Page 1 of 1

HaZrat Khwajah Shauq

Posted: Wed Sep 14, 2005 3:45 am
by Abdullah Nazir

MuHtarameen
aHbaab-e-sukhan,

Purkhuloos Tasleemaat, :rose

HaZrat Khwajah Husein Sheriff jinka muqaam-e-paidaayish Hyderabad, India, taarekh-e-paidaayish 26 zilHaj, 42 Hijri = 29 July, 1934 Aeesavi hei aur jinka qalmi naam Khwaajah Shauq hei. In kii zindagi kii mazeed tafseelaat kaa zikr karnaa sooraj ko charagh dikhaane ke mumaacil hei.

Aek ArSah pahle aek bahut hii chouTaa saa kitaabchah aek doust ke zaryiyeAe mujhe milaa thaa jis mein unki mukhtaSar sii sawaaniH-e-Haaat ke ilaawah muntakhab ashAaar bhii thay.

Khayaal aayaa ke inkaa zikr urdubandhan per kiyuN nah kiyaa jaaye tou inke b'aZ muntakhab ashAaar pesh karrahaa hooN:

Muntakhab ashAaar

yahaaN tuHfaoN ko aansoo aur nazraanaoN ko jaaneN heiN
ghareebaoN kii muHabbat meiN kahaaN shaan-e-ameeraanah

kisi kii bhii nah kii parvaah bawaqt-e-waapaseeN maiN ne
jab aankhaoN meiN tum aaye sab se aankheN pher leeN maiN ne

khul ke aaye saamne dushman bahut naadaan thay
doust daanaa thay jou aakhir tak nah pahchaane gaye

rah-e-ulfat meiN jab tark-e-tavassuT kaa muqaam aayaa
nah dunyaa mere kaam aayi nah maiN dunyaa ke kaam aayaa

pee gaye kitne hii aansoo ham banaam-e-zindagie
aek muddat meiN kahiN dil dard ke qaabil banaa

pahle aaghaz-e-shab-e-gham to samajh meiN aaye
b'ad kii baat hei hangaam-e-saHar kyaa hougaa

hamaare Haal pah tum chaahou jisqadar hanslo
nah do zamaane ko mauqaA hansi uRaane kaa
=======
ab is mukhtasar intikhaab ke saath ijaazut chaahtaa hooN. Agar mumkin houaa tou doosri qisT ke saath HaaZir houne kii koushish karungaa.


Aapka Mukhlis,
Nazir.