Page 1 of 1
Meri Ghazal (choTi zameen meN)
Posted: Tue Sep 13, 2005 8:59 am
by jawaid badauni
Dosto! Salam
Ek purani Ghazal choTi zameen meN aapki nazr kar raha hooN, ummid hai pasaNd farmayeNge.
Apka Mukhlis,
Jawaid Badauni
---------------------------------------------------
Jitni bar gaye gulshan tak
KaanTe hi aaye daaman tak
Kaise kaise moR aate haiN
Khuwahish-e fun se manzil-e fun tak
Ashk-e-alam ka zikr chalaa tha
Baat gayeee unke daaman tak
SubH-e chaman to hogee lekin
Kaun jiyega subH-e chaman tak
Dard ki lai kuch dheemi rakhiye
Ghar ki bat rahe aaNgan tak
Josh-e junooN hi saath rahaa hai
Nara-e haq se daar.o.rasan tak
“Jawaid” ab to hosh meN aa,o
Sholay aa pahooNche daaman tak
janab jawaid sahib
Posted: Tue Sep 13, 2005 9:36 am
by Mahtab Qadr
Bahut khoob purani ghazal bhi nai ghazloN se kuch kam nahi jawaid sahib. bahut umda hai
khairandaish
Mahtab Qadr
Re: janab jawaid sahib
Posted: Tue Sep 13, 2005 12:24 pm
by jawaid badauni
Mahtab Qadr wrote:Bahut khoob purani ghazal bhi nai ghazloN se kuch kam nahi jawaid sahib. bahut umda hai
khairandaish
Mahtab Qadr
Azeezi Mahtab Qadr Sahab
Aapki purKhuloos daad ke liye behud mamnoon hooN.
Ummid hai aaindah bhi yaad farmate rahenge.
Mukhlis
Jawaid
Re: Meri Ghazal (choTi zameen meN)
Posted: Wed Sep 14, 2005 4:50 am
by Sarwar A. Raz
jawaid badauni wrote:
Dosto! Salam
Ek purani Ghazal choTi zameen meN aapki nazr kar raha hooN, ummid hai pasaNd farmayeNge.
Apka Mukhlis,
Jawaid Badauni
---------------------------------------------------
Jitni bar gaye gulshan tak
KaanTe hi aaye daaman tak
Kaise kaise moR aate haiN
Jada-e fun se manzil-e fun tak
Ashk-e Gham ka zikr chalaa tha
Baat gayeee unke daaman tak
SubH-e chaman to hogee lekin
Kaun jiyega subH-e chaman tak
Dard ki lai kuch dheemi rakhiye
Ghar ki bat rahe aaNgan tak
Josh-e junooN hi saath rahaa hai
Nara-e haq se daar.o.rasan tak
“Jawaid” ab to hosh meN aa,o
Sholay aa pahooNche daaman tak
mukarramee Jawaid SaaHeb: aadaab!
kayee din ke ba'd "net" par aayaa hooN to aap kee yeh Ghazal dekh`ne ko milee. beHr aur zameen donoN hee achh`ee haiN aur aap kee fikr bh`ee u'mdah hai. daad qubool keejiYe! sab hee asha'ar pasand aaYe. do ek maqaamaat par Zehn meN Khalish paidaa huwee so gosh-guZaar kar rahaa hooN. ho saktaa hai keh yeh meree Ghalat^fehmee ho!
-------------------------
Kaise kaise moR aate haiN
Jada-e fun se manzil-e fun tak
kaheeN aap :se: kee jagah :meN: to naheeN kehnaa chaahate th`e? aap raaste se :muR: kar manzil tak naheeN poNhach sakte haiN. albattah aise raaste par Z^aroor chal sakte haiN jo manzil tak jaate jaate pech-o-Kham kaa shikaar ho!
---------------------------------
Ashk-e Gham ka zikr chalaa tha
Baat gayeee unke daaman tak
aap ne "ashkay Gham" baaNdh`aa hai jab.k aap kee muraad :ashk-e-Gham: (e=zer) hai. agar :ashk-e-Gham: ko SaHeeH adaa,igee se paRhiYe to miSra' be-wazn ho jaataa hai. alfaaz kee heraa-ph`eree se yeh a'ib door ho saktaa hai. mazeed yeh keh :gayee: kee jagah :poNhchee: kar deejiYe to miSre' meN aur jaan aa jaaYe gee.
poNhchee baat un ke daam tak!
-------------------------------------
ek kaamyaab Ghazal par mubaarakbaad!
Sarwar A. Raz "Sarwar"
Posted: Wed Sep 14, 2005 8:01 am
by jawaid badauni
Mohtarmee Sarwar Sahab,
Aadab qubool kijiye
MaiN Khood soch raha tha kaii din se kisee chaupal meN aap ki tahreer dekhne ko nahiN mili. Ummid hai mizaj baKhair hoNge. Main ne yeh ghazal bhi SuKhan Dost men hi bheji thee magar iss baar ek karam farma' ne ise yahaN muntaqil kar diya hai. Bahar haal jaisee unki marzee.
Ghazal ki pazeeraaii ke liye shukriya. Meri purani GhazaleN isee rang meN hain jo maiN ab baari baari bhejna chaahta hooN.
Aap ke donoN e'traz sir aaNkhoN per. DonoN hi jagah "typo" ki ghaltee hoii hai. Pahla misAra kuch yooN tha: "Khuwahish-e fun se manzil- fun tak". Doosre misAra kuch yooN tha: "Ashk-e-alam ka zikr chalaa tha", jise maiN kuch aage peche type kar gaya hooN. Yeh 1971 ki ghazal hai thik se yaad bhi nahin rahee.
Inn "typing" ki KhamiyoN ki nishandihee ke liye ek baar phir shukriya.
KhaakSaar,
Jawaid Badauni
Posted: Thu Sep 15, 2005 4:07 am

mukarramee Jawaid SaaHeb:aadaab!
Khat^ kaa shukriyah! in t^abSiroN kaa baRaa faa,idah yehee hai keh apnee :typos: kaa bh`ee i'lm ho jaataa hai! waise :typos: to ek aadh` Harf kee hotee hai. :jaadah: se :Khwaahish: kaa kyaa i'laaqah?
Khair, aap keh rahe haiN to baat mo'tabar hee hai. aahistah aahistah :type: kareN to aisee Ghalat^iyoN kaa imkaan kam ho jaataa hai. magar yeh to aap jaante hee haiN!
yaar zindah, SuHbat baaqee!
Sarwar A. Raz "Sarwar"
Posted: Thu Sep 15, 2005 5:32 am
by jawaid badauni
Sarwar Raz wrote:jawaid badauni wrote:

Mohtaram Sarwar Sahab, Tasleem
Aapke murasilay ke liye shukriya.
Typo meN huroof ke saath sath alfaz, fiqre ya misArey bhi ghalat ho sakte haiN. Aap ne shayad meri arz per tawajjo nahiN farmayee. MaiN ne likha tha keh yeh Ghazal 1971 meN kahi thee aur yaadaasht ki madad se ab irsaal ki hai so kuch alfaz idhar ke udhar ho gaye.
Main apne deeni mad.hiya kalam ko mahfooz karta hooN magar ghazaleN aur nazmeN nah janee kitni haiN aur kahaN kahaN haiN. Albattah, jab se computer seekha hai, apne beshtar kalam ko "D" drive meN save karne lagaa hooN.
Ek baar phir shukriya.
Ahqar,
Jawaid