Page 1 of 1
aap kah dijiiye, kia isko vafaa kahte haiN?...taazah Ghazal
Posted: Mon Dec 13, 2004 6:06 am
by Hashmat Usmani
Khawaateen_o_Hazraat-e-maHfil-e-she'r_o_suKhan
assalaamo 'alaikum,
ummeed hai ki mizaaj-e-giraamii ba_Khair hoNge.
maiN aaj is maHfil meN aapkii Khidmat meN apnii ek taazah_tareen kaavish pesh karne kii jasaarat kar rahaa huuN aur ummeed-e-be_jaa bhii kartaa huuN ti aapkii tab'a-e-naazuk par baar-e-giraaN na hogaa.
aapkii ta'reefii aur tanqiidii aaraa aur Hausalah_afzaaii ka baRii be_chainii aur intehaaii be_sabrii se intezaar rahegaa. shukria!
1.
tum jise kah do bura, usko buraa kahte haiN
tum bhalaa kah do jise, usko bhalaa kahte haiN
2.
jo kabhii hamko na bhoole se bhalaa kahte haiN
na buraa unko kaheNge, na buraa kahte haiN
3.
aapke Husn ko ham maah_lagaa kahte haiN
aapkii zulf bikharne ko ghaTaa kahte haiN
4.
jinko andaaz-e-jafaa, naaz_o_adaa kahte haiN
unke aane ko jawaanii kii hawaa kahte haiN
5.
laakh jal jal ke bujhe jaayeN, magar jo bujh kar
raah dikhlaaye, use ham to diyaa kahte haiN
6.
dard_o_dil, ranj_o_alam, zaKhm-e-jigar, aah_o_foGhaaN
in 'inaayaat ko ulfat kii jazaa kahte haiN
7.
chai'n_o_aaraam_o_sukooN, taab_o_tavaaN, sabr_o_qaraar
inke khone ko moHabbat kii sazaa kahte haiN
8.
kaaNTe dil meN tirii furqat ke chubhaa kar jeenaa
isko ham 'ishq meN jeene kaa mazaa kahte haiN
9.
ham se dil le ke raqeeboN se ta'alluq rakhnaa
aap kah dijiiye, kia isko vafaa kahte haiN?
10.
is liye jaate haiN phir unke bulaane par ham
dekh leN! aaj hameN aur vo kia kahte haiN!!
11.
Husn paakeezgii-e-dil se jhukaaye nazreN
isko ham, nek_sifat!, sharm_o_Hayaa kahte haiN
12.
sirf Khud_Gharzii pe ho jinkii rifaaqat ka madaar
aise yaaroN ko ham dushman se buraa kahte haiN
13.
waqt se pahle reh-e-Haq meN fanaa hone ko
maut kahte nahiiN!, ham usko baqaa kahte haiN
14.
ho ke Khud parda nashiiN, rahtaa hai "nahno 'aqrab!"
isii poshiida Haqeeqat ko Khudaa kahte haiN
15.
jaan_o_dil un pe fidaa kar diye, "Hashmat_jii!" ne
'aashiqii isko, ise tarz-e-vafaa kahte haiN
Posted: Mon Dec 13, 2004 1:56 pm
by Star Mind
Assalam-o-a'laikum,
moHtarami Hashmat Usmani SaaHib, subHaan-Allah
qibla ! aap ney to kamaal hi kardiya :D . is qadr dil-casp ghazal waah waah. nazar na lag jaaye .
yaqeen kejeye mere paas woh alfaaz hi nahiN haiN , jo is ghazal k shaayaan-e-shaan hoN . is leye bas itna keh sakta hoN ke Bahut khoob, bahut a'alaa, . ba-Har-Haal mire jaanib se dherooooooN daad qabool kejeye. aayendah bhi intezaar raheyga. shukriya.
MokhliS : Zia Baloch
Posted: Mon Dec 13, 2004 2:14 pm
by Hashmat Usmani
moHtaram janaab-e-Zia saaHib,
assalaam_o_'alaikum,
ummeed hai ki mizaaj-e-giraamii ba_Khair hoNge.
aapko merii adnaa sii kaavish pasand aayii, yeh mere liye baais-e-Hausalah_afzaaii hai. aapkii zarra_navaazii hai Huzoor-e-waalaa varna "cheh piddi, cheh piddi ka shorbaa!".
aapkii moHabbat aur Khuloos mere liye mash'il-e-raah hai. bahot bahot shukria janaab, bahot bahot shukria.
Posted: Tue Dec 14, 2004 7:36 am
by waqar_masood
yes...that is a great one
assalam o alaikum hashmat sahab ..
MA SHA ALLAH kia heeray jaisa kalam kaat nikalaa hay ..buhut acchay acchay ashaar say muzayyan keya hay ghazal ko aur buhut acchay acchay khayalat ko jazb keya hay ghazal main ..buhut acchay nukat ko ubhara hay aur buhut khoob andaz e beyaan hay ... rawani aur tasalsul ka bhi ik munfarid maqam hay ... aur khas ker yeh sheer jo meray aql o fehem kay lehaaz say bay had pasand ayee
laakh jal jal ke bujhe jaayeN, magar jo bujh kar
raah dikhlaaye, use ham to diyaa kahte haiN
dard_o_dil, ranj_o_alam, zaKhm-e-jigar, aah_o_foGhaaN
in 'inaayaat ko ulfat kii jazaa kahte haiN
sirf Khud_Gharzii pe ho jinkii rifaaqat ka madaar
aise yaaroN ko ham dushman se buraa kahte haiN
waqt se pahle reh-e-Haq meN fanaa hone ko
maut kahte nahiiN!, ham usko baqaa kahte haiN
yeh asshaar la jawab hein ..itni khubsoorat ghazal per buhut buhut daad qubool kerain ....
waqar masood
Posted: Wed Dec 15, 2004 12:09 am
by Hashmat Usmani
Star Mind wrote:Assalam-o-a'laikum,
moHtarami Hashmat Usmani SaaHib, subHaan-Allah
qibla ! aap ney to kamaal hi kardiya :D . is qadr dil-casp ghazal waah waah. nazar na lag jaaye .
yaqeen kejeye mere paas woh alfaaz hi nahiN haiN , jo is ghazal k shaayaan-e-shaan hoN . is leye bas itna keh sakta hoN ke Bahut khoob, bahut a'alaa, . ba-Har-Haal mire jaanib se dherooooooN daad qabool kejeye. aayendah bhi intezaar raheyga. shukriya.
MokhliS : Zia Baloch
moHtaram Zia saaHib,
w salaam,
aapko merii adnaa sii kaavish is qadar pasand aayii ki aapne zarre ko aaftaab banaa diyaa. aji maiN itnii daad o taHseen ka na hii Haqdaar huN aur na hii mujhe iska ahl. aapkii zarraa navaazii hai aur kia kahuuN mazeed bar_aaN. aapkaa teh dil se mamnoon huuN ki aapne apna qeemti waqt nikaal kar Hausalah_afzaaii kii. shukria bahot bahot aapkaa ek baar phir se.
Posted: Wed Dec 15, 2004 12:14 am
by Hashmat Usmani
sara_j wrote::D Hashmat Usmani saahib hum hairaan hain ke aap bhi shayar hain. bohat alaa bohat pyari tehreer likhi hai lagta hai dilse likhi gayi hai, is khoobsurat aur dilkash ghazal per dhair saari daad qubool keejiye.........abhi yehan gulab ka phool upload nahi hua hai :D jald hojayega to aek pesh karungi :D
shukriya
sara
salaam moHtaramah Saara saaHiba,
aapkaa bahot bahot shukria tuk_bandi pasand farmaane kaa aur waqt nikaal kar apne ta'assuraat pesh karne aur Hausalah_afzaaii karne ka.
aji dil hii nahiiN raha ki koii aarzoo kareN
bas alfaaz ke ulaT-pher se dil e na_kaarah ko tasalliyaaN detaa rahtaa huuN. du'aa kijiiye ki koi dil kii muraad hii bar aaye!
Posted: Wed Dec 15, 2004 12:19 am
by Hashmat Usmani
waqar_masood wrote:yes...that is a great one
assalam o alaikum hashmat sahab ..
MA SHA ALLAH kia heeray jaisa kalam kaat nikalaa hay ..buhut acchay acchay ashaar say muzayyan keya hay ghazal ko aur buhut acchay acchay khayalat ko jazb keya hay ghazal main ..buhut acchay nukat ko ubhara hay aur buhut khoob andaz e beyaan hay ... rawani aur tasalsul ka bhi ik munfarid maqam hay ... aur khas ker yeh sheer jo meray aql o fehem kay lehaaz say bay had pasand ayee
laakh jal jal ke bujhe jaayeN, magar jo bujh kar
raah dikhlaaye, use ham to diyaa kahte haiN
dard_o_dil, ranj_o_alam, zaKhm-e-jigar, aah_o_foGhaaN
in 'inaayaat ko ulfat kii jazaa kahte haiN
sirf Khud_Gharzii pe ho jinkii rifaaqat ka madaar
aise yaaroN ko ham dushman se buraa kahte haiN
waqt se pahle reh-e-Haq meN fanaa hone ko
maut kahte nahiiN!, ham usko baqaa kahte haiN
yeh asshaar la jawab hein ..itni khubsoorat ghazal per buhut buhut daad qubool kerain ....
waqar masood
salaam Waqaar miyaaN,
aapkii falak_bos daad_o_taHseen ka shukria aur bahot bahot shukria ki aapne na sirf meri tuk_bandii pasand farmaayii balki waqt nikaal kar izhaar-e-Khayaal bhii kiyaa jiska maiN yaqeen aapko dilaataa huuN ki maiN na hii Haq_daar huuN aur na hii iska ahl. yeh to bas aapkii zarraa_navaazii hii hai jo zarre ko aaftaab banaa diyaa.
mujhe bhi vohii ash;aar ittefaaqan pasand aaye the jinkii nishaan-dehii aapne farmaayii.
ek baar phie se shukria aapkaa.
Posted: Thu Dec 16, 2004 2:35 pm
by sbashwar
Hashmat Sahib
Asslam Alaikom.
Vah Vah bohat khoob rahi aapki ghazal. mubarak baad khubool kijiye.
shukria
Salem Bashwar
Posted: Fri Dec 17, 2004 1:45 am
by Hashmat Usmani
salaam janaab e Salim saaHib,
aapko meri adnaa sii kaavish pasand aayii jiske liye maiN teh-e-dil se shukr_guzaar huN. yeh aapkii zarra_navaazii hai jo ma'mooli sa kalaam pasand farmaayaa. shukria janaab.
Posted: Sat Dec 18, 2004 12:30 pm
by Ibn-e-siddique
Hashmat saHib:
salaam arz hai:
janaab kamaal ki ghazal kahii hai aap ne :), maashallah tamaam ashaar hi khoob haiN, is ghazal per kiya tanqeed karooN ;, bas daad hazir hai , qubool farmaa leN :)
amjad
Posted: Sun Dec 19, 2004 4:00 am
by Hashmat Usmani
Ibn-e-siddique wrote:Hashmat saHib:
salaam arz hai:
janaab kamaal ki ghazal kahii hai aap ne :), maashallah tamaam ashaar hi khoob haiN, is ghazal per kiya tanqeed karooN ;, bas daad hazir hai , qubool farmaa leN :)
amjad
salaam Amjad saaHib,
aapko meri yeh adnaa sii koshish bhaaii aur aapne apne qeemti auqaat meN se waqt nikaal kar apne ta'assuraat pesh kiye, ham aapke mamnoon aur shukr_guzaar haiN. aapkii zarrah_navaazii hai varma maiN kis kaam kaa! aapkii Hausalah_afzaaii kaa teh-e-dil se shukria.
faqat aHqar,
Hashmat