Page 1 of 3
Harf-e-'dAAL' se ash'aar bhejiye..shukriya!
Posted: Sat Sep 10, 2005 12:56 pm
by Shummu
DostoN ki haqeeqat hum pe khuli,
DushmanoN pe hameiN pyaar aane laga.
"daal"
Posted: Sun Sep 11, 2005 6:35 pm
by Abdullah Nazir
dil ko iHsaas houaa jab ke khaafaa hei koiee
meri aankhaoN se ravaaN houne lage heiN aansoo.
Nazir.
Posted: Thu Sep 15, 2005 7:44 am
by hassan_bashir
Dil na ummid to nahiN nakaam hee to hai
Lambhi hai ghum ki sham magar sham hi to hai
Posted: Thu Sep 15, 2005 11:58 am
by Shummu
Dil pe ek tarfa qayaamat karna
muskurate hue ruksat karna
--Noshi gilaani
Posted: Thu Sep 15, 2005 1:01 pm
by hassan_bashir
dard ke phul bhee khilate haiN bhikhar jaate haiN
zakm kaise bhi hoN kuch roz maiN bhar jaate haiN
~ javed akhtar ~
"daal se"
Posted: Fri Sep 16, 2005 2:24 am
by abdulhadiruswa
Dard kii tees jo bijli sii chamak jaati hei
khirman-e-dil ko bachaanaa nahiN houtaa aasaaN
Ruswa
Posted: Fri Sep 16, 2005 8:03 am
by Raji
dil voh nagar naheeN keh phir aabaad ho sake
pachtao ge sunoo yeh bastee ujhaaR ke
"daal"
Posted: Fri Sep 16, 2005 8:31 am
by Abdullah Nazir
dil ke is shehr meiN ab kuch nahiN veHsaht ke siwaa
bewafaa tuu ne miraa saath kahaaN chouRdiyaa.
Nazir.
Posted: Fri Sep 16, 2005 1:42 pm
by syed bilal armaan
Lijye ek shair pesh hai...
Posted: Fri Sep 16, 2005 1:46 pm
by syed bilal armaan
pesh hai ek aur shair daal se....
Posted: Sat Sep 17, 2005 4:43 pm
by hassan_bashir
Dilli ho to basane ki tavaqqo ho dobaara
UjaRa hua dil phir se basaaya nahiN jaata
Posted: Tue Sep 20, 2005 8:35 pm
by Shummu
Dosti jub kisi se kii jaaye
Dushmanon ki bhi raaye li jaaye
Mout ka zeher hai fizaaon mein
Ab kahan jaake saans li jaaye
Posted: Wed Sep 21, 2005 9:32 am
by Shummu
dayaar-e-Gair me.n kaise tujhe sadaa dete
tuu mil bhii jaataa to tujhe ga.Nvaa dete
Posted: Wed Sep 21, 2005 11:59 am
by hassan_bashir
Dam hai nikaltaa ik aashiq ka bhiR hai aakar dekh to lo
laakh tamaashe dekhe hoNge ek nazaara aur saHeeH
"daal"
Posted: Thu Sep 22, 2005 1:23 am
by Abdullah Nazir
Dil kii baateN aayieN sabaaN per ab yeh kehnaa mushkil hei
dunyaa saari deewaani hei yaa maiN hii deewaanah hooN.
Nazir.