Page 1 of 2

maah-e-SEPT ke muntakhib shaayar:JAUN ELIYA

Posted: Sun Sep 04, 2005 8:44 am
by Shummu
Image

shuruwaat apni ek pasandeeda ghazal se karungi....ummeed hai aap log bhi is mein baRh chaRH ke hisaa lenge....shukriya :-)


John Eliya


1. nayaa ik rishtaa paidaa kyuN kareN ham?
biChha.Dnaa hai to jhag.Daa kyuN kareN ham?

2. Khamoshii se adaa ho rasm-e-duurii,
koii haNgaamaa barpaa kyuN kareN ham?

3. yeh kaafii hai k ham dushman nahiiN haiN,
vafaa_daarii kaa d?avaa kyuN kareN ham?

4. vafaa, iKhlaas, qurbaanii, muhabbat,
ab in lafzoN kaa piiChhaa kyuN kareN ham?

5. sunaa deiN ismat-e-Mariam kaa qissah?
par ab is baab ko vaa kyuN kareN ham?

6. ZuleiKhaa-e-aziizaN, baat yeh hai,
bhalaa ghaaTe kaa saudaa kyuN kareN ham?

7. hamaarii hii tamanna kyuN karo tum?
tumhaarii hii tamanna kyuN kareN ham?

8. kiyaa thaa ehad jab lamhoN meiN ham_ne,
to saarii umr iifaa kyuN kareN ham?

9. uThha kar kyoN na pheNke saarii chiizeN,
faqt kamroN meiN Tehlaa kyuN kareN ham?

10. nahiiN duniyaa ko jab parvaa hamaarii,
to phir duniyaa kii parvaa kyuN kareN ham?

11. barhnaa haiN sar-e-bazaar to kyaa?
bhalaa aNdhoN se pardah kyuN kareN ham?

12. haiN baashiNde isii bastii ke ham bhii,
so Khud par bhii bharosaa kyuN kareN ham?

13. pa.Dii rehne do insaanoN kii laasheN,
zamiiN kaa bojh halkaa kyuN kareN ham?

14. yeh bastii hai musal_maanoN kii bastii,
yahaaN kaar-e-masiihaa kyuN kareN ham?

Posted: Sun Sep 04, 2005 8:45 am
by Shummu
seena dahak rahaa ho to kia chup rahe koii
kyuN cheekh cheekh ker na galaa cheel le koi

caabit hua sukoon-e-dil-o-jaaN kahiiN nahiN
rishtoN meiN DhooNDta hai to DhooNda kare koi

tark-e-ta'alluqaat koi mas'ala nahiN
ye to voh raasta hai ke bas chal paRe koii

deevaar jaanta tha jise maiN voh dhool thi
ab mujh ko ai'timaad ki daa'vat na de koii

maiN khud ye chaahata hooN ke Haalaat hoN kharaab
mere khilaaf zehr ugaltaa phire koii

ae shakhs ab to mujh ko sabhee kuch qubool hai
ye bhi qubool hai ke tujhe cheen le koii

haaN Theek hai maiN apni anaa ka mareez hooN
aakhir mire mizaaj meiN kyuN dakhl de koi

ik shakhs kar rahaa hai abhi tak vafaa ka zikr
kaash us zabaaN daraaz ka mooNh noch le koi

Posted: Mon Sep 05, 2005 7:54 pm
by Shummu
Socha hai ke ab kaar-e-mseeHa na karaiN ge
wo Khoon bhi thookay ga to parwa na karaiN ge

iss baar wo talkhi hai ke rooTthey bhi nahi ham
ab ke wo laRaii hai ke jhagRa na karaiN ge

gussa bhi tahzeeb-e-ta’lluq ka hai talabgaar
ham chup haiN, bhare beThe haiN, gussa na karaiN ge

kam.goii ke ek wasf-e-Himaqat hai ba.har taur
kam.goii ko apnayeN ge chahka na karaiN ge

ab sahl pasandi ko banayeN ge wateera
taa.der kisi baab meiN socha na karaiN ge

aisa hai ke seene meiN sulagti haiN kharashaiN
ab saaNs bhi ham laiNge to accha na karaiN ge

kal raat bohat ghaur kiya hai so ham ne ae ~Jaun~
tae kar ke uTthe haiN ke tamanna na karaiN ge

Posted: Tue Sep 06, 2005 11:34 am
by Shummu
bahut shukriya sara jee is mazmoon ko yahaan bhi share karne ka

Posted: Thu Sep 15, 2005 7:40 am
by hassan_bashir
Aadab,


Khud se ham ik nafas hile bhii kahaa.N
us ko Dhuu.NDhe.n to vo mile bhii kahaa.N


Khemaa-Khemaa guzaar le ye shab
subah-dam ye qaafle bhii kahaa.N


ab ta'mul na kar dil-e-Khud_kaam
ruuTh le phir ye sil_sile bhii kahaa.N


aao aapas me.n kuchh gile kar le.n
varnaa yuu.N hai ke phir gile bhii kahaa.N


Khush ho siine kii in Kharaasho.n par
phir tanaffus ke ye sile bhii kahaa.N




Poet:- Jaun Eliya

Posted: Tue Sep 20, 2005 8:21 pm
by Shummu
Ham kahaaN aur tum kahaaN jaanaaN
haiN kayee hijr darmiyaaN jaanaaN

raaigaaN vasl meiN bhi waqt hua
pur hua khwaab raaigaaN jaanaaN

mere andar hi tu kahiiN gum hai
kis se poochooN tiraa nishaaN jaanaaN

aalaam-e-be.karaan-e-raNg hai tu
tujh meiN ThehrooN kahaaN kahaaN jaanaaN

roshni bhar gayee nigaahoN meiN
ho gaye khwaab be.amaaN jaanaaN

ab bhi jheeloN meiN aks paRte haiN
ab bhi neela hai aasmaaN jaanaaN

hai jo pur.khooN tumhaara aks-e-khayaal
zakhm aaye kahaaN kahaaN jaanaaN

Jaun Eliya

Posted: Tue Sep 20, 2005 8:22 pm
by Shummu
tum haqeeqat nahiN ho Hasrat ho
jo miley khwaab mein wo daulat ho

main tumhaarey hi dam se zinda hooN
mar hi jaauN jo tum se fursat ho

tum ho khushbu ke khwaab ki khushbu
aur itni hi bay.muravvat ho

tum ho pehlu mein par qaraar nahiN
yaani aisa hai jaise furqat ho

tum ho angaRaai rang-o-nikhat ki
kaise angaRaai se shikaayat ho

kis taraH choR dooN tumhe jaanaaN
tum miri zindagi ki aadat ho

kis liye dekhti ho aaiena
tum to khud se bhi khoobsurat ho

daastaaN khatm honey waali hai
tum miri aakhri mohabbat ho


jaun eliya