Page 1 of 1

ghazal laga gaya mire dil men pari jamaal girah

Posted: Mon Oct 03, 2005 6:43 pm
by khozema husaini
hazreen e mehfil
aadaab o tasleemaat
aik tazah ghazal ke saath hazir e mehfil hooN aur ummeed karta hoon aap apni aara se zaroor nawazeNge
aur mujhe shukriyah ada karne ka moqa faraham karenge
shukriya
talib e duAa
Husaini

Ghazal

laga gaya mire dil meN pari jamaal giraah
yeh be micaal giraah aur la zawaal giraah

yeh baat sach hai keh sehna bhi hai muHaal giraah
magar yeh shoq ke yarab rahe baHaal giraah

laToN se khail rahi theen yuoN ungliyaaN unki
laga rahe hoN woh jaise keh baal baal giraah

safar kaThhin hai dil e zaar aik koshish aur
chhuRa sakeN nah woh daman ik aisi Daal giraah

juda huye hameN un se bohat zamanah hua
dikha rahi hai acar ab bhi Hasb e Haal giraah

payaam e shoq ki hai muntazir Hayaat miri
bane hai dekhiye kab moojib e wisaal giraah

Husaini door teri manzil e mohabbat hai
uThha rakhi hai jo sar per zara sambhaal giraah

Husaini mAarkah e haq meN woh bhi kaam aaya
kisi ne dekhi nahiN jis ki pehli saalgiraah

Husaini KHandwi

bahut khoob

Posted: Tue Oct 04, 2005 1:12 am
by Abdullah Nazir

Janaab
Khozema Husaini Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat,

Aapki ghazal paRhkar bahut luTf aayaa. Bahut achchi aur kaamyaab fikr hei jiske liye meri daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Mazaameen ko bahut hii iHtiyaaT se baandhne kii koushish kii hei aur sakht zameen ke baavajood bahut kaamyaab koushish kii hei.

Aapka Mukhlis,
Nazir.


Posted: Tue Oct 04, 2005 7:02 pm
by khozema husaini
janab nazir saheb
ghazal ki pasandeedgi aur apni izhaar e raye ka bohat bohat shukriyah
mero janib se dili shukriyah qubool farmayen

Husaini