Page 1 of 1

ghazal "haqbayaani"

Posted: Fri Oct 14, 2005 12:26 pm
by haamidbaaqri
salaamun alaikum
dosto aik aur adna see takhleekh peshe khidmat hai.
gar qubool uftad......

ghazal "HAQBAYANI"



lab pe mere jo haqbayani hai
bas yeh moula ki meherbaani hai

yeh mohammed ne humse farmaaya
dekho duniya saraaye faani hai

hirse duniya bahut buri shai hai
na bujhe pyaas yeh woh paani hai

tanha aaya hai tanha jaayega
baat yeh to bahut purani hai

rozey mahsher hisaab dena hai
tu samajhta hai yeh kahaani hai

murda chehrey se le sabaq warna
kora kaagaz teri kahani hai

hashr ke din koyee na bolega
sirf moula ki hukmraani hai

khwabey ghaflat se jaag aye insaan
mokhtesar teri zindagaani hai

khidmate khalq bandagi haamid
tere eemaan ki nishaani hai

from.....haamid baaqri,bangalore,india

shukriya

Posted: Mon Oct 24, 2005 6:11 am
by haamidbaaqri
sara_j wrote:bohat khoob! daad qubool keejiye.

sara
salaamun alaikum
mohtarama sara saahibah

bahut bahut shukriya .jazakallah

haamidbaaqri