nigaah Khud pah jo Daalee to yeh huwaa ma'loom!
Posted: Mon Sep 19, 2005 5:54 am
yaaraan-e-bazm: tasleemaat!
ek taazah t^araHee Ghazal HaaZ^ir-e-Khidmat hai. miSra' hai:
"nah ibtidaa kee Khabar hai, nah intihaa ma'loom"
aaj kal t^abee,a't Ghazal-goyee kee jaanib maa,il hai, HaalaaN.k maSroofiyat ma'mool se ziyaadah hee hai. aap ne sunaa ho gaa keh :chor choree se jaataa hai, lekin heraa-pheree se kab jaataa hai!:. meraa mu,a'amilah bh`ee aisaa hee samajh`iYe! aap kee raaYe aur tabSireh kaa intiz^aar rahe gaa.
maiN ne is Ghazal meN ek lafz^ us kee ma'mool kee bunat se haT kar baaNdh`aa hai. naYe likh`ne waaloN se darKhwaast hai keh woh is lafz^ kee nishaan-dehee karne kee koshish kareN. shaayad is se kuch` HaaSil ho jaaYe!
Sarwar A. Raz "Sarwar"
==============================
GHAZAL:
nigaah Khud pah jo Daalee to yeh huwaa ma'loom
"nah ibtidaa kee Khabar hai, nah intihaa ma'loom!"
siwaaYe is ke naheeN kuch` bh`ee baa-Khudaa ma'loom
hameN to apnaa bh`ee yaaro naheeN pataa ma'loom!
ma,aal-e-shikwah-e-Gham, HaaSil-e-du,a'a ma'loom!
Ghareeb-e-shehr-e-wafaa kaa i'laaj? laa-ma'loom!
KhizaaN-gazeedah bahaaroN ne kyaa kahaa tujh` se?
ma,aal-e-gul naheeN kyaa tujh` ko ai Sabaa! ma'loom?
ik u'mr kaT gayee ummeed-o-naa-muraadee meN
ab intiz^aar hai kal kaa, so woh bh`ee kyaa ma'loom!
bas itnaa jaante haiN dil kisee ko de aaYe
bh`ale-bure kee Khabar kyaa hameN bh`alaa ma'loom?
naheeN hai kuch` bh`ee talaash-e-sukoon se HaaSil
maqaam-e-i'shq kee ham ko hai har adaa ma'loom!
bh`ale hee tum ko nah ho apne a'ashiqoN kaa pataa
hameN hai Haal tumhaaraa Zaraa Zaraa ma'loom!
paRaa hai soch meN "Sarwar" maqaam-e-i'brat meN
yeh kyaa Ghazab hai keh ma'loom bh`ee hai naa-ma'loom!
=======================