Page 1 of 3

Lafz par ashar#19--TANHAII/TANHAA

Posted: Fri Sep 09, 2005 9:44 am
by syed bilal armaan
salam walekum
Dostoun app ney unwan"NAAM" par bahut acche ashar likhe. Ab pesh hai ek nay unwan "TANHAII" app is unwan par bhi apne pasandida ashar likhiye.lijye main yahan se agaz kar hoon.


tanhaai ki yeh kaun si manzil hai batao
saaya bhi jahaaN saath hamaara naheen deta

Posted: Fri Sep 09, 2005 11:28 am
by Shummu
dar-o-deevaar pe shakleN si banaane aayee
phir ye baarish meri tanhaaii churaane aayee

Kaif Bhopali

Posted: Sat Sep 10, 2005 2:09 am
by Hashmat Usmani
chaand tanhaa hai, aasmaaN tanhaa
dil milaa hai kahaaN kahaaN tanhaa


Meena Kumari

Posted: Sat Sep 10, 2005 2:40 am
by Hashmat Usmani
tanhaa_tanhaa ham ro leNge, maHfil maHfil gaayeNge
jab tak aaNsuu paas raheNge tab tak giit sunaayeNge


Nida Faazlii

Posted: Sat Sep 10, 2005 5:37 am
by Taskeen
Tanha thi aur humesha se tanha hai zindagi
Hai zindagi ka naam magar kiya hai zindagi

Posted: Sat Sep 10, 2005 1:17 pm
by Shummu
jab bhi tanhaii se ghabarake simat jaate hain..
hum teri yaad ke daaman se lipat jaate hai...

Posted: Sun Sep 11, 2005 10:34 am
by Shummu
ZINDAGI YUN HUI BASAR TANHAA
QAAFILAA SAATH AUR SAFAR TANHAA

Posted: Sun Sep 11, 2005 3:14 pm
by syed bilal armaan
umr bher kii hain musaafitein , yeh duriyaaN aur fasaley
tum chaaho to kuch ajab nahin yeh pal main ser ho jaaien
main kaat sakuN gaa tanhaa na tum kaat sakoo gey
yeh zeest key kathan raastey aao hunsafar ho jaaine

Posted: Sun Sep 11, 2005 3:54 pm
by syed bilal armaan
tanha na katt sakey ga --karhi dhoop ka safar
sarr per khiyaal e yaar ki chadar hi lay chalain

tanhaayi

Posted: Sun Sep 11, 2005 6:30 pm
by Abdullah Nazir



meHfil-e-yaar hou yaa gaosha-e-tanhaayi hou

aadami wo hei jise shauq-e-jabeeN-saayi hou.



Nazir.


Posted: Thu Sep 15, 2005 7:12 am
by syed bilal armaan
Mein tanha tha mein tanha hon
tum aao tu kia na aao tu kiaa?

Posted: Thu Sep 15, 2005 7:14 am
by syed bilal armaan
khud sey bher ker tumhein tanhaa nahin dekhaa jaataa
mujh ko hasrat hi rahii koii tumhaaraa hotaa

Posted: Thu Sep 15, 2005 7:21 am
by syed bilal armaan
tanhaai ki yeh kaun si manzil hai batao
saaya bhi jahaaN saath hamaara naheen deta

Posted: Thu Sep 15, 2005 7:48 am
by hassan_bashir
zindagi yuuN hui basar Tanhaa
qaafila saath aur safar Tanhaa

Posted: Thu Sep 15, 2005 12:01 pm
by Shummu
Rangeeni-e-dunya se maayoos sa ho jaana
Dukhta hua dil le ker tanhaaii meiN kho jaana