Aek bahut purani ghazal - -- - by: Abdullah Nazir
Posted: Wed Sep 14, 2005 5:44 pm
MuHtaramaat o MuHtarameen
aHbaab-e-sukhan,
Purkhuloos Tasleemaat, :rose
Aek bahut purani ghazal jou maiN ne 1982 se pahle kahi thii, pesh karrahaa hooN. Ummeed keh aap apne giraaNqadr tabSiraoN se navaazenge.
G H A Z A L roman meiN.
Saihbaa ne jou karwaT lii, sar phir gayaa boutal kaa
Saaghar kahiN laihraayaa, paimaaNah kahiN chalkaa
Masti meiN javaani kii, kyaa Tarz-e-khiraamaaN hei
Housh usko nahiN bilkul, daaman kaa nah aanchal kaa
Her lamHa-e-ishrat yooN, be-faiZ nazar aayaa
Jaise koii saayah hou, uRte houe baadal kaa
Apni bhii siah-bakhti , taAreef ke qaabil hei
jisTarH sajeelaa-pan , un aankhaoN meiN kaajal kaa
her gaushah gulistaaN kaa firdaus badaamaaN thaa
yeh waaqiAah ab lekin, hei guzre houe kal kaa
Ai mauj-e-Hawaadic jab, ToofaaN ke muqaabil hooN
Kyaa khauf Tamaanche kaa, hou zour kaa yaa halkaa
Nazir yeh taghazzul bhii, ik zauq-e-taghazzul hei
Yaa harzah-saraayi meiN, andaaz hei paagal kaa
=======
Aapka Mukhlis,
Nazir.