Page 1 of 2
Lafz par ashar#20--LAFZ/ALFAAZ
Posted: Wed Sep 21, 2005 8:41 am
by syed bilal armaan
salam walekum !
Dostoun app ney unwan"TANHAII/TANHA" par bahut acche ashar likhe. Ab pesh hai ek nay unwan "LAFZ/ALFAAZ" app is unwan par bhi apne pasandida ashar likhiye.lijye main yahan se agaz kar hoon.
Woh ek LAFZ ki khushboo na rakh saki mehfooz
main us ke haath may sari kitaab kia deta.
Posted: Wed Sep 21, 2005 9:30 am
by Shummu
wow nice word
do chaar lafz keh ke maiN khaamosh ho gayaa .............
wo muskuraa ke bole, bahot bolte ho tum
Posted: Wed Sep 21, 2005 12:29 pm
by hassan_bashir
abhi is taraf na nigaah kar maiN ghazal ki palakeN saNvaar looN
meraa lafz lafz ho aaYeena tujhe aaYeene maiN utaar looN
"alfaaz"
Posted: Thu Sep 22, 2005 1:33 am
by Abdullah Nazir
alfaaz kam hei aap kii taAreef ke liye
meri zabaan jaise ke ab gung hougaiee.
Nazir.
lafz
Posted: Thu Sep 22, 2005 1:56 am
by Abdullah Nazir
do lafz muHabbat ke agar aate zubaaN per
kyaa ham pah tumhaara koii iHsaaN nahiN houtaa.
Nazir.
Posted: Thu Sep 22, 2005 10:33 am
by Shummu
Ahmed Nadeem Qasmi sahab
tujh se kis tarah mai.n izhaar-e-tamannaa karataa
lafz suujhaa to maanii ne baGaavat kar dii
Posted: Fri Sep 23, 2005 8:44 am
by syed bilal armaan
main lafz lafz dhond ke thak bhi gaya adam
woh phool dey ke baat ka izhar kar gaya.
Posted: Fri Sep 23, 2005 8:51 am
by syed bilal armaan
Kahoon gar sath dein alfaaz mera
main in ankhoon se jo kuch dekhta hoon.
Posted: Fri Sep 23, 2005 9:29 am
by syed bilal armaan
alfaaz hi naheeN lab-e-IZHAAR ke liyey
kitne alam haiN mere dil-e-zaar ke liyey
Posted: Sat Sep 24, 2005 10:21 am
by Shummu
ye ajiib khel hai ishq kaa mai.n ne aap dekhaa ye moajazaa
vo jo lafz mere gumaa.N me.n the vo terii zubaa.N par aa gaye
alfaaz
Posted: Sat Sep 24, 2005 12:53 pm
by Abdullah Nazir
apne alfaaz ke taabindah guhar pesh karungaa lekin
kyaa khabar hei tire meAyaar ke qaabil hounge.
Nazir.
"alfaaz"
Posted: Sun Sep 25, 2005 11:12 pm
by Abdullah Nazir
heiN meri aarzoo meiN jou alfaaz ke gohar
ai kaash tum samajh lo tou mujhko sukooN mile.
Nazir.
Posted: Mon Sep 26, 2005 7:27 pm
by Shummu
agar alfaaz miltay heiN, muaani bhool jaata hooN
meiN uus kay saamnay jaaduu b'yaani bhool jaata hooN
"alfaaz"
Posted: Tue Sep 27, 2005 6:44 am
by Abdullah Nazir
[size[18]
kaiee alfaaz aaye lab pah dil kii aarzoo ban kar
magar tuu ne kiyaa majrooH unko tund-khoo ban kar.
Nazir.
[/size]
Posted: Wed Sep 28, 2005 10:45 am
by Shummu
sun_nii haiN to phir Qais ke alfaaz meiN suniye!
farzaane ki baateN hoN k deevaane ki baateN!!!