is ke sivaa koii aur bhii to chaaraa na thaa.
Posted: Sat Oct 15, 2005 11:45 pm
tujhe bhool jaana kab na tha gawaara na thaa
is ke sivaa koii aur bhii to chaaraa na thaa.
main baNt gayaa bas rishtoN ke janjaal mein
shikwaa use thaa uska maiN saaraa na thaa.
shaayad hawaa kii patton se sar-goshiaaN
muRh kar jo dekha tu ne to pukaaraa na thaa
tasveer-e-jaaN dil se mitaa to deta par
dekhe bina us ko bhii to ghuzaara na thaa.
tab aaye voh ham khaak huye mit bhii chuke
bosiidah tan dil bhii aur kaNwaara na thaa.
haaN chaaNd bhii thaa raat ki siyaahii bhii saath
ik tu na teraa aur kajyaara na thaa.
ho hi rahaa teh zindagii kaa yooN hi safar
kucch teraa kuchh meraa thaa haaN hamaara na thaa.
garcheh rahaa taa 'umr tu mirii aaNkh kaa
Haakim mirii taqdeer ka sitaara na thaa
zaamin