Page 1 of 2
Lafz par ashar#22--SABA
Posted: Wed Oct 12, 2005 7:54 am
by syed bilal armaan
Dostoun app ney unwan"KHUSHBOO" par bahut acche ashar likhe. Ab pesh hai ek nay unwan "SABA "app is unwan par bhi apne pasandida ashar likhiye.lijye main yahan se agaz kar hoon.
Intezaar-e-SABA raha barsoun
Ek dareecha khulla raha barsoun
Posted: Wed Oct 12, 2005 4:27 pm
by Shummu
khushbu bataa rahi hai ke wo raaste meiN hai
mauj-e-sabaa ke haath meiN us ka suraaG hai
Posted: Wed Oct 12, 2005 4:29 pm
by Shummu
khushbu bataa rahi hai ke wo raaste meiN hai
mauj-e-sabaa ke haath meiN us ka suraaG hai
Saba
Posted: Thu Oct 13, 2005 9:15 pm
by Abdullah Nazir
baad-e-Sabaa ke haathouN yeh pahoncha payaam-e-gul
khushboo hei aaj tak bhii mire intizaar meiN.
Nazir.
Sabaa
Posted: Fri Oct 14, 2005 3:51 am
by Abdullah Nazir
khulii jou aankh tou dene lagi Saba dastak
wagarnah housh kise thaa ke hougaiee hei seHar.
Nazir.
Posted: Fri Oct 14, 2005 10:53 am
by Shummu
pehli si wo kalaam meiN narmi nahin rahi ..............
guftaar se mizaaj-e-sabaa kaun le gayaa?
"Sabaa"
Posted: Fri Oct 14, 2005 4:27 pm
by Abdullah Nazir
Raftaar meiN Sabaa kii sii narmi nahiN rahi
tujh se wo shoukhiyaN wo adaa kaun le gayaa.
Nazir.
Posted: Wed Oct 19, 2005 12:23 pm
by Shummu
Saba Hum Sey Poochti Phir Rahi Hai
Chaman Ko Sajaaney Kay Dinn Aa Rahey Hein
Sabaa
Posted: Sat Oct 22, 2005 4:12 pm
by Abdullah Nazir
nah chaiR baad-e-Sabaa mujhko dasht-e-ghurbat meiN
kahaaN wo phool chaman ke kahaaN yeh veeraani.
Nazir.
Saba
Posted: Thu Oct 27, 2005 1:52 am
by Abdullah Nazir
chaman se aayi hei baad-e-Sabaa khabar dene
keh phool kab se miraa intizaar karte heiN.
Nazir.
Posted: Fri Oct 28, 2005 8:28 am
by syed bilal armaan
Dostoun app ney unwan"SABA" par bahut acche ashar likhe. Ab pesh hai ek nay unwan "EID "app is unwan par bhi apne pasandida ashar likhiye. ye unwan app naye fourm mein mulaheza kareinge.
SYED BILAL ARMAAN