Page 1 of 1

ghazal gaamzan hai pa barahnah mera dilbar ret per

Posted: Fri Oct 07, 2005 7:12 pm
by khozema husaini
hazreena e mehfil
assalam alaikum
KHair talab ba KHair ba Hamd Allah

aik aur tazah ghazal ke saat hazir hua hoon aur umeed karta hoon keh hamesha ki tarah apni aara se nawaz kar nacheez ki hoSla afzaii farmayenge aur mujhe shukriyah ada karne ka moqa faraham karenge

Husaini

ghazal

gaamzan hai pa barahnah mera dilbar ret per
chahiye gulhayetar ki aik chaadar ret per

munHaSir kab raat per hai chaand taroN ka hujoom
hum ko sooraj ne dikhaya hai yeh manzar ret per

maKHmali bistar pe shab karwaT badalta hii raha
hai yeh woh mazdoor jo sota hai akcar ret per

un se hum darmaan e dard e dil ki kiya rakkheN ummeed
Daalta hai kiya koi mallaH langar ret per?

hum woh bad qismat tah e darya se loTe namuraad
saheb e taqdeer ko milte heN gohar ret per

matam e mehroomi e taqdeer karna hai fuzool
koshish e insaaN khilati hai gul e tar ret per

dekh lena aik din beHr e moHabbat meN hameN
mouj le jayegi toofaaN se bachakar ret per

waqt ki moujeN ise hargiz miTasakti nahiN
aazma leeje Husaini naam likh kar ret per


Husaini Khandwi

Bahut khoob waah waah

Posted: Sun Oct 09, 2005 2:07 pm
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Khuzema Husaini Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat,

Aapki ghazal bahut pasand aayi saare ke saare ashAaar bahut khoobsoorat heiN aur aapki fikr kii gehraayi kaa namoonah heiN.

Khaaksaar kii dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye. Ummeed ke aayindah bhii aap aise hii dilkash kalaam se navaazte rahenge.


Aapka Mukhlis,
Nazir.


Posted: Sun Oct 09, 2005 7:26 pm
by khozema husaini
janab nazir saheb
assalam alaikum
bohat bohat shukriyah