Page 1 of 1

TARAHI GHAZAL - -- - (GUZ.10) by: ABDULLAH NAZIR.

Posted: Sat Oct 08, 2005 2:44 am
by Abdullah Nazir

MuHtaramaat o MuHtarameen
aHbaab-e-Sukhan

Purkhuloos Tasleemaat, :rose

Guzarish 10 ke TaraHi miSreA per apni ghazal pesh karne kii saAaadat Haasil karrahaa hooN. Ummeed keh aap apni giraaNqadar aaraas se navaazkar shukriyah adaa karne kaa mauqaA denge.

G H A Z A L roman meiN:

kyaa kyaa nah dast-e-Hasrat, Aashiq pasaarte heiN
"tan tan ke jab wo apnaa seenah ubhaarte heiN"

muhshaatagi meiN teri, zulfeN sanwaarte heiN
there muSaaHibaoN kaa, jou roob dhaarte heiN

maghmoom heiN ke teraa, koii patah nah paayaa
SeHraa meiN micl-e-majnooN, kab se pukarte heiN

Poocho nah us ghaRi kii, roodaad-e-gham hamaari
aankhaoN se beH-ke aansoo, jab mauj maarte heiN

shaahaoN ko zindagi per, houtaa hei naaz us din
jab khilAat-e-takabbur, apnaa utaarte heiN

waSf-e-jamaal-e-jaanaaN, keeje tou kis zubaaN se
uski her ik adaa per, ham khud ko waarte heiN

is daur kii siyaasat, wo khel hei ke jis meiN
Sayyaad chaal chalte, qaidi bichaarte heiN

Saudaay-e-dasht-e-ghurbat, ik imtiHaaN thaa :Nazir:
Jis TarH' se bhii guzreN, ab din guzaarte heiN.
==========


Aapka Mukhlis,
Nazir.


Posted: Sat Oct 08, 2005 4:22 am
by zaamin
mohtaram janaab naazir sahib:

aap ki is pesh kash se bahut kuchh seekhne ko milaa;lafzon ka chuunao,tarteeb aur tarranum ,ustaad -e-fun kis tarah karte hain,is se khoob numaayaan hai;
sher no 3,4 aur maqta khassosan pasand aaye
merii aur se daad qabool kijiya

zaamin

Posted: Tue Oct 11, 2005 5:21 pm
by Shummu
wah bahut munfarid mazmoon baandhe hain aapne nazir sahab....daad qubool farmaayein... :-)

Shumaila

Re: TARAHI GHAZAL - -- - (GUZ.10) by: ABDULLAH NAZIR.

Posted: Sun Oct 16, 2005 2:57 pm
by haamidbaaqri
WEBMASTER wrote:
MuHtaramaat o MuHtarameen
aHbaab-e-Sukhan

Purkhuloos Tasleemaat, :rose

Guzarish 10 ke TaraHi miSreA per apni ghazal pesh karne kii saAaadat Haasil karrahaa hooN. Ummeed keh aap apni giraaNqadar aaraas se navaazkar shukriyah adaa karne kaa mauqaA denge.

G H A Z A L roman meiN:

kyaa kyaa nah dast-e-Hasrat, Aashiq pasaarte heiN
"tan tan ke jab wo apnaa seenah ubhaarte heiN"

muhshaatagi meiN teri, zulfeN sanwaarte heiN
there muSaaHibaoN kaa, jou roob dhaarte heiN

maghmoom heiN ke teraa, koii patah nah paayaa
SeHraa meiN micl-e-majnooN, kab se pukarte heiN

Poocho nah us ghaRi kii, roodaad-e-gham hamaari
aankhaoN se beH-ke aansoo, jab mauj maarte heiN

shaahaoN ko zindagi per, houtaa hei naaz us din
jab khilAat-e-takabbur, apnaa utaarte heiN

waSf-e-jamaal-e-jaanaaN, keeje tou kis zubaaN se
uski her ik adaa per, ham khud ko waarte heiN

is daur kii siyaasat, wo khel hei ke jis meiN
Sayyaad chaal chalte, qaidi bichaarte heiN

Saudaay-e-dasht-e-ghurbat, ik imtiHaaN thaa :Nazir:
Jis TarH' se bhii guzreN, ab din guzaarte heiN.
==========


Aapka Mukhlis,
Nazir.

salamun alaikum
mohtaram abdullah naazir saahib

waah waah bahut khoob

ustaadaana kalaam hai.har sher ka ek apna muqaam hai.hame.n khaaskar sher no 5 aur 7 bahut pasand aaye.

hamaari taraf se dilee daad qubool farmaaye.n.


aapka mukhlis
haamidbaaqri

Posted: Sun Oct 30, 2005 9:24 am
by hassan_bashir
janaab mohtaram Abdullah Nazir saaHib:Aadab!

sab se pehle reply maiN takheer ke liYe maazrat khwaah hooN.

aap ka kalaam nihaayat hii umdah aur qabil-e-tahseen hai tamaam hii ash'aar khub kahe haiN aur girah to bohat hii khub lagaee is qeematii tereer par merii janib se dilee daad-o-mubaarak baad qubul farmaayeN.

Talib-e-Dua'a

Hassan

shukriyah

Posted: Tue Nov 08, 2005 11:19 am
by Abdullah Nazir

Azeezah
Shummu aur Saara Saahibah
aur
MuHtarameen
Zaamin Saahib, Haamid Baaqri Saahib aur Hassan Bashir Saahib,

[i}Purkhuloos Tasleemaat,

MaiN apni TaraHi ghazal kii pazeeraayi ke liye aap sab kaa beHad mamnoon hooN. Ummeed kartaa hooN ke aayindah bhii aap isi TaraH se meri Hauslah afzaayi farmaate rahenge.


Aapka Mukhlis,
Nazir.[/i]