Page 1 of 1
TARAHI GHAZAL - -- - (GUZ.9) by: ABDULLAH NAZIR.
Posted: Sun Sep 11, 2005 3:14 am
by Abdullah Nazir
MuHtaramaat o MuHtarameen
aHbaab-e-sukhan,
Purkhuloos Tasleemaat, :rose
Guzarish 9 ke miSreA per apni TaraHi ghazal pesh karrahaa hooN. Ummeed ke aap apne tabSiraoN se navaazkar shukriya adaa karne kaa mauqaA denge.
GHAZAL roman meiN.
fikr-e-deed-e-jamaal kyaa karte
aapke khastah Haal kyaa karte
intizaar-e-viSaal kyaa karte
be-rukhi kaa malaal kyaa karte
dasht-e-ghurbat kii dhoop meiN jalkar
hougaye ham niDhaal kyaa karte
seekhte rehgaye nazaakat-e-fun
iddiAay-e-kamaal kyaa karte
raahzan se hameN thii kyaa ummeed
shikwa-e-ikhtilaal kyaa karte
jin ko furSat nah thii sanwarne se
mere dil kaa khayaal kyaa karte
jou bhaRakte charaagh jaise thay
zulmataoN se qitaal kyaa karte
ai behi-khwaah-e-qalb-e-aazurdah
ham tiri dekh bhaal kyaa karte
kaun dunyaa meiN sunne waalaa thaa
be-jhijak ham sawaal kyaa karte
aur risne lagaa hei zakhm-e-jigar
koushish-e-indimaal kyaa karte
ham samajhne lage thay unke sukhan
baat ko goul maal kyaa karte
sounp dete nah gar zamaane ko
HaaSil-e-maah o saal kyaa karte
Ishq-e-sheAr o sukhan meiN Doob gaye
Warnah jeenaa muHaal kyaa karte
Ham thay aur aek Heelah-joo Nazir
Zindagi paa'imaal kyaa karte.
=====
Aapka Mukhlis,
Nazir.
Posted: Sun Sep 11, 2005 8:34 pm
by jawaid badauni
Mohtarmee Abdullah Nazir Sahab,
Aadaab
Ek baar phir aap ne nihayat murassah tarahee Ghazal se nawaza hai. Umdah zubaan, har sher sherriyat aur aamad ki micaal aur nuhayat dushwaar qawafee ka haq bajanib istailam, yeh sub cheezeN aapki kohna mashqee ki tarjumaan haiN.
Meri nacheez daad qubool farmaaiye.
Muhlis
Jawaid
Posted: Mon Sep 12, 2005 5:58 pm
by khozema husaini
mohtaram nazir saheb
aadaab
is khoobsoorat ghazal ke liye meri janib se dili daad qubool farmayen
Husaini
shukriya
Posted: Thu Sep 15, 2005 12:46 am
by Abdullah Nazir
MuHtarami o Azeezxi
Jawaid Badayuni Saahib,
Purkhuloos Tasleemaat,
Aap kii zarrahnavaazi ke liye behad shukrguzaar hooN. Aapko ghazal pasand aayi jou mere liye khushi kaa baaAic hei.
Ummeed ke aayindha bhi aap meri Hauslah afzaayi farmaate rehenge.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
Posted: Sat Sep 17, 2005 7:00 am
by zmufti
Mohtaram Abdullah Nazir sahib
Tasleemat
Aap ki ghazal parhi
aap ne is maiN mukhtalif mazameen bari khubsurti se bayaN kiye haiN
Meri janib se daad-o-mubarik baad qabool kijye
youN to sabhi asha'ar khub haiN magar mujhe yeh ziyada pasand aaye
ai behi-khwaah-e-qalb-e-aazurdah
ham tiri dekh bhaal kyaa karte
kaun dunyaa meiN sunne waalaa thaa
be-jhijak ham sawaal kyaa karte
aur risne lagaa hei zakhm-e-jigar
koushish-e-indimaal kyaa karte
Ishq-e-sheAr o sukhan meiN Doob gaye
Warnah jeenaa muHaal kyaa karte
regards
zmufti
Posted: Wed Sep 21, 2005 9:22 am
by Shummu
wah bahut khoob....aap ki ghazal bahut pasand aayi..kayi naye qaawaafee bhi jaan_ne ko mile...daad haazir hai!
Shumaila