Page 1 of 1

Meri ek bahut purani Ghazal (Chund AshAAr)

Posted: Fri Sep 16, 2005 8:37 pm
by jawaid badauni


Yaran-e Mahfil,
Tasleemaat

Ek bahut purani Ghazal yaad aa gayee hai jo iss ummid
ke saath irsaal kar rahaa hooN keh aap ise pasaNd
farmayeNge aur apne tAccuraat se nawazeNge.

Khulooskaar,

Jawaid Badauni
Muscat – Oman
------------------------------------------------------------------------


Ghazal


Kuch mehman hamare ghar ke unke ghar tak ja pahooNche haiN
Hum ne suna hai dard ke saaye unke jigar tak ja pahooNche haiN


Aatish-e ruswaaii ka mujhko pahle koii Khauf nahiN tha
Lekin ab iss aag ke sholay unke dar tak ja pahoonche haiN


Mere daaman ke saye meN rahna unko raas nah aaya
Aaj yeh aalam hai KhaaroN ka raahguzar tak ja pahooNche haiN


Haal hamara sunte sunte unki aaKheN bheeg gayeeN kyooN
Shayad zaKhm hamare dil ke unki nazar tak ja pahooNche haiN


Hum ne taareeki meN ab tak noor-e sahar ke Khuwaab hi dekhe
Aur hamare qaafle waale shams.o.qamar tak ja pahooNche haiN


"Jawaid" apne Gham ka fasana tum ne laakh chupaya lekin
Chaak gareebaaN dekhne wale chaak jigar tak ja pahooNche haiN
--------------------------------------------------------------------------------

Bahut khoob

Posted: Sat Sep 17, 2005 11:02 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badayuni Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat,


Aapki puraani ghazal paRhkar beHad meHzooz houaa.

Zubaan o bayaan ke khoobsoorat andaaz ne zehn ko kaafi mutavajjeh kiyaa aur aek suroor o inbisaaT kaa Aalam paidaa kiyaa. Kuhnah mashqi kii aek mazbooT bunyaad kaa acar aaj tak aapki shayeri per qaayim hei.
Meri dili daad aur mubaarkbaad qubool farmaayiye.


Aapka Mukhlis,
Nazir.


Re: Meri ek bahut purani Ghazal (Chund AshAAr)

Posted: Sun Sep 18, 2005 10:42 am
by jawaid badauni
jawaid badauni wrote:

Yaran-e Mahfil,
Tasleemaat

Ek bahut purani Ghazal yaad aa gayee hai jo iss ummid
ke saath irsaal kar rahaa hooN keh aap ise pasaNd
farmayeNge aur apne tAccuraat se nawazeNge.

Khulooskaar,

Jawaid Badauni
Muscat – Oman
------------------------------------------------------------------------


Ghazal


Kuch mehman hamare ghar ke unke ghar tak ja pahooNche haiN
Hum ne suna hai dard ke saaye unke jigar tak ja pahooNche haiN


Aatish-e ruswaaii ka mujhko pahle koii Khauf nahiN tha
Lekin ab iss aag ke sholay unke dar tak ja pahoonche haiN


Mere daaman ke saye meN rahna unko raas nah aaya
Aaj yeh aalam hai KhaaroN ka raahguzar tak ja pahooNche haiN


Haal hamara sunte sunte unki aaKheN bheeg gayeeN kyooN
Shayad zaKhm hamare dil ke unki nazar tak ja pahooNche haiN


Hum ne taareeki meN ab tak noor-e sahar ke Khuwaab hi dekhe
Aur hamare qaafle waale shams.o.qamar tak ja pahooNche haiN


"Jawaid" apne Gham ka fasana tum ne laakh chupaya lekin
Chaak gareebaaN dekhne wale chaak jigar tak ja pahooNche haiN
--------------------------------------------------------------------------------
Mohtarmee Abdulla Nazir Sb.,
Tasleemaat

Is baar meri is purane rung ki ghazal per aap ke alawah abhee tak kisee ne tawajoo nahiN farmayee jo mere liye ek hairat ki baat hai. Magar, ap ne Ghazal ko pasaNd farmay to mere liye is se ziyadah aur kya hoga. Andha kya maange dou aaNkheN. Aap ki daad mere liye sanad ka darja rakhtee hai. Mujhe mAlum tha yeh purane rang ki ghazal hai aur is meN Ghazal ke rewaayitee andaz ko barqaraar rakha gaya hai is liye aap is ko zaroor pasand farmayeNge. Bahut bahut shukriya.

Mukhlis
Jawaid