:: Mere maHboob (naz^m)::
Posted: Mon Sep 26, 2005 10:47 pm
Yaaran-e-meHfil , aadaab :)
aaj aek muddat baa'd connect hosakaa hoN , socha Khaali haath na aayaa jaaye so aek nazm ki saath Haazir hoN , yaad rahe k ye nazm pehle bhi paish kee thee magar tab is k faqat 3 ash'aar the ! aur ab 16 :D
ummed hai k ye neesh bhi gawaaraa kareNge ! qat^a'-e-naz^ar is baat k k maiN bohut jald reply nahiN desakoNga kyoNke Net ab bhi Theek Theek nahiN ! shukriya
:: Urdu Version ::
:: Roman Version ::
Mere Mahboob !
Mere maHboob tujhe kaise bataaoN aaKhir
tujh ko kis raNg maiN paataa hai tiraa ye shaai'r
aise jaise kisi zindaaN maiN chale taaza hawaa
jaise pardes ki hojaaye wat^an jaisi faZ^aa
jaise gumnaam jazeeroN se mile raahnumaa
jaise africa k saHra maiN koii kaali ghaTaa
jaise boolaan ki choTi pe ruke baad-e-Sabaa
jaise sheeraaz ki waadi maiN bahaaroN ki Sadaa
jaise dosheeza-e-kaaGhaan ki ma'Soom adaa
jaise baGhdaad ki dulhan kare tashreeH-e-wafaa !
jaise makraan k saaHil pe koi deep jale
jaise mehraan k daryaa se ghaTaa aa k mile
jaise gangaa maiN but-e-hind ka ruKhsaar dhule
jaise raavi k tabassum se koii phool khile
jaise dajla k kinaare koi tahzeeb pale
jaise aaGhoosh-e-wolar maiN naya ik raaz khule
jaise danube k saaNche maiN koii shea'r Dhale
jaise neckar k kinaare koi mahtaab chale
jaise iqraar-e-moHabbat maiN banaa taaj maHal
jaise iqbaal k naGhmoN maiN nikharne ka a'mal
jaise fit^rat paRhe kashmeer maiN Ghaalib ki Ghazal
jaise minto ka fasaana kayee zihnoN ka badal
jaise sheele(shelley) k taraanoN maiN bahaaroN ki mehak
jaise Haafiz ne Ghazal ko di sharaaroN ki lapak !
mere maHboob ! Haqeeqat to yehi hai k tiraa
Husn bhi meri moHabbat ki t^araH kaamil hai
mere maHboob , mire dard-e-jigar , naaz na kar !
aa k waabasta hai tujh se miri taabinda saHar ! :)
..........................................................
aap ki aaraa ka intezaar rahega ! shukriya
moKhliS :
Zia Baloch