaa hai to ban ke dikhaa de
wohi Laila jo keh nisaaboN meiN guzrii!!!

Laila to noun hay aur mera khayal hay k isey dabaane ki shayad ijaazat na ho. Wese bhi laila ki Ye buri taraH dab rahi hay.

I know...shuru se mujhe is baat ka ilm tha magar laakh koshish ke bhi jab sahi na kar saki to ise as such post kar diya ke shayad koi madad kar de theek karne mein...magar ab tak no luck :(

Aapki aara ki muntazir,
Shumaila

Shu, bohot Khoob ghazal kahi hay tum ne, beshtar ashaar mujhe bohot pasand aaye. JahaN jahaN mujhe kuch Ghalati ka shaaiba hua, maiNe tumheN bata dena munasib samjha. :) Tum ne bohot acchi zameen muntaKhib ki hay aur ashaar bhi acche nikaale heN, bayaan bhi dilkash hay, meri jaanib se dili qubool karo. :)

regards,

Anmol
han Anmol is baar socha tha ke kuch different likhoon aur diff. zameen pe likhoon...tarahi misre pe likh likh ke bore ho gayi thi...I'm glad tumhe meri ye koshish pasand aayi...thanx for ur warm words rose: rose:

Shumaila

Posted: Wed Sep 07, 2005 10:01 pm
by Anmol
shummu wrote:
Anmol wrote:
shummu wrote: kahin ho na jaaye mera ghar bhi raushan
isi khauf se zau hijaaboN meiN guzrii

Mera>>>>Miraa

ok theek kar dungi magar sher kaisa laga?

Sher bohot Khoob hay. :-)


naseehat kya degaa woh naaseH ke jiskii
hai shaam-o-sehar bas kharaaboN meiN guzrii

"Kya" is always a long sound. I don't think k tum isey 1 k maqaam per baandh sakti ho.

han u r right...main is sher ko jawaid sahab ki bataayi tajveez se badal dungi. ..

Naseehat hameN kar raha hai woh naaseH
Sadaa umr jiskee KharaboN men guzrii

hows it?


Good. :-)

agar hauslaa hai to ban ke dikhaa de
wohi Laila jo keh nisaaboN meiN guzrii!!!

Laila to noun hay aur mera khayal hay k isey dabaane ki shayad ijaazat na ho. Wese bhi laila ki Ye buri taraH dab rahi hay.

I know...shuru se mujhe is baat ka ilm tha magar laakh koshish ke bhi jab sahi na kar saki to ise as such post kar diya ke shayad koi madad kar de theek karne mein...magar ab tak no luck :(

Aik tajveez zehen meiN aayi hay, agar tumheN theek lage..

"Woh laila kabhi jo nisaaboN meiN guzri"

Posted: Thu Sep 08, 2005 10:38 am
by Shummu
Anmol wrote:
Aik tajveez zehen meiN aayi hay, agar tumheN theek lage..

"Woh laila kabhi jo nisaaboN meiN guzri"

wow Anmol tumne to meri muhskil aasaan kar di..bahut pasand aayi tumhari tajveez....thanx a lot..maine edit kar diya hai :grin:

Posted: Thu Sep 08, 2005 10:42 am
by Shummu
Sarwar Raz wrote:mukarramah Shumaila SaaHebah: aadaab!

is Ghazal par kaheeN aur bohat kuch` likh` chukaa hooN. duhraane se koyee faa,idah naheeN hai. Ghazal achh`ee hai. daad qubool keejiYe.

jaisaa keh Anmol SaaHebah ne likh`aa hai :Lailaa: bohat dab kar adaa ho rahaa hai. a'am alfaaz^ meN yeh chal jaataa hai lekin ism-e-KhaaS (proper nouns) ziyaadah iHtiyaat^ chaahte haiN. ek baar aur dekh` leN to harj naheeN hai.

Sarwar A. Raz "Sarwar"
Mohatarm Sarwar sahab!

Adaab!

Aap ki daad ka behad shukriya...bahut ahmiyat rakhte hain aap ke bol mere liye...

aur maine Anmol ki bataayi tajweez ko apnaa liya hai kyonki bahut pasand aayi mujhe :-) aur baaqi khamaiyon ko bhi durust karne ki koshish kar rahi hoon....shukriya aap ki rehnumaayi ka :-)

Shumaila

Posted: Thu Sep 08, 2005 10:44 am
by Shummu
sara_j wrote:Bohat khoob Shummu,

aapki ghazal ke sabhhi ashaar bohat pasand aaye.

mubarakbaad qubool keejiye.

sara
Saraa jee aap ki main saraapaa mamnoon hoon ghazal ki pazeraayi aur meri hausla afzaayi farmaane ke liye :-)

Shumaila

Posted: Thu Sep 08, 2005 10:47 am
by Shummu
sara_j wrote:Bohat khoob Shummu,

aapki ghazal ke sabhhi ashaar bohat pasand aaye.

mubarakbaad qubool keejiye.

sara
Saraa jee aap ki main saraapaa mamnoon hoon ghazal ki pazeraayi aur meri hausla afzaayi farmaane ke liye :-)

Shumaila

Posted: Sat Sep 10, 2005 5:52 am
by Taskeen
Shumaila Sahiba,
Adaaab!!!!!

Itni sakht zameen mein kitni aasaani se aapne inte saare shaer keh diye, aur woh bhi aise ke har shaer par dil khol kar daad dena ka man kare. Subhaan Allah...Allah kare zor-e-qalam aur. Daad qabool farmaiye

Mukhlis

salaam alaikum shummu ji

Posted: Sun Sep 11, 2005 10:37 am
by Mahtab Qadr
waah waaah poori ghazal murassa hai shummu sahiba

shab-e-hijr merii azaaboN meiN guzrii
kisii ke khayaaloN meiN,khwaaboN meiN guzrii
bahut khoob , hijr ki kaifatoN ko bayan karne mai aapkamyaab haiN.

kabhii manzil-e-ishq paanaa thaa aasaaN
magar justujuu tab saraaboN meiN guzrii
theek hai

baDii be mazaa vasl kii raat thi jo
musalsal sawaaloN jawaaboN meiN guzrii
waah waah , bahut khoob , is silsile mai kia arz karsakta hoN ke apne apne tajarbaat hote haiN

kahin ho na jaaye miraa ghar bhi raushan
isi khauf se zau hijaaboN meiN guzrii
bahut acha sher hai

kabhii sher ban ke ,kabhii ban ke naGhmaa
miree khasta haalii naqaaboN meiN guzrii
waah kia niqaab hai aapka b hi ke sher o naghma ki shakl mai aajata hai.
bahut khoob

shikast-e-muhabbat ki itnii kahaanii.....
gul-e-khushk ban ke kitaaboN meiN guzrii
waah khooob acha khyaal hai.

miree aah-o-zaarii nashaa ban ke aksar
sar-e-bazm-e-rindaaN sharaaboN meiN guzrii
ji theek hai

woh kya jaane pur khaar rastoN ki shiddat
guzar gaah jiskii GhulaaboN meiN guzrii
hmm

naseehat hameiN kar rahaa hai woh naaSeH
sadaa umr jiskii KharaaboN meiN guzrii
waah

agar hauslaa hai to ban ke dikhaa de
Woh LAILAA kabhi jo nisaaboN meiN guzrii!!!
haN baat to hausle ki hai, waise ham ne laila ko school ke nisaab mai to nahi parha :)magar khuda khair karay majnooN ke haal par ,us ka kia hoga.

khairandesh
Mahtab Qadr