Page 1 of 2

Re: tum se shayad koiee sawaal na hou...Guzarish # 1

Posted: Sun Jan 09, 2005 4:17 pm
by Star Mind
sara_j wrote:Assalamolaikum.

diye gaye tarahee misre per meri koshish haazir hai. :D

umeed ke pasand ayegi.

Ghazal:

1. tum agar mere hum khayaal na ho
" tumse shaayed koi sawaal na ho"

2. Deeda-e-shauq hei tou sab kuch hei
warnah raana-i-e-jamaal na ho

3. baat dilki jo tum karo mujhse
zindagi ka safar muhaal na ho

4. aankh se jazb karliye aansoo
taakeh mujh se koiee sawaal na ho

5. saath tera hai isqadar piyaaraa
hai tamanna ise zawaal na ho

6. yun guzar jaayeN roz o shab apne
zindagaani kabhii vabaal na ho

7. Dil meiN sheereeN kalaam hei Saara,
Lab yeh kehte heiN Arz-e-Haal na ho
Assalam-o-a'laikum,

moHtarama Saara Jabeen SaaHiba,
waah ! jee waah ! kyaa khne aap ne tu kamaal hi kardiyaa :D .
mashaa Allah bahut khoobSoorat ghazal kahi hai aap ne. mujhe tamaam asha'aar jee jaan se pasand aayee aur khaaS t^or par aap ne girah bhi khoob lagaane ki koshish ki hai ! bahut khoob !!!
daad-o-taHseen qabool kejeye :D . shukriya

mokhliS : Zia Baloch

Bahut khoob waah waah

Posted: Tue Jan 11, 2005 6:13 am
by Abdullah Nazir

Muhtaramah
S A A R A Saahibah,


B. Tasleemaat, :)


Aapki ghazal behad pasand aayi. Saare ashAaar khoobsoorat heiN. In meiN se mujhe joashAar ziyaadah pasand aaye wo No.3 aur No.5 heiN. Waah waah bahut khoob.

Meri daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
[colr=brown]

Aapka Mukhlis,

Nazir.

[/color]

Posted: Wed Jan 12, 2005 12:14 pm
by jawaid badauni
Bahut achchi ghazal se nawaza hai aap ne. Tamam ashAar bahut saaf haiN.

Abhi Mushaireh meN itni chahal pahal nahiN lekin mujhe lagta hai aahista aahista logoN ki dilchaspi baRhtee jaayegi.

Khair Andesh,

Jawaid Budauni
Muscat - Oman

Re: tum se shayad koiee sawaal na hou...Guzarish # 1

Posted: Wed Jan 12, 2005 3:37 pm
by Shummu
3. baat dilki jo tum karo mujhse
zindagi ka safar muhaal na ho

4. aankh se jazb karliye aansoo
taakeh mujh se koiee sawaal na ho

5. saath tera hai isqadar piyaaraa
hai tamanna ise zawaal na ho

6. yun guzar jaayeN roz o shab apne
zindagaani kabhii vabaal na ho
Wah sara jee ..bahut khoob!Aap ki tarahi ghazal pasand aayi khaaskar quoted ashaar..zor-e-qalam aur ziyaada :)

Shumaila

Re: tum se shayad koiee sawaal na hou...Guzarish # 1

Posted: Thu Jan 13, 2005 5:13 am
by Hashmat Usmani
salaam Saara ji,

aapkii Ghazal paRhii aur bas yuN samajhiye ki baRaa lutf aayaa aur maiN saaraa din aapke har she'r ko gungunaataa rahaa. bahot hii dil_kash, dil_aavez aur dil_Khush Ghazal kahii hai aapne. aapko DheroN mubaarak_baad aur daad pesh kartaa huuN, gar qubool uftaad.

ek ek she'r umda o aalaa hai. maiN ne jo ash'aar ziyada pasand kiye haiN unheN hasb e zail meN darj kar rahaa huuN:


2. Diida-e-shauq hai to sab kuch hai
varnah, ra'naaii-e-jamaal na ho

3. baat dil kii jo tum karo mujhse
zindagii kaa safar moHaal na ho

5. saath teraa hai is qadar pyaaraa
hai tamanna ise zawaal na ho

6. yuN guzar jaayeN roz_o_shab apne
zindagaanii kabhii vabaal na ho


Allah kare zor e kalaam aur ziyaada!

faqat muKhlis,

Hashmat

Re: tum se shayad koiee sawaal na hou...Guzarish # 1

Posted: Thu Jan 13, 2005 5:21 pm
by Mahtab Qadr
sara_j wrote:Assalamolaikum.

diye gaye tarahee misre per meri koshish haazir hai. :D

umeed ke pasand ayegi.

Ghazal:

1. tum agar mere hum khayaal na ho
" tumse shaayed koi sawaal na ho"

2. Deeda-e-shauq hei tou sab kuch hei
warnah raana-i-e-jamaal na ho

3. baat dilki jo tum karo mujhse
zindagi ka safar muhaal na ho

4. aankh se jazb karliye aansoo
taakeh mujh se koiee sawaal na ho

5. saath tera hai isqadar piyaaraa
hai tamanna ise zawaal na ho

6. yun guzar jaayeN roz o shab apne
zindagaani kabhii vabaal na ho

7. Dil meiN sheereeN kalaam hei Saara,
Lab yeh kehte heiN Arz-e-Haal na ho

sara ji salaaam
Bahut khobsurat koshish hai.

1. tum agar mere hum khayaal na ho
" tumse shaayed koi sawaal na ho"
wah wah, zaher hai jab tauqqu hi uth gai ghalib , kioNkisi ka gila kare kaoi


2. Deeda-e-shauq hei tou sab kuch hei
warnah raana-i-e-jamaal na ho
ye bhi khoob hai, aanNkh mai husn na ho to phir koi shaye bhi haseen nazar nahi aati chahe urdubandhan ki kioN na ho.
ghaleban jannisar akhter ka sher hai jiska pahla misra mujhe achi tarah yaad nahi ke.. harek shaye mai mai husn talash karta hoN
isi nigaah ne shayer banadia hai mujhe

3. baat dilki jo tum karo mujhse
zindagi ka safar muhaal na ho
bhaut khoob..understanding zaroori hai.:)

4. aankh se jazb karliye aansoo
taakeh mujh se koiee sawaal na ho
aray bhai , kahiN aap ye to nahi kahti theiN ke aankh ne jazb karlye aansoo . baharhal sher acha hai.

5. saath tera hai isqadar piyaaraa
hai tamanna ise zawaal na ho
khob , ham sab bhi yahi kahte haiN:)

6. yun guzar jaayeN roz o shab apne
zindagaani kabhii vabaal na ho
aameeen

7. Dil meiN sheereeN kalaam hei Saara,
Lab yeh kehte heiN Arz-e-Haal na ho
ji..shukria
MQ

Re: tum se shayad koiee sawaal na hou...Guzarish # 1

Posted: Thu Jan 13, 2005 11:28 pm
by naheedv

Sara ji,

meraa idhar kam kam hi aanaa hotaa hai, aaj thoRaa vaqt thaa tau iss forum ki seir kar rahi thee aur nazar :mushairaH: par paRhee jis meiN sab se pehl aap hi ki ghazal nazar aa'ee.

mashaa'Allah aap ne buhat achi ghazal likhee hai aur mujhe pasaNd aa'ee. iss kaamyaab koshish par dili daad aur mubarakbaar qubool kijiye!

mukhlis
Naheed

Posted: Mon Jan 17, 2005 4:10 pm
by rahmed25682
Aadaab Sara ..

Wah bohat he khoob ...

Mashallah .. aap kee ghazal bhoat achhy hay .. mukhtasir behr main bhee aap nay achhy ghazal kahy hay..

Khush rahain

Khair Andesh

Raheel Ahmed

Posted: Wed Jan 19, 2005 2:05 pm
by tahira Masood
Dear sara sis

salaam-e-khloss

ether aap ne meHfil ki meHfil loot lee aur hameiN khabre nah huee? wah re -khebri haamari!!!

nehanaa bohat a'Alaa khiyaalat ko saleeqae se aap ne ghazal ki leRe meN pitoyaa hai.
khaas taur peh yeh ashAar pasaNd aaaey.


2. Diida-e-shauq hai to sab kuch hai
varnah, ra'naaii-e-jamaal na ho

3. baat dil kii jo tum karo mujhse
zindagii kaa safar moHaal na ho

5. saath teraa hai is qadar pyaaraa
hai tamanna ise zawaal na ho

6. yuN guzar jaayeN roz_o_shab apne
zindagaanii kabhii vabaal na ho


khush rehain aur esi teraHapne khosbsurat kalaam se nawaazti rehaiN.
wassalam