Page 1 of 3

Lafz par ashar#21--KHUSHBOO

Posted: Mon Oct 03, 2005 8:59 am
by syed bilal armaan
Dostoun app ney unwan"LAFZ?/ALFAAZ" par bahut acche ashar likhe. Ab pesh hai ek nay unwan "khushboo "app is unwan par bhi apne pasandida ashar likhiye.lijye main yahan se agaz kar hoon.

khushbu bataa rahi hai ke wo r aaste meiN hai
mauj-e-sabaa ke haath meiN us ka suraagh hai

Posted: Mon Oct 03, 2005 9:07 am
by syed bilal armaan
phool Khushboo jheel mausam dhoop titli aur hawa
sab ke chehroN par udaasi tere jaane ke baad

Posted: Mon Oct 03, 2005 12:08 pm
by Shummu
Phool rah jayeengay guldaan mein yaadon ki nazar,
Main to khushboo hoon fiazaon mein bikhar jaaoonga

Moin Nazar

"khushboo"

Posted: Mon Oct 03, 2005 12:40 pm
by Abdullah Nazir



khwaahish-e-vaSl fanaa hougaiee kyaa gham uskaa

gaisooay-e-yaar kii khusboo bhi moyassar nah houie



Nazir.


Posted: Tue Oct 04, 2005 4:39 pm
by hassan_bashir
Teri khushbu maiN base khat maiN jalaataa kaise
pyaar maiN dube hue khat maiN jalaata kaise

"khushboo"

Posted: Tue Oct 04, 2005 7:50 pm
by Abdullah Nazir



thee mushaabeh tiri zulfaoN se bahut hijr kii shab

gham tou yeh hei ke moyassar mujhe khushboo na houie.



Nazir.


Posted: Wed Oct 05, 2005 9:14 am
by syed bilal armaan
Raat ghatein , khushboo un zulfoo'n ke naam
mousam har jadoo un zulfoo'n ke naam...

Posted: Fri Oct 07, 2005 1:49 pm
by Shummu
zara un ki zulfoon se khushboo uranaa
naseem-a-sehar main ghazal keh rahaa hoon

Posted: Fri Oct 07, 2005 4:48 pm
by hassan_bashir
havaa maiN bikhari hai us ki Khushboo
zuroor us kaa aadaab aaaYaa

"khushboo"

Posted: Fri Oct 07, 2005 6:19 pm
by Abdullah Nazir



kyaa laayenge ab mushk-e-khutan Dhoondne waale

khushboo tiri zulfaoN kii mire dil meiN basii hei.



Nazir.


Posted: Sun Oct 09, 2005 7:34 am
by syed bilal armaan
Dil ke har zakham se ati hai wafa ki khshboo
zakham chup jayeinge khushboo ko chupa'oun kaise...

Posted: Wed Oct 12, 2005 7:51 am
by syed bilal armaan
Dostoun app ney unwan"KHUSHBOO" par bahut acche ashar likhe. Ab pesh hai ek nay unwan "SABA "app is unwan par bhi apne pasandida ashar likhiye. unwan naye fourm mein mulaheza kijye.

Posted: Mon Jan 16, 2006 9:30 pm
by ummassad
rang pyrahan ka KHUSHBOO zulf lehrane ka naam
mousam-e- gul hai tumhere baam per aane ka naam

Posted: Sat Feb 11, 2006 2:33 am
by Daanish
bu-e-gul, naala-e-dil, dood-e-chiraagh-e-mehfil
jo tiri bazm se nikla, so pareshaN nikla--Ghalib

khushboo

Posted: Thu Feb 23, 2006 3:29 am
by Abdullah Nazir



khusboo-e-zulf-e-yaar ne yooN mast kardiyaa

jaise mujhe Dubudiyaa jaam-e-sharaab meiN.


Shaayer: Abdullah Nazir.



Nazir,