Page 1 of 1

Ghazal: Apnay Dukh Bhi Usay Sunaanay HeN

Posted: Mon Oct 10, 2005 7:11 am
by Ameen Asim
Assalam o Alaikum

Aap ahbaab ki khidmat meN aik Ghazal Hazir hay.

Wassalam
Ameen Asim

Posted: Thu Oct 13, 2005 5:51 am
by Raji
Janab-e-Ameen Asim SaaHeb:
Aadaab,

aap kee ghazal majmoo'ii taur par pasand aayii so daad qubool keejiye.

aap ne urdu aur roman donooN versions ko image file bana diya hai jiskee vajah se aap ke ashaar par tabSarah karna qadre mushkil hai. kyaa hee acha ho agar aap roman ko bara-e-raath new_post_pad par type kar deN aur Urdu version ko image bana kar attach kar deN.

is waqt maiN aap ke do ek ashaar par kuch tabSrah karna chah rahii thee lekin image par mere liye yeh kaam mushkil hai so naheeN kar paa rahii.
Umeed kartee hooN keh aahinda aap is baat ka Khayal rakheNge.

Khush rahiye

Wassalam

Zahida Raees :Raji:

Bahut khoob

Posted: Thu Oct 13, 2005 8:58 am
by Abdullah Nazir

Janaab
ameen Aasim Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat,

Aapki ghazal aek kaamyaab kaavish hei jiske liye khaaksaar kii daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Ummeed ke aayindah bhii apne kalaam se navaazte rahenge. Shukriyah.


Aapka Mukhlis,
Nazir.


Posted: Fri Oct 14, 2005 5:30 am
by Ameen Asim
Asslam o Alaikum Mohtarama Zahida aur Mohtaram Nazir Sahib

meN aap ka dili shukr guzaar hooN ke aap nay mairi hosla afzaai farmaai, sab say zayad us baRay khaliq ka jis nay muj naacheez ko had say zayada ehzaaz bakhsha,

mohtarama Zahida sahiba aap mairay ashaar baaray kuch kehna chahiN to zaroor izhaar kijiyay, mujay intizaar rahay ga,
aur Insha Allah aa'inda Ghazal koshish karooN ga ke alag alag israal karooN,
Wassalam

Ameen Asim