ay aasmaaN yeh kayaa huaa?
Posted: Tue Oct 11, 2005 12:52 pm
payaaray saathio
assalamo Aliakum w.w
dil es qader muztarib aur dukhe hai jaisay lahuu lahuu . jism be-jaan hai. aaj tahjjud k waqt nawaafil k b'ad raat ko dekhay huay nazaaroN kaa soch dil aik baar phir derd say bher gayaa. Apnay Rab k Huzur apnay Aziz ham watnoNki be-basee per taRap taRp ker ronay aur un k liye sabar-e-jameel maghferat aur reham k liye duaiN managany kaa mazeed moqua mila.
yeh aalam hai keh agtaa hai keh aaNkheN phatee aur seenay shaq huay jaa rahauy heN.
yuN tau Khudaa k faz'l say hamaaray tamaam Aziz ba khairiyyat haN magar aaj ilm huaa keh yeh sab bhee tau hamaaray Aziz hi haiN. ...Aziz aur bohat Aziz.
zabaan gang hai aur socheN uljhi huee haiN. Ka'ee sawaal zubaan per aa ker rukk jaatay haiN. lagtaa hai keh kuch bhee goyaa suudmand nahin ho gaa sawaaey duaa-e-mustjaab k.
duaa duaa aur bas duaa aisee duaa jo seedha Arsh-e-Azeem tak poHnchay aur rehamat-e-baaree laiker hi lautay.
Allah hameN aisay a'amaal karnay ki taufeeq Ataa fermaaey jis say uskaa Fazal jazb karnay ki taufeeq milay nah keh aisay jin say uskaa ghaZab naazil ho.
Allah SWT hamaaree aur hamaaray ham watnoN wa degar banee no-e-insaan ki ghalatiyaN muaaf ferma aker un k naik a'amaal qabuul fermaaey.aameen
chaNd be-rabt jumlay mozoN ho ga'ey. aap sab kee basaratoN ki nazr.
Ay aasmaaN yeh kayaa huaa?
es gulsitaaN ko kaya ahuaa?
us kaa nishaN miltaan nahiN
mairay makaaN ko kayaa huaa?
maaN baap behnaeN aur Aziz
wa bachgaaN ko kayaa huaa?
yeh kayaa ghaRee hai al'amaaN
wehm-o-gumaaN ko kayaa huaa?
kuch bhee tau baaqee nah rehaa
mairay jehaaN ko kayaa huaa?
alfaaz nay damm de diyaa
natq-o-bayaan ko kayaa huaa?
yeh kioN achaanak tham ga'ee
nabz-e-zamaaN ko kayaa huaa?
be-acr saaree ho ga'ee
aah-o-fughaaN ko kayaa huaa?
ko'ee nahiN jaa-e-panaah
tairee amaaN ko kayaa huaa?
aa ker zeraa Tuu dekh tau
hai muslmaaN ko kayaa huaa?