Page 1 of 1
Tarahi ghazal Guz#9
Posted: Tue Sep 13, 2005 7:12 am
by zmufti
Ahl-e-Mehfil
aadaab
maiN apni kaawish k saath hazir hoN. Aap ki aara ka intizaar rahey ga.
Aik aur baat gosh guzar karni thee k aaj jab ghazal post karne k liye aayii to dekha k sher no.2 ka doosra misra Janab Abdullah Nazir Sahib k misrey se takra raha hai. MaiN jald hi is ko tabdeel kar doN gi is liye koi bura gumaan na kijye
shukria
zmufti
1. jab Milan thaa muhaal kyaa karte
phir yeh khawb-o-khayal kyaa kartey
2. Do hi pal thaa wisal kyaa karte
Be rukhi ka Malal kyaa karte
3. tum tu sun kar bhee un sunna karte
“Ham bhalla arz-e-haal kyaa karte”
4. tujh se poocha na haal kyaa kartey
un ginat they sawal kyaa karte
5. khud se milna muhaal hai ab to
phir ta’alluq Bahaal kyaa karte
6. Dukh utha kar bhee muskara daitey
Gham se they ham nidhaal kyaa karte
7. ham badal daltey chalan apna
Na thee koi Mical kyaa karte
8. aainah jab khafaa hua ham se
phir yeh husn-o-jamal kyaa karte
Re: Tarahi ghazal Guz#9
Posted: Tue Sep 13, 2005 9:24 am
by Mahtab Qadr
Zarqa sahiba
Aadaab
Aapki ghazal parhi achi lagi.
dosre sher ke dosre misre ka Mohatram Webmaster ke sher se takraana tarhi ghazal mai koi khas baat nahi , zaher hai ke itni choti bahar aur qawafi ki tangi mai aisa hota hi hai. albatta teesre sher ke pahle misre mai unsuna ki bajaye unsuni ziada sahi lagta hai.yani
"tum to sun kar bhi unsuni karte"
ye do sher bahut pasand aaye.
tujh se poocha na haal kyaa kartey
un ginat they sawal kyaa karte
khud se milna muhaal hai ab to
phir ta’alluq Bahaal kyaa karte
shukria
Mahtab Qadrzmufti wrote:Ahl-e-Mehfil
aadaab
maiN apni kaawish k saath hazir hoN. Aap ki aara ka intizaar rahey ga.
Aik aur baat gosh guzar karni thee k aaj jab ghazal post karne k liye aayii to dekha k sher no.2 ka doosra misra Janab Abdullah Nazir Sahib k misrey se takra raha hai. MaiN jald hi is ko tabdeel kar doN gi is liye koi bura gumaan na kijye
shukria
zmufti
1. jab Milan thaa muhaal kyaa karte
phir yeh khawb-o-khayal kyaa kartey
2. Do hi pal thaa wisal kyaa karte
Be rukhi ka Malal kyaa karte
3. tum tu sun kar bhee un sunna karte
“Ham bhalla arz-e-haal kyaa karte”
4. tujh se poocha na haal kyaa kartey
un ginat they sawal kyaa karte
5. khud se milna muhaal hai ab to
phir ta’alluq Bahaal kyaa karte
6. Dukh utha kar bhee muskara daitey
Gham se they ham nidhaal kyaa karte
7. ham badal daltey chalan apna
Na thee koi Mical kyaa karte
8. aainah jab khafaa hua ham se
phir yeh husn-o-jamal kyaa karte
Re: Tarahi ghazal Guz#9
Posted: Tue Sep 13, 2005 11:41 am
by Shummu
zmufti wrote:
1. jab Milan thaa muhaal kyaa karte
phir yeh khawb-o-khayal kyaa kartey
2. Do hi pal thaa wisal kyaa karte
Be rukhi ka Malal kyaa karte
3. tum tu sun kar bhee un sunna karte
“Ham bhalla arz-e-haal kyaa karte”
4. tujh se poocha na haal kyaa kartey
un ginat they sawal kyaa karte
5. khud se milna muhaal hai ab to
phir ta’alluq Bahaal kyaa karte
8. aainah jab khafaa hua ham se
phir yeh husn-o-jamal kyaa karte
wah bahut khoob....zarqa jee aap ki ghazal bahut pasand aayi..zor-e-qalam aur ziyaada!
Shumaila
Posted: Tue Sep 13, 2005 1:25 pm
by zmufti
Mahtaab Sahib
Aadaab
Ghazal pasand karney ka shukria
Sher no.2 k barey maiN aap ki baat parh kar hosla hua
umeed hai keh Abdullah Nazir sahib bhee naraaz nahiN honge
"tum tu sun kar bhee un sunna karte"
is k barey maiN aap ne likha k "un sunna" ki bjaye "un sunni" behtar hai
asal maiN doosrey misrey maiN "arz-e-Haal" ko mad-e-nazr rakh kar likha
meray khyal maiN haal sunaya jata hai aur baat sunni jati hai
taham phir bhee agar theek nah ho to maiN badal doN gii
shukria
allah Hafiz
zarqa
Posted: Tue Sep 13, 2005 1:28 pm
by zmufti
Shummu jee
aap ka buhat shukria
aap ka husn-e-nazar hai jo taareef k qabil jana
regards
zarqa
Bahut khoob
Posted: Wed Sep 14, 2005 4:00 am
by Abdullah Nazir
MuHtaramah
Zarqa Mufti Saahibah,
Purkhuloos Tasleemaat,
Aapki ghazal bahut pasand aayi. Saare ke saare ashAaar bahut dilkash heiN.
Is kaamyaab koushish per meri daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
Posted: Wed Sep 14, 2005 4:55 am
by zmufti
Mohtaram Abdullah Nazir Saheb
Aadaab
Aapka buhat shukria
Aapka tabsara dekh kar mujhe buhat khushi hui
umeed hai aayinda bhee meri hosla afzaaii farmayieN ge
allah hafiz
zarqa
Posted: Wed Sep 14, 2005 6:53 am
by Ibn-e-siddique
zarqa behen
salaam arz hai
aap ki ghazal dekh ker khushi hui, aap ke kalaam meiN nikhaar aata jaa rahaa hai.
daad qubool keejiye
amjad
Posted: Wed Sep 14, 2005 8:46 am
by zmufti
Amjad Bhai
aap ka buhat shukria keh aap ne is per comments post kiye
umeed hai aayinda bhee hosla afzaaii kareN ge
regards
zarqa
Posted: Thu Sep 22, 2005 4:45 am
by zmufti
Sara jee
aap ka buhat shukria
meri improvement maiN aap ka bhee hissa hai
aap hi mujhe mushairey maiN likhney ki tehreek dillati rahiN
regards
zmufti