tum nahin aaye the jab, tab bhi to maujood the tum
Posted: Sun Jan 09, 2005 5:09 pm
haazreen-e-mehfil,
salaam-e-khuloos.
Ali Sardar Jafri ki ek nazm mujhe behad pasand hai, aur main net per bahut ar'se se uski talash mein tha. kal ittefaaq se ye nazm mujhe www.mushaira.org per khud Jafri sahab ki aawaz mein sunne ko mili. maine fauran ise note kar liya aur ab aap sabki khidmat mein pesh hai.
is nazm ko Jagjit ne bhi gaaya hai lekin wo nazm poori nahin hai, aur kuch tabdeelian bhi hain.
shukriya,
Mohib
---------------
tum nahin aaye the jab, tab bhi to maujood the tum
tum nahin aaye the jab, tab bhi to maujood the tum
aankh mein noor ki aur dil mein lahoo ki suurat
dard ki lau ki tarah, pyaar ki khushboo ki tarah
bewafaa waadoN ki dildaari ka andaaz liye
tum nahin aaye the jab tab bhi to tum aaye the
raat ke seene mein mahtaab ke khanjar ki tarah
subh ke haath mein khursheed ke saagar ki tarah
shaakh-e-khooN rang-e-tamanna mein gul-e-tar ki tarah
tum nahin aaoge jab, tab bhi to tum aaoge
yaad ki tarah dhadakte hue dil ki suurat
gham ke paimaana-e-sharshaar ko chalkaate hue
barg haye lab-o-rukhsaar ko mehkhaate hue
zulf dar zulf bikhar jayega phir raat ka rang
shab-e-tanhaii mein bhi lutf-e-mulaqat ka rang
roz laayegi saba koo-e-sabahat se payaam
roz gaayegi saat tahniyat-e-jashn-e-khiraam
aao aane ki karein baat ke tum aaye ho
ab tum aaye ho to main kaunsi shai nazr karuuN
ke mere paas bajuz mehr-o-wafaa kuch bhi nahin
ek dil, ek tamanna ke sivaa kuch bhi nahin