Guz.9 ki TaraHi ghazal, Abdulqayyum Sahil, Jeddah
Posted: Thu Sep 22, 2005 7:36 am
MuHtarameen o MuHtaramaat
aHbaab-e-sukhan,
Aadaab o Tasleemaat,
Guzarish 9 per apni TaraHi ghazal pesh karrahaa hooN. Ummeed ke aap apne giraaNqadar tabSiraoN se navaazkar khaaksaar ko shukriyah adaa karne kaa mauqaA denge.
GHAZAL;
Hijr kaa ham malaal kyaa karte
Zikr-e-shauq-e-viSaal kya karte
Koii caani nahiN zamaane meiN
Pesh uski micaal kyaa karte
Chashm-e-purshauq meiN wo taab kahaaN
Deed-e-Husn o jamaal kyaa karte
Naqsh ham ne kiyaa nah aankhaoN meiN
Manzar-e-maah o saal kyaa karte
Koii baadal idhar nahiN aataa
Hasrat-e-barshagaal kyaa karte
Parda-e-naaz thaa bachashm-e-karam
Ik nazar kaa sawaal kyaa karte
Teer-e-mizhgaaN ne kardiyaa ghaayal
Be-sipar ham thay Dhaal kya karte
Jo muqaddr meiN thii nahiN apne
Us khushi per malaal kyaa karte
Lafz uske liye nah thay :SaHil:
midHat-e-khush-khiSaal kyaa karte
=======
Khair Andesh,
SaHil,