"naazuki khatm hei....": Irfan Barabankwi
Posted: Fri Sep 16, 2005 12:18 pm
MuHtaramaat o MuHtarameen
Ahbaab-e-shukhan
Aadaab
Hairar Ali aatish ke mandarja-e-zel misreA per apni ghazal pesh karrahaa hooN:
"naazuki khatm hei un phool se rukhsaaraoN per"
GHAZAL roman meiN
ghar chuTaa kyaa, houi uftaad ye be-chaaraoN per
tuhmat-e-dasht-navardi lagi naadaaraoN per
Zarb dushman ne lagaayi miri deevaaraoN per
yaAni Hamlah kiyaa us ne mire aacaaraoN per
Haye kyaa khoob yeh andaaz-e-maseeHaayi hei
Ik nazar Daal gaye aake wo beemaaraoN per
Haal furqat kaa nah ab aap khudaaraa poocheN
yuN samajh leejiye leTaa hooN maiN angaaraoN per
be-hunar saare navaaze gaye eA'zaazaoN se
aur navaazish nahiN koii houi fankaaraoN per
baa-Hamiyyat sabhi sar apnaa kaTaadete heiN
aanch aane nahiN dete kabhi dastaaraoN per
nakhudaa'aoN ne Dubooye the safeene apne
aur ilzaam lagaaye gaye manjdhaaraoN per
micl unke koii tamceel kahaaN se laauN
"naazuki khatm hei un phool se rukhsaaraoN per"
be-Hijaabaanah nikal aaye wo :IrfaaN: baahar
barq girjaaye nah dekho kahiN gulzaaraoN per
=======
Khair Andesh,
Irfan.[/i]