Page 1 of 1

Bacha Lena Aik Taaza ghazal

Posted: Tue Sep 06, 2005 9:10 am
by Mahtab Qadr
apni aik aur taaza nigarish pesh e khidmat hai.

Na ho saka ho agar kaarwaaN bacha lena
to itna karna shaoor e ziaaN bacha lena

Mataa e jaaN ko baharhaal sab ki lutnaa hai
kisike bas mai kahaN naqd e jaaN bacha lena

MileiNge teer bahut , dosroN ke tarkash se
jo ho sakay to ye tooti kamaaN bacha lena

tumhaiN hai naaz agar apne jaah o mansab par
zara ye jalti huvi bastiaaN bachaa lena

qasam hai tum ko qalam aur uskay likhe ki
viqaar e virsa e urdu zubaaN bacha lena

Mahtab Qadr

Bahut khoob

Posted: Fri Sep 09, 2005 5:32 pm
by Abdullah Nazir

Janab
Mahtab Qadr Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat,

Aaapki taazah gahazal paRhkar bahut luT-andouz houne kaa mauqaA milaa. Iski radeef bahut achcihi hei aur mazaameen bhii.

Dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
[color\brown]

Aapka Mukhlis,
Nazir.

[/color]

inayateiN

Posted: Sat Sep 10, 2005 11:39 am
by Mahtab Qadr
Mohatramee Abdullah bhai
salaam e masnoon
aapne meri ghazal parhi aur isqadar hausla afzai farmai ye mere lye bayes e iftekhaar hai. bahut mashkoor hoN
niazmand
Mahtab Qadr

Posted: Sat Sep 10, 2005 1:07 pm
by Shummu
bhai wah kya kehna aaj kal khoob aamad ho rahi hai Mahtaab sahab... :grin: wah!!! ye ghazal bhi bahut khoob hai...daad haazir hai. :-)

naacheez ki bhi ek adna si taaza ghazal maujood hai...nazar-e-akram farmaa dijiyega inaayat hogi :grin:

Shumaila

Posted: Sat Sep 10, 2005 3:37 pm
by nazneen_72
as salaam o alekum.
im back janab .. :o wah buhat khoob janab aap ki tu din ba din shayri main nikhaar aata jaarha hai kaafi arse bada parhe achi lagee.mubarakbaad kabool kijye

Posted: Sat Sep 10, 2005 3:43 pm
by nazneen_72
as salaam o alekum.
im back janab .. :o wah buhat khoob janab aap ki tu din ba din shayri main nikhaar aata jaarha hai kaafi arse bada parhe achi lagee.mubarakbaad kabool kijye

shummu ji

Posted: Sun Sep 11, 2005 10:17 am
by Mahtab Qadr
Shummu sahiba , aapki pazeerai ke lye tah dil se mashkoor hoN. inshallah aapki ghazal par bhi raye doNga .
Mahtab Qadr
Shummu wrote:bhai wah kya kehna aaj kal khoob aamad ho rahi hai Mahtaab sahab... :grin: wah!!! ye ghazal bhi bahut khoob hai...daad haazir hai. :-)

naacheez ki bhi ek adna si taaza ghazal maujood hai...nazar-e-akram farmaa dijiyega inaayat hogi :grin:

Shumaila

welcome back nazneen

Posted: Sun Sep 11, 2005 10:20 am
by Mahtab Qadr
nazneen aapne hamari khawhish ka paas rakha , aapki wapisi ka shukria
aur ghazal par daad bhi aapne di aur do baar di , chalye is qand e mukarrar ka bhi behad shukria
Mahtab Qadr
nazneen_72 wrote:as salaam o alekum.
im back janab .. :o wah buhat khoob janab aap ki tu din ba din shayri main nikhaar aata jaarha hai kaafi arse bada parhe achi lagee.mubarakbaad kabool kijye