Page 1 of 1

tarhi Ghazal guz. NO 9 dard tha lazawaal kyaa karte

Posted: Tue Sep 06, 2005 6:42 pm
by khozema husaini
Hazreen e mehfil
assalam o alaikum
diye gaye tarHi misre per apni adna si koshish ke saath hazir hua hoon aur ummeed karta hoon keh aap apni aara se zaroor nawazenge
shukriyah
Husaini

Ghazal
dard tha la zawaal kyaa karte
aur darmaaN muHaal kyaa karte
bhook se the niDhaal kyaa karte
gar nah karte sawaal kyaa karte
thi hameN nafs e natiqah darkaar
hum shabaab o Jamaal kyaa karte
jo Hisaar e KHudi meN KHud gum heN
woh hamara KHayaal kyaa karte
tu ne paai hai shaan e yaktaii
teri Hasil micaal kyaa karte
gohar e chashm hai karam unka
aur ziyadah nihaal kyaa karte
zindagi ji rahe heN mar mar kar
is se baRh kar kamala kyaa karte
furqat o hijr heN mira maqsoom
aarzoo e wisaal kyaa karte
Haal e dil se woh kab nah the waqif
hum bhala arz e Haal kiya karte
sirf aawaargi hi maqsad tha
phir junoob o shumaal kiya karte
heN Husaini alam se maalamaal
muflisi ka malaal kiya karte

Posted: Tue Sep 06, 2005 8:53 pm
by jawaid badauni
Mohtarmee Husaini Sahab, Aadaab

Behud haseen.o.murassah Ghazal se aap ne nawaza hai.

Dili mubarakbaad aur daad qubool kijiye.

Apka Mukhlis,
Jawaid Badauni

Posted: Tue Sep 06, 2005 11:06 pm
by Anmol
Waah waah bohot Khoob ghazal hay Husaini Sahib....sabhi ashaar umda heN, mujhe sher#3 me lafz "nafs e natiqah" ka matlab bata deejiye. :-)

Posted: Wed Sep 07, 2005 4:55 am
by zmufti
Husaini sahib
buhat khoob
meri janib se daad qabool kijye
zmufti

Re: tarhi Ghazal guz. NO 9 dard tha lazawaal kyaa karte

Posted: Thu Sep 08, 2005 11:14 am
by Shummu
khozema husaini wrote: dard tha la zawaal kyaa karte
aur darmaaN muHaal kyaa karte

bhook se the niDhaal kyaa karte
gar nah karte sawaal kyaa karte

jo Hisaar e KHudi meN KHud gum heN
woh hamara KHayaal kyaa karte

tu ne paai hai shaan e yaktaii
teri Hasil micaal kyaa karte


zindagi ji rahe heN mar mar kar
is se baRh kar kamala kyaa karte

furqat o hijr heN mira maqsoom
aarzoo e wisaal kyaa karte

Haal e dil se woh kab nah the waqif
hum bhala arz e Haal kiya karte

wahhhhhhhhhhhhhhhh bahut umda...bahut zabardast!!!

Dheron daad haazir hai is umda kaavish pe :-)

Shumaila

shukriyah

Posted: Fri Sep 09, 2005 2:12 pm
by khozema husaini
mohtaram jawaid saheb
mohtarmah anmol sahibah
mohtarmah zargah sahibah
mohtarmah sara sahibah
mohtarmah shumaila sahibah
aadaab
men aap sab ka tah e dil se mamnoon hoon keh aap ne ne meri ghazal ko pasand farmaya
bohat bohat shukriyah
talib e duAa
Husaini

Bahut achchi ghazal kahi hei

Posted: Sat Sep 10, 2005 7:47 am
by Abdullah Nazir

Janab
Khozema Husaini Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat,

Aapki TaraHi ghazal bahut pasand aayi. Saare ke saare ashAar bahut khoobsoorat heiN. Is kaamyaab koushish per meri daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

TaraHi misreA ko inverted commaas ki AlaamataoN ke darmiyaan yaa quotes meiN likhnaa chaahiye thaa.

MaiN ne apni TaraHi ghazal shurooA kii thii. Ab aap kii ghazal paRhne ke bad maiN ne dekhaa ke 2 misraAoN kaa tavaarud hougayaa hei jiski vajh se mujhe apnaa aek maTlaA aur aek sheAr miTaana paRrahaa hei jou yooN heiN:
aarzooy-e-viSaal kyaa karte
be-rukhi kaa malaal kya karte
jin ko furSat nah thii sanvarne se
wo hamaaraa khayaal kyaa karte.


BaharHaal aapko is khoobSoorat ghazal per dobaarah mubaarakbaad kehtaa hooN.


Aapka Mukhlis,
Nazir.


Posted: Sat Sep 10, 2005 5:57 pm
by khozema husaini
mohtaram nazir saheb
assalaam alaikum
men tah e dil se mamnoon hoon aap ki is hosla afzaaii ka aap ke tasuraat ka hamesha intezaar rehta hai ummeed hai aap aaindah bhi is karam ko jari rakhenge aur mujhe seekhne ke mawaqe faraham karte rahen ge
talib e duAa Husaini